Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Zubair Rizvi's Photo'

Zubair Rizvi

1935 - 2016 | Delhi, India

One of the most prominent modern poets. Well-known broadcaster associated with All India Radio. Famous for his literary magazine Zahn-e-Jadeed.

One of the most prominent modern poets. Well-known broadcaster associated with All India Radio. Famous for his literary magazine Zahn-e-Jadeed.

Sher of Zubair Rizvi

5K
Favorite

SORT BY

tum apne chāñd taare kahkashāñ chāhe jise denā

mirī āñkhoñ pe apnī diid ik shaam likh denā

tum apne chand tare kahkashan chahe jise dena

meri aankhon pe apni did ki ek sham likh dena

ye lamha lamha takalluf ke TūTte rishte

na itne paas mire aa ki purānā lage

ye lamha lamha takalluf ke TuTte rishte

na itne pas mere aa ki tu purana lage

purāne log dariyāoñ meñ nekī Daal aate the

hamāre daur insān nekī kar ke chīḳhegā

purane log dariyaon mein neki Dal aate the

hamare daur ka insan neki kar ke chiKHega

shaam dahlīz par Thahrī huī yādeñ 'zubair'

ġham mehrāboñ ke dhundle ā.īne chamkā ga.iiñ

sham ki dahliz par Thahri hui yaaden 'zubair'

