Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Manzar Bhopali's Photo'

Manzar Bhopali

1959 | Bhopal, India

Sher of Manzar Bhopali

4.1K
Favorite

SORT BY

aañkh bhar aa.ī kisī se jo mulāqāt huī

ḳhushk mausam thā magar TuuT ke barsāt huī

aankh bhar aai kisi se jo mulaqat hui

KHushk mausam tha magar TuT ke barsat hui

baap bojh Dhotā thā kyā jahez de paatā

is liye vo shahzādī aaj tak kuñvārī hai

bap bojh Dhota tha kya jahez de pata

is liye wo shahzadi aaj tak kunwari hai

ab samajh lete haiñ mīThe lafz kaḌvāhaTeñ

ho gayā hai zindagī tajraba thoḌā bahut

ab samajh lete hain miThe lafz ki kaDwahaTen

ho gaya hai zindagi ka tajraba thoDa bahut

aap hai adālat aap munsif bhī haiñ

ye to kahiye aap ke aib-o-hunar dekhegā kaun

aap hi ki hai adalat aap hi munsif bhi hain

ye to kahiye aap ke aib-o-hunar dekhega kaun

safar ke biich ye kaisā badal gayā mausam

ki phir kisī ne kisī taraf nahīñ dekhā

safar ke bich ye kaisa badal gaya mausam

ki phir kisi ne kisi ki taraf nahin dekha

ye kirdāroñ ke gande aa.ine apne ghar rakhiye

yahāñ par kaun kitnā pārsā hai ham samajhte haiñ

ye kirdaron ke gande aaine apne hi ghar rakhiye

yahan par kaun kitna parsa hai hum samajhte hain

in āñsuoñ koī qadr-dān mil jaa.e

ki ham bhī 'mīr' dīvān le ke aa.e haiñ

in aansuon ka koi qadr-dan mil jae

ki hum bhi 'mir' ka diwan le ke aae hain

ḳhud ko poshīda na rakkho band kaliyoñ tarah

phuul kahte haiñ tumheñ sab log to mahkā karo

KHud ko poshida na rakkho band kaliyon ki tarah

phul kahte hain tumhein sab log to mahka karo

āñdhiyāñ zor dikhā.eñ bhī to kyā hotā hai

gul khilāne hunar bād-e-sabā jāntī hai

aandhiyan zor dikhaen bhi to kya hota hai

gul khilane ka hunar baad-e-saba jaanti hai

hamāre dil pe jo zaḳhmoñ baab likkhā hai

isī meñ vaqt saarā hisāb likkhā hai

hamare dil pe jo zaKHmon ka bab likkha hai

isi mein waqt ka sara hisab likkha hai

koī taḳhlīq ho ḳhūn-e-jigar se janm letī hai

kahānī likh nahīñ sakte kahānī māñgne vaale

koi taKHliq ho KHun-e-jigar se janm leti hai

kahani likh nahin sakte kahani mangne wale

idhar to dard pyāla chhalakne vaalā hai

magar vo kahte haiñ ye dāstān kuchh kam hai

idhar to dard ka pyala chhalakne wala hai

magar wo kahte hain ye dastan kuchh kam hai

ik makāñ aur bulandī pe banāne na diyā

ham ko parvāz mauqa.a havā ne na diyā

ek makan aur bulandi pe banane na diya

hum ko parwaz ka mauqa hi hawa ne na diya

jo pārsā ho to kyuuñ imtihāñ se Darte ho

ham e'tibār mīzān le ke aa.e haiñ

jo parsa ho to kyun imtihan se Darte ho

hum e'tibar ka mizan le ke aae hain

din bhī Duubā ki nahīñ ye mujhe ma.alūm nahīñ

jis jagah bujh ga.e āñkhoñ ke diye raat huī

din bhi Duba ki nahin ye mujhe malum nahin

jis jagah bujh gae aankhon ke diye raat hui

ye ashk tere mire rā.egāñ na jā.eñge

unhīñ charāġhoñ se raushan mohabbateñ hoñgī

ye ashk tere mere raegan na jaenge

unhin charaghon se raushan mohabbaten hongi

unhīñ pe saare masā.ib bojh rakkhā hai

jo tere shahr meñ īmān le ke aa.e haiñ

unhin pe sare masaib ka bojh rakkha hai

jo tere shahr mein iman le ke aae hain

kamānoñ meñ khiñche haiñ tiir talvāreñ haiñ chamkī

zarā Thahro kahāñ jaate ho dariyā dekhne ko

kamanon mein khinche hain tir talwaren hain chamki

zara Thahro kahan jate ho dariya dekhne ko

kah do 'mīr'-o-'ġhālib' se ham bhī sher kahte haiñ

vo sadī tumhārī thī ye sadī hamārī hai

kah do 'mir'-o-'ghaalib' se hum bhi sher kahte hain

wo sadi tumhaari thi ye sadi hamari hai

Recitation

Speak Now