Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baĔhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Amjad Islam Amjad's Photo'

Amjad Islam Amjad

1944 - 2023 | Lahore, Pakistan

Pakistani poet famous for TV Serials written by him.

Pakistani poet famous for TV Serials written by him.

Sher of Amjad Islam Amjad

19.2K
Favorite

SORT BY

jis taraf tÅ« hai udhar hoƱgÄ« sabhÄ« kÄ« nazreƱ

iid ke chāƱd kā dīdār bahāna hī sahī

jis taraf tu hai udhar hongi sabhi ki nazren

id ke chand ka didar bahana hi sahi

kahāƱ aa ke rukne the rāste kahāƱ moįøŒ thā use bhuul jā

vo jo mil gayā use yaad rakh jo nahīƱ milā use bhuul jā

kahan aa ke rukne the raste kahan moD tha use bhul ja

wo jo mil gaya use yaad rakh jo nahin mila use bhul ja

chehre pe mire zulf ko phailāo kisī din

kyā roz garajte ho baras jaao kisī din

chehre pe mere zulf ko phailao kisi din

kya roz garajte ho baras jao kisi din

baįøŒe sukÅ«n se Duube the DÅ«bne vaale

jo sāhiloƱ pe khaįøŒe the bahut pukāre bhÄ«

baDe sukun se Dube the Dubne wale

jo sahilon pe khaDe the bahut pukare bhi

kyā ho jaatā hai in haƱste jiite jāgte logoƱ ko

baiThe baiThe kyuuƱ ye įø³hud se bāteƱ karne lagte haiƱ

kya ho jata hai in hanste jite jagte logon ko

baiThe baiThe kyun ye KHud se baaten karne lagte hain

likhā thā ek taįø³htÄ« par koÄ« bhÄ« phuul mat toįøŒe magar āƱdhÄ« to an-paįøŒh thÄ«

so jab vo baaÄ”h se guzrÄ« koÄ« ukhįøŒÄ koÄ« TuuTā įø³hizāƱ ke āįø³hirÄ« din the

likha tha ek taKHti par koi bhi phul mat toDe magar aandhi to an-paDh thi

so jab wo bagh se guzri koi ukhDa koi TuTa KHizan ke aaKHiri din the

us ke lahje meƱ barf thī lekin

chhū ke dekhā to haath jalne lage

us ke lahje mein barf thi lekin

chhu ke dekha to hath jalne lage

jahāƱ ho pyaar Ĕhalat-fahmiyāƱ bhī hotī haiƱ

so baat baat pe yuuƱ dil burā nahīƱ karte

jahan ho pyar ghalat-fahmiyan bhi hoti hain

so baat baat pe yun dil bura nahin karte

jaise bārish se dhule sehn-e-gulistāƱ 'amjad'

aaƱkh jab įø³hushk huÄ« aur bhÄ« chehrā chamkā

jaise barish se dhule sehn-e-gulistan 'amjad'