gham ki mehrabon ke dhundle aaine chamka gain

kyuuñ matā-e-dil ke luT jaane koī ġham kare

shahr-e-dillī meñ to aise vāqiye hote rahe

kyun mata-e-dil ke luT jaane ka koi gham kare

shahr-e-dilli mein to aise waqiye hote rahe

dhuāñ cigarette botal nasha sab dushman-e-jāñ haiñ

koī kahtā hai apne haath se ye talḳhiyāñ rakh do

dhuan cigarette ka botal ka nasha sab dushman-e-jaan hain

koi kahta hai apne hath se ye talKHiyan rakh do

idhar udhar se muqābil ko yuuñ na ghā.il kar

vo sañg pheñk ki be-sāḳhta nishāna lage

idhar udhar se muqabil ko yun na ghail kar

wo sang phenk ki be-saKHta nishana lage

kachchī dīvāroñ ko paanī lahar kaaT ga.ī

pahlī bārish ne barsāt Dhāyā hai mujhe

kachchi diwaron ko pani ki lahar kaT gai

pahli barish hi ne barsat ki Dhaya hai mujhe

jo na ik baar bhī chalte hue muḌ ke dekheñ

aisī maġhrūr tamannāoñ pīchhā na karo

jo na ek bar bhi chalte hue muD ke dekhen

aisi maghrur tamannaon ka pichha na karo

zindagī jin rifāqat pe bahut nāzāñ thī

un se bichhḌī to koī aañkh meñ aañsū bhī nahīñ

zindagi jin ki rifaqat pe bahut nazan thi

un se bichhDi to koi aankh mein aansu bhi nahin

nazar na aa.e to sau vahm dil meñ aate haiñ

vo ek shaḳhs jo aksar dikhā.ī detā hai

nazar na aae to sau wahm dil mein aate hain

wo ek shaKHs jo aksar dikhai deta hai

auratoñ āñkhoñ par kaale kaale chashme the sab sab barahana thiiñ

zāhidoñ ne jab dekhā sāhiloñ ye manzar likh diyā gunāhoñ meñ

auraton ki aankhon par kale kale chashme the sab ki sab barahana thin

zahidon ne jab dekha sahilon ka ye manzar likh diya gunahon mein

maiñ apnī dāstāñ ko āḳhir-e-shab tak to le aayā

tum is ḳhūbsūrat koī anjām likh denā

main apni dastan ko aaKHir-e-shab tak to le aaya

tum is ka KHubsurat sa koi anjam likh dena

surḳhiyāñ aḳhbār galiyoñ meñ ġhul kartī rahīñ

log apne band kamroñ meñ paḌe sote rahe

surKHiyan aKHbar ki galiyon mein ghul karti rahin

log apne band kamron mein paDe sote rahe

jaate mausam ne jinheñ chhoḌ diyā hai tanhā

mujh meñ un TūTte pattoñ jhalak hai kitnī

jate mausam ne jinhen chhoD diya hai tanha

mujh mein un TuTte patton ki jhalak hai kitni

koī TuuTā huā rishta na dāman se ulajh jaa.e

tumhāre saath pahlī baar bāzāroñ meñ niklā huuñ

koi TuTa hua rishta na daman se ulajh jae

tumhaare sath pahli bar bazaron mein nikla hun

apnī zaat ke saare ḳhufiya raste us par khol diye

jaane kis aalam meñ us ne haal hamārā pūchhā thā

apni zat ke sare KHufiya raste us par khol diye

jaane kis aalam mein us ne haal hamara puchha tha

vo jis ko duur se dekhā thā ajnabī tarah

kuchh is adā se milā hai ki dostāna lage

wo jis ko dur se dekha tha ajnabi ki tarah

kuchh is ada se mila hai ki dostana lage

jalā hai dil koī ghar ye dekhnā logo

havā.eñ phirtī haiñ chāroñ taraf dhuāñ le kar

jala hai dil ya koi ghar ye dekhna logo

hawaen phirti hain chaaron taraf dhuan le kar

gulāboñ ke hoñToñ pe lab rakh rahā huuñ

use der tak sochnā chāhtā huuñ

gulabon ke honTon pe lab rakh raha hun

use der tak sochna chahta hun

apnī pahchān ke sab rañg miTā do na kahīñ

ḳhud ko itnā ġham-e-jānāñ se shanāsā na karo

apni pahchan ke sab rang miTa do na kahin

KHud ko itna gham-e-jaanan se shanasa na karo

ġhazab dhaar thī ik sā.ebāñ sābit na rah paayā

hameñ ye zom thā bārish meñ apnā sar na bhīgegā

ghazab ki dhaar thi ek saeban sabit na rah paya

hamein ye zom tha barish mein apna sar na bhigega

kahāñ pe TuuTā thā rabt-e-kalām yaad nahīñ

hayāt duur talak ham se ham-kalām aa.ī

kahan pe TuTa tha rabt-e-kalam yaad nahin

hayat dur talak hum se ham-kalam aai

ajiib log the ḳhāmosh rah ke jiite the

diloñ meñ hurmat-e-sañg-e-sadā ke hote hue

ajib log the KHamosh rah ke jite the

dilon mein hurmat-e-sang-e-sada ke hote hue

ham ne paa.ī hai un ash.ār pe bhī daad 'zubair'

jin meñ us shoḳh tārīf ke pahlū bhī nahīñ

hum ne pai hai un ashaar pe bhi dad 'zubair'

jin mein us shoKH ki tarif ke pahlu bhi nahin

na.e gharoñ meñ na rauzan the aur na mehrābeñ

parinde lauT ga.e apne āshiyāñ le kar

nae gharon mein na rauzan the aur na mehraben

parinde lauT gae apne aashiyan le kar

bhaTak jaatī haiñ tum se duur chehroñ ke ta.āqub meñ

jo tum chāho mirī āñkhoñ pe apnī uñgliyāñ rakh do

bhaTak jati hain tum se dur chehron ke taaqub mein

jo tum chaho meri aankhon pe apni ungliyan rakh do

duur tak koī na aayā un rutoñ ko chhoḌne

bādaloñ ko jo dhanak chūḌiyāñ pahnā ga.iiñ

dur tak koi na aaya un ruton ko chhoDne

baadalon ko jo dhanak ki chuDiyan pahna gain

tum jahāñ apnī masāfat ke nishāñ chhoḌ ga.e

vo guzargāh mirī zaat vīrāna thā

tum jahan apni masafat ke nishan chhoD gae

wo guzargah meri zat ka virana tha

haa.e ye apnī sāda-mizājī atom ke is daur meñ bhī

agle vaqtoñ sharāfat DhūñD rahī hai shahroñ meñ

hae ye apni sada-mizaji atom ke is daur mein bhi

agle waqton ki si sharafat DhunD rahi hai shahron mein

suḳhan ke kuchh to guhar maiñ bhī nazr kartā chalūñ

ajab nahīñ ki kareñ yaad maah o saal mujhe

suKHan ke kuchh to guhar main bhi nazr karta chalun

ajab nahin ki karen yaad mah o sal mujhe

vo jis ko dekhne ik bhiiḌ umDī thī sar-e-maqtal

usī diid ko ham bhī sutūn-e-dār tak aa.e

wo jis ko dekhne ek bhiD umDi thi sar-e-maqtal

usi ki did ko hum bhi sutun-e-dar tak aae

Recitation

Speak Now