aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Adeem Hashmi's Photo'

Adeem Hashmi

1946 - 2001 | Lahore, Pakistan

Popular Pakistani poet who gave voice to peple's life experiences.

Popular Pakistani poet who gave voice to peple's life experiences.

Sher of Adeem Hashmi

11.5K
Favorite

SORT BY

fāsle aise bhī hoñge ye kabhī sochā na thā

sāmne baiThā thā mere aur vo merā na thā

fasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha

samne baiTha tha mere aur wo mera na tha

kyuuñ parakhte ho savāloñ se javāboñ ko 'adīm'

hoñT achchhe hoñ to samjho ki savāl achchhā hai

kyun parakhte ho sawalon se jawabon ko 'adim'

honT achchhe hon to samjho ki sawal achchha hai

ik khilaunā TuuT jā.egā nayā mil jā.egā

maiñ nahīñ to koī tujh ko dūsrā mil jā.egā

ek khilauna TuT jaega naya mil jaega

main nahin to koi tujh ko dusra mil jaega

bichhaḌ ke tujh se na dekhā gayā kisī milāp

uḌā diye haiñ parinde shajar pe baiThe hue

bichhaD ke tujh se na dekha gaya kisi ka milap

uDa diye hain parinde shajar pe baiThe hue

huā hai jo sadā us ko nasīboñ likhā samjhā

'adīm' apne kiye par mujh ko pachhtānā nahīñ aatā

hua hai jo sada us ko nasibon ka likha samjha

'adim' apne kiye par mujh ko pachhtana nahin aata

yaad kar ke aur bhī taklīf hotī thī 'adīm'

bhuul jaane ke sivā ab koī bhī chārā na thā

yaad kar ke aur bhi taklif hoti thi 'adim'

bhul jaane ke siwa ab koi bhi chaara na tha

maah achchhā hai bahut na ye saal achchhā hai

phir bhī har ek se kahtā huuñ ki haal achchhā hai

mah achchha hai bahut hi na ye sal achchha hai

phir bhi har ek se kahta hun ki haal achchha hai

kaTī huī hai zamīñ koh se samundar tak

milā hai ghaao ye dariyā ko rāsta de kar

kaTi hui hai zamin koh se samundar tak

mila hai ghao ye dariya ko rasta de kar

ham bahar haal dil o jaañ se tumhāre hote

tum bhī ik-ādh ghaḌī kaash hamāre hote

hum bahar haal dil o jaan se tumhaare hote

tum bhi ik-adh ghaDi kash hamare hote

vo ki ḳhushbū tarah phailā thā mere chār-sū

maiñ use mahsūs kar saktā thā chhū saktā na thā

wo ki KHushbu ki tarah phaila tha mere chaar-su

main use mahsus kar sakta tha chhu sakta na tha

parinda jānib-e-dāna hamesha uḌ ke aatā hai

parinde taraf uḌ kar kabhī daana nahīñ aatā

parinda jaanib-e-dana hamesha uD ke aata hai

parinde ki taraf uD kar kabhi dana nahin aata

maiñ dariyā huuñ magar bahtā huuñ maiñ kohsār jānib

mujhe duniyā pastī meñ utar jaanā nahīñ aatā

main dariya hun magar bahta hun main kohsar ki jaanib

mujhe duniya ki pasti mein utar jaana nahin aata

biktā to nahīñ huuñ na mire daam bahut haiñ

raste meñ paḌā huuñ ki uThā koī aa kar

bikta to nahin hun na mere dam bahut hain

raste mein paDa hun ki uTha koi aa kar

jo mah o saal guzāre haiñ bichhaḌ kar ham ne

vo mah o saal agar saath guzāre hote

jo mah o sal guzare hain bichhaD kar hum ne

wo mah o sal agar sath guzare hote

sadā.eñ ek yaksāniyat meñ Duub jaatī haiñ

zarā muḳhtalif jis ne pukārā yaad rahtā hai

sadaen ek si yaksaniyat mein Dub jati hain

zara sa muKHtalif jis ne pukara yaad rahta hai

shor ek har ik samt bapā lagtā hai

vo ḳhamoshī hai ki lamha bhī sadā lagtā hai

shor sa ek har ek samt bapa lagta hai

wo KHamoshi hai ki lamha bhi sada lagta hai

vo jo tark-e-rabt ahd thā kahīñ TūTne to nahīñ lagā

tire dil ke dard ko dekh kar mire dil meñ dard hai kis liye

wo jo tark-e-rabt ka ahd tha kahin TuTne to nahin laga

tere dil ke dard ko dekh kar mere dil mein dard hai kis liye

mire hamrāh garche duur tak logoñ raunaq hai

magar jaise koī kam hai kabhī milne chale aao

mere hamrah garche dur tak logon ki raunaq hai

magar jaise koi kam hai kabhi milne chale aao

baḌā vīrān mausam hai kabhī milne chale aao

har ik jānib tirā ġham hai kabhī milne chale aao

TRANSLATION

The climate is so forlorn, sometime do come to meet,

Everywhere is thy grief, sometime do come to meet.

Sagar Akbarabadi

baDa viran mausam hai kabhi milne chale aao

har ek jaanib tera gham hai kabhi milne chale aao

TRANSLATION

The climate is so forlorn, sometime do come to meet,

Everywhere is thy grief, sometime do come to meet.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now