aankh jab KHushk hui aur bhi chehra chamka

vo tire nasīb kī bārisheƱ kisī aur chhat pe baras ga.iiƱ

dil-e-be-įø³habar mirÄ« baat sun use bhuul jā use bhuul jā

wo tere nasib ki barishen kisi aur chhat pe baras gain

dil-e-be-KHabar meri baat sun use bhul ja use bhul ja

kis qadar yādeƱ ubhar aa.ī haiƱ tere naam se

ek patthar pheƱkne se paįøŒ ga.e kitne bhaƱvar

kis qadar yaaden ubhar aai hain tere nam se

ek patthar phenkne se paD gae kitne bhanwar

savāl ye hai ki aapas meƱ ham mileƱ kaise

hamesha saath to chalte haiƱ do kināre bhī

sawal ye hai ki aapas mein hum milen kaise

hamesha sath to chalte hain do kinare bhi

har samundar kā ek sāhil hai

hijr kī raat kā kinārā nahīƱ

har samundar ka ek sahil hai

hijr ki raat ka kinara nahin

guzreƱ jo mere ghar se to ruk jaa.eƱ sitāre

is tarah mirī raat ko chamkāo kisī din

guzren jo mere ghar se to ruk jaen sitare

is tarah meri raat ko chamkao kisi din

jaise rail kÄ« har khiįøŒkÄ« kÄ« apnÄ« apnÄ« duniyā hai

kuchh manzar to ban nahīƱ paate kuchh pīchhe rah jaate haiƱ

jaise rail ki har khiDki ki apni apni duniya hai

kuchh manzar to ban nahin pate kuchh pichhe rah jate hain

ek nazar dekhā thā us ne aage yaad nahīƱ

khul jaatī hai dariyā kī auqāt samundar meƱ

ek nazar dekha tha us ne aage yaad nahin

khul jati hai dariya ki auqat samundar mein

har baat jānte hue dil māntā na thā

ham jaane e'tibār ke kis marhale meƱ the

har baat jaante hue dil manta na tha

hum jaane e'tibar ke kis marhale mein the

hādisa bhī hone meƱ vaqt kuchh to letā hai

baįø³ht ke bigaįøŒne meƱ der kuchh to lagtÄ« hai

hadisa bhi hone mein waqt kuchh to leta hai

baKHt ke bigaDne mein der kuchh to lagti hai

be-samar peįøŒoƱ ko chÅ«meƱge sabā ke sabz lab

dekh lenā ye įø³hizāƱ be-dast-o-pā rah jā.egÄ«

be-samar peDon ko chumenge saba ke sabz lab

dekh lena ye KHizan be-dast-o-pa rah jaegi

zindagī dard bhī davā bhī thī

ham-safar bhī gurez-pā bhī thī

zindagi dard bhi dawa bhi thi

ham-safar bhi gurez-pa bhi thi

us ne āhista se jab pukārā mujhe

jhuk ke takne lagā har sitārā mujhe

us ne aahista se jab pukara mujhe

jhuk ke takne laga har sitara mujhe

kuchh aisī be-yaqīnī thī fazā meƱ

jo apne the vo begāne lage haiƱ

kuchh aisi be-yaqini thi faza mein

jo apne the wo begane lage hain

kamāl-e-husn hai husn-e-kamāl se bāhar

azal kā raƱg hai jaise misāl se bāhar

kamal-e-husn hai husn-e-kamal se bahar

azal ka rang hai jaise misal se bahar

peįøŒoƱ kÄ« tarah husn kÄ« bārish meƱ nahā luuƱ

bādal kī tarah jhuum ke ghar aao kisī din

peDon ki tarah husn ki barish mein naha lun

baadal ki tarah jhum ke ghar aao kisi din

sunā hai kānoƱ ke kachche ho tum bahut so ham

tumhāre shahr meƱ sab se banā ke rakhte haiƱ

suna hai kanon ke kachche ho tum bahut so hum

tumhaare shahr mein sab se bana ke rakhte hain

maanā nazar ke sāmne hai be-shumār dhuƱd

hai dekhnā ki dhuƱd ke is paar kaun hai

mana nazar ke samne hai be-shumar dhund

hai dekhna ki dhund ke is par kaun hai

saa.e Dhalne charāg jalne lage

log apne gharoƱ ko chalne lage

sae Dhalne charag jalne lage

log apne gharon ko chalne lage

ye jo hāsil hameƱ har shai kī farāvānī hai

ye bhī to apnī jagah ek pareshānī hai

ye jo hasil hamein har shai ki farawani hai

ye bhi to apni jagah ek pareshani hai

phir aaj kaise kaTegÄ« pahāįøŒ jaisÄ« raat

guzar gayā hai yahī baat sochte hue din

phir aaj kaise kaTegi pahaD jaisi raat

guzar gaya hai yahi baat sochte hue din

tire firāq kī sadiyāƱ tire visāl ke pal

shumār-e-umr meƱ ye maah o saal se kuchh haiƱ

tere firaq ki sadiyan tere visal ke pal

shumar-e-umr mein ye mah o sal se kuchh hain

baat to kuchh bhī nahīƱ thiiƱ lekin us kā ek dam

haath ko hoƱToƱ pe rakh kar roknā achchhā lagā

baat to kuchh bhi nahin thin lekin us ka ek dam

hath ko honTon pe rakh kar rokna achchha laga

tumhī ne kaun sī achchhā.ī kī hai

chalo maanā ki maiƱ achchhā nahīƱ thā

tumhi ne kaun si achchhai ki hai

chalo mana ki main achchha nahin tha

hameƱ hamārī anā.eƱ tabāh kar deƱgī

mukālme kā agar silsila nahīƱ karte

hamein hamari anaen tabah kar dengi

mukalme ka agar silsila nahin karte

bevafā to vo įø³hair thā 'amjad'

lekin us meƱ kahīƱ vafā bhī thī

bewafa to wo KHair tha 'amjad'

