Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Muneer Shikohabadi

1814 - 1880 | Rampur, India

Prominent classical poet who was part of the first war of independence in 1857.

Prominent classical poet who was part of the first war of independence in 1857.

Sher of Muneer Shikohabadi

6.7K
Favorite

SORT BY

yaad us but namāzoñ meñ jo aa.ī mujh ko

tapish-e-shauq se har baar meñ baiThā uTThā

yaad us but ki namazon mein jo aai mujh ko

tapish-e-shauq se har bar mein baiTha uTTha

ho gayā huuñ maiñ naqāb-e-rū-e-raushan par faqīr

chāhiye tah-band mujh ko chādar-e-mahtāb

ho gaya hun main naqab-e-ru-e-raushan par faqir

chahiye tah-band mujh ko chadar-e-mahtab ka

terī furqat meñ sharāb-e-aish toḌā huā

jām-e-mai dast-e-subū ke vāste phoḌā huā

teri furqat mein sharab-e-aish ka toDa hua

jam-e-mai dast-e-subu ke waste phoDa hua

kalkatta meñ har dam hai 'munīr' aap ko vahshat

har koThī meñ har bañgle meñ jañglā nazar aayā

kalkatta mein har dam hai 'munir' aap ko wahshat

har koThi mein har bangle mein jangla nazar aaya

garmī-e-husn mid.hat silā lete haiñ

mish.aleñ aap ke saa.e se jalā lete haiñ

garmi-e-husn ki midhat ka sila lete hain

mishalen aap ke sae se jala lete hain

kufr-o-islām meñ tauleñ jo haqīqat terī

but-kada kyā ki haram sañg-e-tarāzū ho jaa.e

kufr-o-islam mein taulen jo haqiqat teri

but-kada kya ki haram sang-e-taraazu ho jae

āshiq banā ke ham ko jalāte haiñ sham.a-rū

parvāna chāhiye unheñ parvāna chāhiye

aashiq bana ke hum ko jalate hain shama-ru

parwana chahiye unhen parwana chahiye

jaatī hai duur baat nikal kar zabān se

phirtā nahīñ vo tiir jo niklā kamān se

jati hai dur baat nikal kar zaban se

phirta nahin wo tir jo nikla kaman se

gāliyāñ zaḳhm-e-kuhan ko dekh kar detī ho kyuuñ

baasī khāne meñ milāte ho ta.ām-e-tāza aaj

galiyan zaKHm-e-kuhan ko dekh kar deti ho kyun

basi khane mein milate ho taam-e-taza aaj

kis tarah ḳhush hoñ shaam ko vo chāñd dekh kar

aatā nahīñ hai mash.al-e-mah dhuāñ pasand

kis tarah KHush hon sham ko wo chand dekh kar

aata nahin hai mashal-e-mah ka dhuan pasand

bose haiñ be-hisāb har din ke

va.ade kyuuñ Tālte ho gin gin ke

bose hain be-hisab har din ke

wade kyun Talte ho gin gin ke

pahuñchā hai us ke paas ye ā.īna TuuT ke

kis se milā hai shīsha-e-dil ham se phuuT ke

pahuncha hai us ke pas ye aaina TuT ke

kis se mila hai shisha-e-dil hum se phuT ke

muñDeroñ par chhiḌak de apne kushtoñ lahū ai gul

ugegā sabza-e-shamsīr dīvār-e-gulistāñ par

munDeron par chhiDak de apne kushton ka lahu ai gul

ugega sabza-e-shamsir diwar-e-gulistan par

roz dil-hā-e-mai-kashāñ TuuTe

ai ḳhudā jām-e-āsmāñ TuuTe

roz dil-ha-e-mai-kashan TuTe

ai KHuda jam-e-asman TuTe

haath milvāte ho tarsā.e gilaurī ke liye

kaf-e-afsos na mal jaa.e kahīñ paañv meñ

hath milwate ho tarsae gilauri ke liye

kaf-e-afsos na mal jae kahin panw mein

saḳhtī-e-dahr hue bahr-e-suḳhan meñ āsāñ

qāfiye aa.e jo patthar ke maiñ paanī samjhā

