Sher of Rais Farogh
log achchhe haiñ bahut dil meñ utar jaate haiñ
ik burā.ī hai to bas ye hai ki mar jaate haiñ
log achchhe hain bahut dil mein utar jate hain
ek burai hai to bas ye hai ki mar jate hain
maiñ ne kitne raste badle lekin har raste meñ 'faroġh'
ek añdherā saath rahā hai raushniyoñ ke hujūm liye
main ne kitne raste badle lekin har raste mein 'farogh'
ek andhera sath raha hai raushniyon ke hujum liye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
merā bhī ek baap thā achchhā sā ek baap
vo jis jagah pahuñch ke marā thā vahīñ huuñ maiñ
mera bhi ek bap tha achchha sa ek bap
wo jis jagah pahunch ke mara tha wahin hun main
-
Tag : Father
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
husn ko husn banāne meñ mirā haath bhī hai
aap mujh ko nazar-andāz nahīñ kar sakte
husn ko husn banane mein mera hath bhi hai
aap mujh ko nazar-andaz nahin kar sakte
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
apne hālāt se maiñ sulh to kar luuñ lekin
mujh meñ rū-posh jo ik shaḳhs hai mar jā.egā
apne haalat se main sulh to kar lun lekin
mujh mein ru-posh jo ek shaKHs hai mar jaega
fasl tumhārī achchhī hogī jaao hamāre kahne se
apne gaañv kī har gorī ko na.ī chunariyā lā denā
fasl tumhaari achchhi hogi jao hamare kahne se
apne ganw ki har gori ko nai chunariya la dena
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ishq vo kār-e-musalsal hai ki ham apne liye
ek lamha bhī pas-andāz nahīñ kar sakte
ishq wo kar-e-musalsal hai ki hum apne liye
ek lamha bhi pas-andaz nahin kar sakte
aa.egā mere ba.ad 'faroġh' in kā zamāna
jis daur kā maiñ huuñ mire ash.ār nahīñ haiñ
aaega mere baad 'farogh' in ka zamana
jis daur ka main hun mere ashaar nahin hain
rū-e-zamīñ pe chaar arab mere aks haiñ
in meñ se maiñ bhī ek huuñ chāhe kahīñ huuñ maiñ
ru-e-zamin pe chaar arab mere aks hain
in mein se main bhi ek hun chahe kahin hun main
din ke shor meñ shāmil shāyad koī tumhārī baat bhī ho
āvāzoñ ke uljhe dhāge suljhā.eñge shaam ko
din ke shor mein shamil shayad koi tumhaari baat bhi ho
aawazon ke uljhe dhage suljhaenge sham ko
-
Tag : Yaad
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
lākhoñ hī baar bujh ke jalā dard kā diyā
so ek baar aur bujhā phir jalā nahīñ
lakhon hi bar bujh ke jala dard ka diya
so ek bar aur bujha phir jala nahin
dhuup musāfir chhāñv musāfir aa.e koī koī jaa.e
ghar meñ baiThā soch rahā huuñ āñgan hai yā rasta hai
dhup musafir chhanw musafir aae koi koi jae
ghar mein baiTha soch raha hun aangan hai ya rasta hai
ab kī rut meñ jab dhartī ko barkhā kī mahkār mile
mere badan kī miTTī ko bhī rañgoñ meñ nahlā denā
ab ki rut mein jab dharti ko barkha ki mahkar mile
mere badan ki miTTi ko bhi rangon mein nahla dena
log nāzuk the aur ehsās ke vīrāne tak
vo guzarte hue āñkhoñ kī jalan se aa.e
log nazuk the aur ehsas ke virane tak
wo guzarte hue aankhon ki jalan se aae
ghar meñ to ab kyā rakkhā hai vaise aao talāsh kareñ
shāyad koī ḳhvāb paḌā ho idhar udhar kisī kone meñ
ghar mein to ab kya rakkha hai waise aao talash karen
shayad koi KHwab paDa ho idhar udhar kisi kone mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kuchh itne paas se ho kar vo raushnī guzrī
ki aaj tak dar-o-dīvār ko malāl sā hai
kuchh itne pas se ho kar wo raushni guzri
ki aaj tak dar-o-diwar ko malal sa hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ik yahī duniyā badaltī hai 'faroġh'
kaisī kaisī ajnabī duniyāoñ meñ
ek yahi duniya badalti hai 'farogh'
kaisi kaisi ajnabi duniyaon mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tez havā ke saath chalā hai zard musāfir mausam kā
os ne dāman thaam liyā to pal-do-pal ko rukā bhī hai
tez hawa ke sath chala hai zard musafir mausam ka
os ne daman tham liya to pal-do-pal ko ruka bhi hai
-
Tag : Waqt
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bastiyoñ meñ ham bhī rahte haiñ magar
jaise āvāra havā sahrāoñ meñ
bastiyon mein hum bhi rahte hain magar
jaise aawara hawa sahraon mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham koī achchhe chor nahīñ par ek daf.a to ham ne bhī
saarā gahna luuT liyā thā aadhī raat ke mehmāñ kā
hum koi achchhe chor nahin par ek dafa to hum ne bhi
sara gahna luT liya tha aadhi raat ke mehman ka
-
Tag : Visaal
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download