Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Zaheer Dehlvi's Photo'

Zaheer Dehlvi

1825 - 1911 | Delhi, India

Sher of Zaheer Dehlvi

3.7K
Favorite

SORT BY

shirkat gunāh meñ bhī rahe kuchh savāb

tauba ke saath toḌiye botal sharāb

shirkat gunah mein bhi rahe kuchh sawab ki

tauba ke sath toDiye botal sharab ki

samjheñge na aġhyār ko aġhyār kahāñ tak

kab tak vo mohabbat ko mohabbat na kaheñge

samjhenge na aghyar ko aghyar kahan tak

kab tak wo mohabbat ko mohabbat na kahenge

chāhat jab mazā hai ki vo bhī hoñ be-qarār

donoñ taraf ho aag barābar lagī huī

chahat ka jab maza hai ki wo bhi hon be-qarar

donon taraf ho aag barabar lagi hui

ishq hai ishq to ik roz tamāshā hogā

aap jis muñh ko chhupāte haiñ dikhānā hogā

ishq hai ishq to ek roz tamasha hoga

aap jis munh ko chhupate hain dikhana hoga

ḳhair se rahtā hai raushan nām-e-nek

hashr tak jaltā hai nekī charāġh

KHair se rahta hai raushan nam-e-nek

hashr tak jalta hai neki ka charagh

sar pe ehsān rahā be-sar-o-sāmānī

ḳhār-e-sahrā se na uljhā kabhī dāman apnā

sar pe ehsan raha be-sar-o-samani ka

KHar-e-sahra se na uljha kabhi daman apna

kuchh to hote haiñ mohabbat meñ junūñ ke āsār

aur kuchh log bhī dīvāna banā dete haiñ

kuchh to hote hain mohabbat mein junun ke aasar

aur kuchh log bhi diwana bana dete hain

kabhī bolnā vo ḳhafā ḳhafā kabhī baiThnā vo judā judā

vo zamāna naaz o niyāz tumheñ yaad ho ki na yaad ho

kabhi bolna wo KHafa KHafa kabhi baiThna wo juda juda

wo zamana naz o niyaz ka tumhein yaad ho ki na yaad ho

dard aur dard bhī judā.ī

aise bīmār duā kab tak

dard aur dard bhi judai ka

aise bimar ki dua kab tak

kis hai jigar jis pe ye bedād karoge

lo dil tumheñ ham dete haiñ kyā yaad karoge

kis ka hai jigar jis pe ye bedad karoge

lo dil tumhein hum dete hain kya yaad karoge

chauñk paḌtā huuñ ḳhushī se jo vo aa jaate haiñ

ḳhvāb meñ ḳhvāb ta.abīr bigaḌ jaatī hai

chaunk paDta hun KHushi se jo wo aa jate hain

KHwab mein KHwab ki tabir bigaD jati hai

koī pūchhe to sahī ham se hamārī rūdād

ham to ḳhud shauq meñ afsāna bane baiThe haiñ

koi puchhe to sahi hum se hamari rudad

hum to KHud shauq mein afsana bane baiThe hain

ham aur chaah ġhair allāh se Daro

milte haiñ tum se bhī to tumhārī ḳhushī se ham

hum aur chah ghair ki allah se Daro

milte hain tum se bhi to tumhaari KHushi se hum

talḳh shikve lab-e-shīrīñ se maza dete haiñ

ghol kar shahd meñ vo zahr pilā dete haiñ

talKH shikwe lab-e-shirin se maza dete hain

ghol kar shahd mein wo zahr pila dete hain

insān vo kyā jis ko na ho paas zabāñ

ye koī tarīqa hai kahā aur kiyā aur

insan wo kya jis ko na ho pas zaban ka

ye koi tariqa hai kaha aur kiya aur

gudgudāyā jo unheñ naam kisī le kar

muskurāne lage vo muñh pe dupaTTa le kar

gudgudaya jo unhen nam kisi ka le kar

muskurane lage wo munh pe dupaTTa le kar

husn garmi-e-bāzār ilāhī tauba

aag aag barastī hai ḳharīdāroñ par

husn ki garmi-e-bazar ilahi tauba

aag si aag barasti hai KHaridaron par

tum ne pahlū meñ mire baiTh ke aafat Dhaa.ī

aur uThe bhī to ik hashr uThā kar uTThe

tum ne pahlu mein mere baiTh ke aafat Dhai

aur uThe bhi to ek hashr uTha kar uTThe

ba.ad marne ke bhī miTTī mirī barbād rahī

mirī taqdīr ke nuqsān kahāñ jaate haiñ

baad marne ke bhi miTTi meri barbaad rahi

meri taqdir ke nuqsan kahan jate hain

bazm-e-dushman meñ ke dekh liyā