saKHti-e-dahr hue bahr-e-suKHan mein aasan

qafiye aae jo patthar ke main pani samjha

bhaTke phire do amla-e-dair-o-haram meñ ham

is samt kufr us taraf islām le gayā

bhaTke phire do amla-e-dair-o-haram mein hum

is samt kufr us taraf islam le gaya

leTe jo saath haath lagā bosa-e-dahan

aayā amal meñ ilm-e-nihānī palañg par

leTe jo sath hath laga bosa-e-dahan

aaya amal mein ilm-e-nihani palang par

kyā maza parda-e-vahdat meñ hai khultā nahīñ haal

aap ḳhalvat meñ ye farmā.iye kyā karte haiñ

kya maza parda-e-wahdat mein hai khulta nahin haal

aap KHalwat mein ye farmaiye kya karte hain

ai but ye hai namāz ki hai ghaat qatl

niyyat adā hai ki ishāre qazā ke haiñ

ai but ye hai namaz ki hai ghat qatl ki

niyyat ada ki hai ki ishaare qaza ke hain

kahte haiñ sab dekh kar betāb merā uzv uzv

aadmī ab tak nahīñ dekhā kahīñ sīmāb

kahte hain sab dekh kar betab mera uzw uzw

aadmi ab tak nahin dekha kahin simab ka

ho gayā ma.amūr aalam jab kiyā darbār-e-ām

taḳhliya chāhā to duniyā saaf ḳhālī ho ga.ī

ho gaya mamur aalam jab kiya darbar-e-am

taKHliya chaha to duniya saf KHali ho gai

ustād ke ehsān kar shukr 'munīr' aaj

ahl-e-suḳhan ne tirī tārīf baḌī baat

ustad ke ehsan ka kar shukr 'munir' aaj

ki ahl-e-suKHan ne teri tarif baDi baat

jab baḌh ga.ī umr ghaT ga.ī ziist

jo had se ziyāda ho vo kam hai

jab baDh gai umr ghaT gai zist

jo had se ziyaada ho wo kam hai

ai rashk-e-māh raat ko muTThī na kholnā

mehdī chor haath se jaa.e na chhūT ke

ai rashk-e-mah raat ko muTThi na kholna

mehdi ka chor hath se jae na chhuT ke

ḳhāl-o-ḳhat se aib us ke rū-e-aqdas ko nahīñ

husn hai mus.haf meñ honā nuqta-e-e.arāb

KHal-o-KHat se aib us ke ru-e-aqdas ko nahin

husn hai mushaf mein hona nuqta-e-earab ka

kartā rahā luġhāt tahqīq umr bhar

a.amāl-nāma nusḳha-e-farhañg ho gayā

karta raha lughat ki tahqiq umr bhar

aamal-nama nusKHa-e-farhang ho gaya

vahshat meñ basar hote haiñ ayyām-e-shabāb aah

ye shām-e-javānī hai ki saaya hai hiran

wahshat mein basar hote hain ayyam-e-shabab aah

ye sham-e-jawani hai ki saya hai hiran ka

kibr bhī hai shirk ai zāhid muvahhid ke huzūr

le ke tesha ḳhāksārī but-e-pindār toḌ

kibr bhi hai shirk ai zahid muwahhid ke huzur

le ke tesha KHaksari ka but-e-pindar toD

muñh tak bhī zo.af se nahīñ aa saktī dil baat

darvāza ghar se saikḌoñ farsañg ho gayā

munh tak bhi zoaf se nahin aa sakti dil ki baat

darwaza ghar se saikDon farsang ho gaya

āstīn-e-sabr se bāhar na niklegā agar

hogī dast-e-ġhaib sūrat hamāre haath meñ

aastin-e-sabr se bahar na niklega agar

hogi dast-e-ghaib ki surat hamare hath mein

barhaman ka.abe meñ aayā shaiḳh pahūñchā dair meñ

log be-vahdat hue haiñ terī kasrat dekh kar

barhaman kabe mein aaya shaiKH pahuncha dair mein

log be-wahdat hue hain teri kasrat dekh kar

dekhā hai āshiqoñ ne barahman aañkh se

har but ḳhudā hai chāhne vāloñ ke sāmne

dekha hai aashiqon ne barahman ki aankh se

har but KHuda hai chahne walon ke samne

