Sher of Shehzad Anjum Burhani
zamāna jin kī qayādat meñ gāmzan thā vo log
bhaTak ga.e tirī āñkhoñ kī rahnumā.ī meñ
zamana jin ki qayaadat mein gamzan tha wo log
bhaTak gae teri aankhon ki rahnumai mein
vo phuul hai to use jaan tak karo mahsūs
vo chāñd hai to añdherā baḌhā ke dekhā jaa.e
wo phul hai to use jaan tak karo mahsus
wo chand hai to andhera baDha ke dekha jae
mājrā-ḳhez kal ik ḳhvāb thā dekhā ham ne
biich dariyā meñ the kashtī se utarte hue log
majra-KHez kal ek KHwab tha dekha hum ne
bich dariya mein the kashti se utarte hue log
ye kyā ki ḳhayāloñ se uḌī jaatī hai ḳhushbū
maiñ ne to abhī tak use sochā bhī nahīñ hai
ye kya ki KHayalon se uDi jati hai KHushbu
main ne to abhi tak use socha bhi nahin hai
aaj kī raat hai bahut bhārī
aaj kī raat bas guzar jaa.e
aaj ki raat hai bahut bhaari
aaj ki raat bas guzar jae
chāñd kuchh der terī chhat pe rahe
phir mire jaam meñ utar jaa.e
chand kuchh der teri chhat pe rahe
phir mere jam mein utar jae
bulandī se utārā jā rahā huuñ
maiñ tārīfoñ se maarā jā rahā huuñ
bulandi se utara ja raha hun
main tarifon se mara ja raha hun
atā-e-shān-e-karīmī 'ajīb hotī hai
kinārā ḳhud hī tah-e-āb se nikal aayā
ata-e-shan-e-karimi 'ajib hoti hai
kinara KHud hi tah-e-ab se nikal aaya
bujhe sharar haiñ havā-e-visāl kī zad par
tirī nazar kā ishāra batā rahā hai mujhe
bujhe sharar hain hawa-e-visal ki zad par
teri nazar ka ishaara bata raha hai mujhe
na āstīn meñ ḳhanjar na lab pe shīrīnī
ye kaise 'aql ke dushman se dostī huī hai
na aastin mein KHanjar na lab pe shirini
ye kaise 'aql ke dushman se dosti hui hai
tunuk-mizāj hai malhūz yuuñ adab rakhnā
bahut sañbhal ke tum us ke laboñ pe lab rakhnā
tunuk-mizaj hai malhuz yun adab rakhna
bahut sanbhal ke tum us ke labon pe lab rakhna
dil kī hī kisī baat ko tahrīr na kar paa.e
likhne pe jab aa.e the to kyā kyā nahīñ likkhā
dil ki hi kisi baat ko tahrir na kar pae
likhne pe jab aae the to kya kya nahin likkha
'arzī insāf kī ham ne bhī lagā rakkhī hai
dekhiye zill-e-ilāhī hameñ kab pūchhte haiñ
'arzi insaf ki hum ne bhi laga rakkhi hai
dekhiye zill-e-ilahi hamein kab puchhte hain
kin guzargāhoñ ke haiñ gard-o-ġhubār āñkhoñ meñ
roz patjhaḌ ke hameñ ḳhvāb dikhātī hai havā
kin guzargahon ke hain gard-o-ghubar aankhon mein
roz patjhaD ke hamein KHwab dikhati hai hawa
'anjum' ā'sāb sañbhālo hai yahī rang-e-bahār
bū-e-shauq aane lagī yaar kī añgḌā.ī se
'anjum' aa'sab sanbhaalo hai yahi rang-e-bahaar
bu-e-shauq aane lagi yar ki angDai se
vahāñ bhī koī nahīñ thā ḳharāb-hāloñ kā
maiñ ho ke mimbar-o-mehrāb se nikal aayā
wahan bhi koi nahin tha KHarab-haalon ka
main ho ke mimbar-o-mehrab se nikal aaya
abhī se falsafa-e-reg-zār kī bāteñ
abhī to 'ishq ke maktab meñ hāzirī huī hai
abhi se falsafa-e-reg-zar ki baaten
abhi to 'ishq ke maktab mein haziri hui hai