Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Abdul Hamid Adam's Photo'

Abdul Hamid Adam

1909 - 1981 | Pakistan

Popular Poet with dominant romantic shades celebrating love and life.

Popular Poet with dominant romantic shades celebrating love and life.

TOP 20 SHAYARI of Abdul Hamid Adam

dil abhī puurī tarah TuuTā nahīñ

dostoñ mehrbānī chāhiye

my heartbreak's not complete, it pends

I need some favours from my friends

dil abhi puri tarah TuTa nahin

doston ki mehrbani chahiye

my heartbreak's not complete, it pends

I need some favours from my friends

bārish sharāb-e-arsh hai ye soch kar 'adam'

bārish ke sab hurūf ko ulTā ke gayā

barish sharab-e-arsh hai ye soch kar 'adam'

barish ke sab huruf ko ulTa ke pi gaya

ai ġham-e-zindagī na ho nārāz

mujh ko aadat hai muskurāne

ai gham-e-zindagi na ho naraaz

mujh ko aadat hai muskurane ki

maiñ mai-kade raah se ho kar nikal gayā

varna safar hayāt kaafī tavīl thā

main mai-kade ki rah se ho kar nikal gaya

warna safar hayat ka kafi tawil tha

taklīf miT ga.ī magar ehsās rah gayā

ḳhush huuñ ki kuchh na kuchh to mire paas rah gayā

taklif miT gai magar ehsas rah gaya

KHush hun ki kuchh na kuchh to mere pas rah gaya

ik hasīñ aañkh ke ishāre par

qāfile raah bhuul jaate haiñ

ek hasin aankh ke ishaare par

qafile rah bhul jate hain

shikan na Daal jabīñ par sharāb dete hue

ye muskurātī huī chiiz muskurā ke pilā

shikan na Dal jabin par sharab dete hue

ye muskuraati hui chiz muskura ke pila

kaun añgḌā.ī le rahā hai 'adam'

do jahāñ laḌkhaḌā.e jaate haiñ

kaun angDai le raha hai 'adam'

do jahan laDkhaDae jate hain

ijāzat ho to maiñ tasdīq kar luuñ terī zulfoñ se

sunā hai zindagī ik ḳhūb-sūrat daam hai saaqī

ijazat ho to main tasdiq kar lun teri zulfon se

suna hai zindagi ek KHub-surat dam hai saqi

shāyad mujhe nikāl ke pachhtā rahe hoñ aap

mahfil meñ is ḳhayāl se phir aa gayā huuñ maiñ

shayad mujhe nikal ke pachhta rahe hon aap

mahfil mein is KHayal se phir aa gaya hun main

dil ḳhush huā hai masjid-e-vīrāñ ko dekh kar

merī tarah ḳhudā bhī ḳhāna ḳharāb hai

seeing the mosque deserted was to me a source of glee

his house too was desolate, just the same as me

dil KHush hua hai masjid-e-viran ko dekh kar

meri tarah KHuda ka bhi KHana KHarab hai

seeing the mosque deserted was to me a source of glee

his house too was desolate, just the same as me

maiñ bad-nasīb huuñ mujh ko na de ḳhushī itnī

ki maiñ ḳhushī ko bhī le kar ḳharāb kar dūñgā

main bad-nasib hun mujh ko na de KHushi itni

ki main KHushi ko bhi le kar KHarab kar dunga

had se baḌh kar hasīn lagte ho

jhūTī qasmeñ zarūr khāyā karo

had se baDh kar hasin lagte ho

jhuTi qasmen zarur khaya karo

ba.az auqāt kisī aur ke milne se 'adam'

apnī hastī se mulāqāt bhī ho jaatī hai

baz auqat kisi aur ke milne se 'adam'

apni hasti se mulaqat bhi ho jati hai

chhup chhup ke jo aatā hai abhī merī galī meñ

ik roz mire saath sar-e-ām chalegā

chhup chhup ke jo aata hai abhi meri gali mein

ek roz mere sath sar-e-am chalega

āñkhoñ se pilāte raho sāġhar meñ na Daalo

ab ham se koī jaam uThāyā nahīñ jaatā

aankhon se pilate raho saghar mein na Dalo

ab hum se koi jam uThaya nahin jata

ai dost mohabbat ke sadme tanhā uThāne paḌte haiñ

rahbar to faqat is raste meñ do gaam sahārā dete haiñ

ai dost mohabbat ke sadme tanha hi uThane paDte hain

rahbar to faqat is raste mein do gam sahaara dete hain

saaqī mire ḳhulūs shiddat ko dekhnā

phir aa gayā huuñ gardish-e-daurāñ ko Taal kar

saqi mere KHulus ki shiddat ko dekhna

phir aa gaya hun gardish-e-dauran ko Tal kar

girte haiñ log garmī-e-bāzār dekh kar

sarkār dekh kar mirī sarkār dekh kar

girte hain log garmi-e-bazar dekh kar

sarkar dekh kar meri sarkar dekh kar

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now