Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Abdur Rahim Nashtar's Photo'

Abdur Rahim Nashtar

1947 | Kamptee, India

Well-known poet and prose writer

Well-known poet and prose writer

Sher of Abdur Rahim Nashtar

790
Favorite

SORT BY

dekh rahā thā jaate jaate hasrat se

soch rahā hogā maiñ us ko rokūñgā

dekh raha tha jate jate hasrat se

soch raha hoga main us ko rokunga

vo so rahā hai ḳhudā duur āsmānoñ meñ

farishte loriyāñ gaate haiñ us ke kānoñ meñ

wo so raha hai KHuda dur aasmanon mein

farishte loriyan gate hain us ke kanon mein

maiñ terī chaah meñ jhūTā havas meñ sachchā huuñ

burā samajh le magar dūsroñ se achchhā huuñ

main teri chah mein jhuTa hawas mein sachcha hun

bura samajh le magar dusron se achchha hun

āvāz de rahā hai akelā ḳhudā mujhe

maiñ us ko sun rahā huuñ havāoñ ke kaan se

aawaz de raha hai akela KHuda mujhe

main us ko sun raha hun hawaon ke kan se

maiñ bhī tālāb Thahrā huā paanī thā kabhī

ek patthar ne ravāñ dhaar kiyā hai mujh ko

main bhi talab ka Thahra hua pani tha kabhi

ek patthar ne rawan dhaar kiya hai mujh ko

paan ke Thele hotel logoñ jamghaT

apne tanhā hone ehsās bhī kyā

pan ke Thele hotel logon ka jamghaT

apne tanha hone ka ehsas bhi kya

vo ajnabī tirī bāñhoñ meñ jo rahā shab bhar

kise ḳhabar ki vo din bhar kahāñ rahā hogā

wo ajnabi teri banhon mein jo raha shab bhar

kise KHabar ki wo din bhar kahan raha hoga

phaTe purāne badan se kise ḳharīd sakūñ

saje haiñ kāñch ke paikar baḌī dukānoñ meñ

phaTe purane badan se kise KHarid sakun

saje hain kanch ke paikar baDi dukanon mein

patthar ne pukārā thā maiñ āvāz dhun meñ

maujoñ tarah chāroñ taraf phail gayā huuñ

patthar ne pukara tha main aawaz ki dhun mein

maujon ki tarah chaaron taraf phail gaya hun

us ne chalte chalte lafzoñ zahrāb

mere jazboñ pyālī meñ Daal diyā

us ne chalte chalte lafzon ka zahrab

mere jazbon ki pyali mein Dal diya

apnī zaat ke sahrā meñ sulagte hue log

apnī parchhā.īñ se Takrā.e hayyūloñ se mile

apni hi zat ke sahra mein sulagte hue log

apni parchhain se Takrae hayyulon se mile

kuchh madhur tāneñ fazā meñ thartharā kar rah ga.iiñ

dhaan ke khetoñ meñ chanchal panchhiyoñ shor thā

kuchh madhur tanen faza mein tharthara kar rah gain

dhan ke kheton mein chanchal panchhiyon ka shor tha

phir ik na.e safar pe chalā huuñ makān se

koī pukārtā hai mujhe āsmān se

TRANSLATION

Again, for a new journey, to home I say goodbye,

For there is someone who is hailing me from sky.

Sagar Akbarabadi

phir ek nae safar pe chala hun makan se

koi pukarta hai mujhe aasman se

TRANSLATION

Again, for a new journey, to home I say goodbye,

For there is someone who is hailing me from sky.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now