lekin us mein kahin wafa bhi thi

yuuƱ to har raat chamakte haiƱ sitāre lekin

vasl kī raat bahut sub.h kā taarā chamkā

yun to har raat chamakte hain sitare lekin

wasl ki raat bahut subh ka tara chamka

dÅ«riyāƱ simaTne meƱ der kuchh to lagtÄ« hai

ranjishoƱ ke miTne meƱ der kuchh to lagtī hai

duriyan simaTne mein der kuchh to lagti hai

ranjishon ke miTne mein der kuchh to lagti hai

tum hī ne paaƱv na rakkhā vagarna vasl kī shab

zamīƱ pe ham ne sitāre bichhā ke rakkhe the

tum hi ne panw na rakkha wagarna wasl ki shab

zamin pe hum ne sitare bichha ke rakkhe the

sadiyāƱ jin meƱ zinda hoƱ vo sach bhī marne lagte haiƱ

dhuup āƱkhoƱ tak aa jaa.e to įø³hvāb bikharne lagte haiƱ

sadiyan jin mein zinda hon wo sach bhi marne lagte hain

dhup aankhon tak aa jae to KHwab bikharne lagte hain

aaƱkh bhÄ« apnÄ« sarāb-ālÅ«d hai

aur is dariyā meƱ paanī bhī nahīƱ

aankh bhi apni sarab-alud hai

aur is dariya mein pani bhi nahin

ye jo saa.e se bhaTakte haiƱ hamāre ird-gird

chhÅ« ke un ko dekhiye to vāhima koÄ« nahīƱ

ye jo sae se bhaTakte hain hamare ird-gird

chhu ke un ko dekhiye to wahima koi nahin

qadam uThā hai to paaƱv tale zamīƱ hī nahīƱ

safar kā ranj hameƱ įø³hvāhish-e-safar se huā

qadam uTha hai to panw tale zamin hi nahin

safar ka ranj hamein KHwahish-e-safar se hua

bichhaįøŒ ke tujh se na jÄ« paa.e muįø³htasar ye hai

is ek baat se niklī hai dāstāƱ kyā kyā

bichhaD ke tujh se na ji pae muKHtasar ye hai

is ek baat se nikli hai dastan kya kya

fazā meƱ tairte rahte haiƱ naqsh se kyā kyā

mujhe talāsh na kartī hoƱ ye balā.eƱ kahīƱ

faza mein tairte rahte hain naqsh se kya kya

mujhe talash na karti hon ye balaen kahin

dard kā rasta hai yā hai sā.at-e-roz-e-hisāb

saikaįøŒoƱ logoƱ ko rokā ek bhÄ« Thahrā nahīƱ

dard ka rasta hai ya hai saat-e-roz-e-hisab

saikaDon logon ko roka ek bhi Thahra nahin

na us kā ant hai koī na isti.āra hai

ye dāstān hai hijr-o-visāl se bāhar

na us ka ant hai koi na istiara hai

ye dastan hai hijr-o-visal se bahar

itne įø³hadshe nahīƱ haiƱ rastoƱ meƱ

jis qadar įø³hvāhish-e-safar meƱ haiƱ

itne KHadshe nahin hain raston mein

jis qadar KHwahish-e-safar mein hain

dām-e-įø³hushbÅ« meƱ giraftār sabā hai kab se

lafz iz.hār kÄ« uljhan meƱ paįøŒÄ hai kab se

dam-e-KHushbu mein giraftar saba hai kab se

lafz izhaar ki uljhan mein paDa hai kab se

āƱkhoƱ meƱ kaise tan ga.ī dīvār-e-be-hisī

sīnoƱ meƱ ghuT ke rah ga.ī āvāz kis tarah

aankhon mein kaise tan gai diwar-e-be-hisi

sinon mein ghuT ke rah gai aawaz kis tarah

shahr-e-suįø³han meƱ aisā kuchh kar izzat ban jaa.e

sab kuchh miTTī ho jaatā hai izzat rahtī hai

shahr-e-suKHan mein aisa kuchh kar izzat ban jae

sab kuchh miTTi ho jata hai izzat rahti hai

tiir aayā thā jidhar ye mire shahr ke log

kitne saadā haiƱ ki marham bhī vahīƱ dekhte haiƱ

tir aaya tha jidhar ye mere shahr ke log

kitne sada hain ki marham bhi wahin dekhte hain

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now