kab paan raqīboñ ko ināyat nahīñ hote

kis roz mire qatl biiḌā nahīñ uThtā

kab pan raqibon ko inayat nahin hote

kis roz mere qatl ka biDa nahin uThta

tark maiñ ne shaiḳh-o-barahman pairvī

dair-o-haram meñ mujh ko tirā naam le gayā

ki tark main ne shaiKH-o-barahman ki pairwi

dair-o-haram mein mujh ko tera nam le gaya

paḌ ga.ī jaan jo us tifl ne patthar maare

aaj jugnū tarah har sharar-e-sañg uḌā

paD gai jaan jo us tifl ne patthar mare

aaj jugnu ki tarah har sharar-e-sang uDa

be-ilm shā.iroñ gila kyā hai ai 'munīr'

hai ahl-e-ilm ko tirā tarz-e-bayāñ pasand

be-ilm shairon ka gila kya hai ai 'munir'

hai ahl-e-ilm ko tera tarz-e-bayan pasand

jām-e-aqīq zard hai nargis ke haath meñ

taqsīm kar rahā hai mai-e-arġhavāñ basant

jam-e-aqiq zard hai nargis ke hath mein

taqsim kar raha hai mai-e-arghawan basant

bosa hoñToñ mil gayā kis ko

dil meñ kuchh aaj dard mīThā hai

bosa honTon ka mil gaya kis ko

dil mein kuchh aaj dard miTha hai

kalkatta meñ har dam hai 'munīr' aap ko vahshat

har koThī meñ har bañgle meñ jañglā nazar aayā

kalkatta mein har dam hai 'munir' aap ko wahshat

har koThi mein har bangle mein jangla nazar aaya

tire kūche se judā rote haiñ shab ko āshiq

āj-kal bārish-e-shabnam hai chaman se bāhar

tere kuche se juda rote hain shab ko aashiq

aaj-kal barish-e-shabnam hai chaman se bahar

yārab hazār saal salāmat raheñ huzūr

ho roz jashn-e-īd yahāñ jāvedāñ basant

yarab hazar sal salamat rahen huzur

ho roz jashn-e-id yahan jawedan basant

ka.abe se mujh ko laa.ī savād-e-kunisht meñ

islāh butoñ ne ḳhat-e-sar-navisht meñ

kabe se mujh ko lai sawad-e-kunisht mein

islah di buton ne KHat-e-sar-nawisht mein

shaiḳh le hai raah ka.abe barahman dair

ishq rasta judā hai kufr aur islām se

shaiKH le hai rah kabe ki barahman dair ki

ishq ka rasta juda hai kufr aur islam se

sarsoñ jo phūlī dīda-e-jām-e-sharāb meñ

bint-ul-anab se karne lagā shoḳhiyāñ basant

sarson jo phuli dida-e-jam-e-sharab mein

bint-ul-anab se karne laga shoKHiyan basant

kabhī payām na bhejā butoñ ne mere paas

ḳhudā haiñ kaise ki paiġhāmbar nahīñ rakhte

kabhi payam na bheja buton ne mere pas

KHuda hain kaise ki paighambar nahin rakhte

silsila gabrū musalmāñ adāvat miTā

ai parī be-parda ho kar sub.ha-e-zunnār toḌ

silsila gabru musalman ki adawat ka miTa

ai pari be-parda ho kar subha-e-zunnar toD

be-takalluf aa gayā vo mah dam-e-fikr-e-suḳhan

rah gayā pās-e-adab se qāfiya ādāb

be-takalluf aa gaya wo mah dam-e-fikr-e-suKHan

rah gaya pas-e-adab se qafiya aadab ka

ab ke bahār-e-husn-e-butāñ hai kamāl par

nāqūs ho na jaa.e kaf-e-barhaman meñ phuul

ab ke bahaar-e-husn-e-butan hai kamal par

naqus ho na jae kaf-e-barhaman mein phul

karte haiñ masjidoñ meñ shikva-e-mastāñ zāhid

ya.anī āñkhoñ bhavoñ se ye gilā karte haiñ

karte hain masjidon mein shikwa-e-mastan zahid

yani aankhon ka bhawon se ye gila karte hain

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now