Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Aziz Tamannai

1926

Sher of Aziz Tamannai

324
Favorite

SORT BY

dahr meñ ik tire sivā kyā hai

nahīñ hai to phir bhalā kyā hai

dahr mein ek tere siwa kya hai

tu nahin hai to phir bhala kya hai

mil jā.egī kabhī manzil-e-maqsūd-e-sahar

shart ye hai ki safar karte raho shaam ke saath

mil hi jaegi kabhi manzil-e-maqsud-e-sahar

shart ye hai ki safar karte raho sham ke sath

ye ġham nahīñ ki mujh ko jāgnā paḌā hai umr bhar

ye rañj hai ki mere saare ḳhvāb koī le gayā

ye gham nahin ki mujh ko jagna paDa hai umr bhar

ye ranj hai ki mere sare KHwab koi le gaya

ek sannāTā thā āvāz na thī aur na javāb

dil meñ itne the savālāt ki ham so na sake

ek sannaTa tha aawaz na thi aur na jawab

dil mein itne the sawalat ki hum so na sake

kuchh kaam aa sakīñ na yahāñ be-gunāhiyāñ

ham par lagā huā thā vo ilzām umr-bhar

kuchh kaam aa sakin na yahan be-gunahiyan

hum par laga hua tha wo ilzam umr-bhar

thapkiyāñ dete rahe ThanDī havā ke jhoñke

is qadar jal uThe jazbāt ki ham so na sake

thapkiyan dete rahe ThanDi hawa ke jhonke

is qadar jal uThe jazbaat ki hum so na sake

baaqī abhī qafas meñ hai ahl-e-qafas yaad

bikhre paḌe haiñ baal kahīñ aur par kahīñ

baqi abhi qafas mein hai ahl-e-qafas ki yaad

bikhre paDe hain baal kahin aur par kahin

un ko hai da.avā-e-asīhā.ī

jo nahīñ jānte shifā kyā hai

un ko hai dawa-e-asihai

jo nahin jaante shifa kya hai

hazār baar aazmā chukā hai magar abhī aazmā rahā hai

abhī zamāne ko aadmī nahīñ hai kuchh e'tibār shāyad

hazar bar aazma chuka hai magar abhi aazma raha hai

abhi zamane ko aadmi ka nahin hai kuchh e'tibar shayad

ab kaun matā-e-safar dil ke paas hai

ik raushani-e-sub.h thī vo bhī udaas hai

ab kaun si mata-e-safar dil ke pas hai

ek raushani-e-subh thi wo bhi udas hai

jis ko chalnā hai chale raḳht-e-safar bāñdhe hue

ham jahāñ-gasht haiñ uTThe haiñ kamar bāñdhe hue

jis ko chalna hai chale raKHt-e-safar bandhe hue

hum jahan-gasht hain uTThe hain kamar bandhe hue

ai mauj-e-ḳhush-ḳhirām zarā tez tez chal

bantī hai sat.h-e-āb kināra kabhī kabhī

ai mauj-e-KHush-KHiram zara tez tez chal

banti hai sath-e-ab kinara kabhi kabhi

vo shai kahāñ hai pinhāñ ai mauj-e-āb-e-haivāñ

jo vaj.h-e-sar-ḳhushī thī barsoñ tishnagī meñ

wo shai kahan hai pinhan ai mauj-e-ab-e-haiwan

jo wajh-e-sar-KHushi thi barson ki tishnagi mein

hamīñ ne ziist ke har ruup ko sañvārā hai

luTā ke raushani-e-tab.a jalva-gāhoñ meñ

hamin ne zist ke har rup ko sanwara hai

luTa ke raushani-e-taba jalwa-gahon mein

ham ne jo 'tamannā.ī' bayābān-e-talab meñ

ik umr guzārī hai to do-chār baras aur

hum ne jo 'tamannai' bayaban-e-talab mein

ek umr guzari hai to do-chaar baras aur

vahīñ bahār-ba-kaf qāfile lapak ke chale

jahāñ jahāñ tire naqsh-e-qadam ubharte rahe

wahin bahaar-ba-kaf qafile lapak ke chale

jahan jahan tere naqsh-e-qadam ubharte rahe

Recitation

Speak Now