le tujhe aazmā ke dekh liyā

bazm-e-dushman mein ja ke dekh liya

le tujhe aazma ke dekh liya

sab kuchh milā hameñ jo tire naqsh-e-pā mile

haadī mile dalīl mile rahnumā mile

sab kuchh mila hamein jo tere naqsh-e-pa mile

hadi mile dalil mile rahnuma mile

yahāñ dekhūñ vahāñ dekhūñ ise dekhūñ use dekhūñ

tumhārī ḳhud-numā.ī ne mujhe Daalā hai hairat meñ

yahan dekhun wahan dekhun ise dekhun use dekhun

tumhaari KHud-numai ne mujhe Dala hai hairat mein

hai dil meñ agar us se mohabbat irāda

le lījiye dushman ke liye ham se vafā qarz

hai dil mein agar us se mohabbat ka irada

le lijiye dushman ke liye hum se wafa qarz

paan ban ban ke mirī jaan kahāñ jaate haiñ

ye mire qatl ke sāmān kahāñ jaate haiñ

pan ban ban ke meri jaan kahan jate hain

ye mere qatl ke saman kahan jate hain

ai shaiḳh apne apne aqīde farq hai

hurmat jo dair hai vahī ḳhānqāh

ai shaiKH apne apne aqide ka farq hai

hurmat jo dair ki hai wahi KHanqah ki

muñh chhupānā paḌe na dushman se

ai shab-e-ġham sahar na ho jaa.e

munh chhupana paDe na dushman se

ai shab-e-gham sahar na ho jae

ishq kyā shai hai husn hai kyā chiiz

kuchh idhar hai kuchh udhar aag

ishq kya shai hai husn hai kya chiz

kuchh idhar ki hai kuchh udhar ki aag

āḳhir mile haiñ haath kisī kaam ke liye

phāḌe agar na jeb to phir kyā kare koī

aaKHir mile hain hath kisi kaam ke liye

phaDe agar na jeb to phir kya kare koi

hai lutf taġhāful meñ ke jalāne meñ

vaada to kiyā hotā go vo na vafā hotā

hai lutf taghaful mein ya ji ke jalane mein

wada to kiya hota go wo na wafa hota

qahr hai zahr hai aġhyār ko laanā shab-e-vasl

aise aane se to behtar hai na aanā shab-e-vasl

qahr hai zahr hai aghyar ko lana shab-e-wasl

aise aane se to behtar hai na aana shab-e-wasl

aaj tak koī na armān hamārā niklā

kyā kare koī tumhārā ruḳh-e-zebā le kar

aaj tak koi na arman hamara nikla

kya kare koi tumhaara ruKH-e-zeba le kar

kis āshufta-mizājī ḳhayāl aayā hai

aap hairān pareshān kahāñ jaate haiñ

kis ki aashufta-mizaji ka KHayal aaya hai

aap hairan pareshan kahan jate hain

aaj aa.e the ghaḌī bhar ko 'zahīr'-e-nākām

aap bhī ro.e hameñ saath rulā kar uTThe

aaj aae the ghaDi bhar ko 'zahir'-e-nakaam

aap bhi roe hamein sath rula kar uTThe

bujhā.ūñ kyā charāġh-e-sub.h-gāhī

mire ghar shaam honī hai sahar se

bujhaun kya charagh-e-subh-gahi

mere ghar sham honi hai sahar se

vo jitne duur khiñchte haiñ ta.alluq aur baḌhtā hai

nazar se vo jo pinhāñ haiñ to dil meñ haiñ ayaañ kyā-kyā

wo jitne dur khinchte hain talluq aur baDhta hai

nazar se wo jo pinhan hain to dil mein hain ayan kya-kya

hai sair nigāhoñ meñ shabistān adū

kyā mujh se chhupāte ho tamāshā mire dil

hai sair nigahon mein shabistan adu ki

kya mujh se chhupate ho tamasha mere dil ka

'zahīr'-e-ḳhasta-jāñ sach hai mohabbat kuchh burī shai hai

majāzī meñ haqīqī ke hue haiñ imtihāñ kyā kyā

'zahir'-e-KHasta-jaan sach hai mohabbat kuchh buri shai hai

majazi mein haqiqi ke hue hain imtihan kya kya

dil ko dār-us-surūr kahte haiñ

jalva-gāh-e-huzūr kahte haiñ

TRANSLATION

An aboded of ecstasy, the heart is called,

A house of thy glory, it is truly so-called.

Sagar Akbarabadi

dil ko dar-us-surur kahte hain

jalwa-gah-e-huzur kahte hain

TRANSLATION

An aboded of ecstasy, the heart is called,

A house of thy glory, it is truly so-called.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Speak Now