Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Aitbar Sajid's Photo'

Aitbar Sajid

1948 | Islamabad, Pakistan

Sher of Aitbar Sajid

12.7K
Favorite

SORT BY

kisī ko sāl-e-nau kyā mubārakbād jaa.e

calender ke badalne se muqaddar kab badaltā hai

kisi ko sal-e-nau ki kya mubarakbaad di jae

calender ke badalne se muqaddar kab badalta hai

maiñ takiye par sitāre bo rahā huuñ

janam-din hai akelā ro rahā huuñ

main takiye par sitare bo raha hun

janam-din hai akela ro raha hun

ek shahr meñ rahnā hai magar milnā nahīñ

dekhte haiñ ye aziyyat bhī gavāra kar ke

ek hi shahr mein rahna hai magar milna nahin

dekhte hain ye aziyyat bhi gawara kar ke

phuul the rañg the lamhoñ sabāhat ham the

aise zinda the ki jiine alāmat ham the

phul the rang the lamhon ki sabahat hum the

aise zinda the ki jine ki alamat hum the

ab to ḳhud apnī zarūrat bhī nahīñ hai ham ko

vo bhī din the ki kabhī terī zarūrat ham the

ab to KHud apni zarurat bhi nahin hai hum ko

wo bhi din the ki kabhi teri zarurat hum the

guftugū der se jaarī hai natīje ke baġhair

ik na.ī baat nikal aatī hai har baat ke saath

guftugu der se jari hai natije ke baghair

ek nai baat nikal aati hai har baat ke sath

ajab nasha hai tire qurb meñ ki chāhe

ye zindagī tirī āġhosh meñ guzar jaa.e

ajab nasha hai tere qurb mein ki ji chahe

ye zindagi teri aaghosh mein guzar jae

ye barsoñ ta.alluq toḌ denā chāhte haiñ ham

ab apne aap ko bhī chhoḌ denā chāhte haiñ ham

ye barson ka talluq toD dena chahte hain hum

ab apne aap ko bhi chhoD dena chahte hain hum

ham tire ḳhvāboñ jannat se nikal kar aa ga.e

dekh terā qasr-e-ālī-shān ḳhālī kar diyā

hum tere KHwabon ki jannat se nikal kar aa gae

dekh tera qasr-e-ali-shan KHali kar diya

tumheñ jab kabhī mileñ fursateñ mire dil se bojh utaar do

maiñ bahut dinoñ se udaas huuñ mujhe koī shaam udhār do

tumhein jab kabhi milen fursaten mere dil se bojh utar do

main bahut dinon se udas hun mujhe koi sham udhaar do

Diary meñ saare achchhe sher chun kar likh liye

ek laḌkī ne mirā dīvān ḳhālī kar diyā

Diary mein sare achchhe sher chun kar likh liye

ek laDki ne mera diwan KHali kar diya

phir vahī lambī do-pahreñ-surma.ī haiñ phir vahī dil hālat hai

bāhar kitnā sannāTā hai andar kitnī vahshat hai

phir wahi lambi do-pahren-surmai hain phir wahi dil ki haalat hai

bahar kitna sannaTa hai andar kitni wahshat hai

kise paane ḳhvāhish hai ki 'sājid'

maiñ rafta rafta ḳhud ko kho rahā huuñ

kise pane ki KHwahish hai ki 'sajid'

main rafta rafta KHud ko kho raha hun

rihā kar de qafas qaid se ghāyal parinde ko

kisī ke dard ko is dil meñ kitne saal pālegā

riha kar de qafas ki qaid se ghayal parinde ko

kisi ke dard ko is dil mein kitne sal palega

merī poshāk to pahchān nahīñ hai merī

dil meñ bhī jhāñk mirī zāhirī hālat pe na

meri poshak to pahchan nahin hai meri

dil mein bhi jhank meri zahiri haalat pe na ja

in dūriyoñ ne aur baḌhā haiñ qurbateñ

sab fāsle vabā tavālat se miT ga.e

in duriyon ne aur baDha di hain qurbaten

sab fasle waba ki tawalat se miT gae

ta.alluqāt meñ gahrā.iyāñ to achchhī haiñ

kisī se itnī magar qurbateñ bhī Thiik nahīñ

talluqat mein gahraiyan to achchhi hain

kisi se itni magar qurbaten bhi Thik nahin

abhī rail ke safar meñ haiñ bahut nihāl donoñ

kahīñ rog ban na jaa.e yahī saath do ghaḌī

abhi rail ke safar mein hain bahut nihaal donon

kahin rog ban na jae yahi sath do ghaDi ka

jo mirī shaboñ ke charāġh the jo mirī umiid ke baaġh the

vahī log haiñ mirī aarzū vahī sūrateñ mujhe chāhiyeñ

jo meri shabon ke charagh the jo meri umid ke bagh the

wahi log hain meri aarzu wahi suraten mujhe chahiyen

ta.alluq kirchiyoñ shakl meñ bikhrā to hai phir bhī

shikasta ā.īnoñ ko joḌ denā chāhte haiñ ham

talluq kirchiyon ki shakl mein bikhra to hai phir bhi

shikasta aainon ko joD dena chahte hain hum

muḳhtalif apnī kahānī hai zamāne bhar se

munfarid ham ġham-e-hālāt liye phirte haiñ

muKHtalif apni kahani hai zamane bhar se

munfarid hum gham-e-haalat liye phirte hain

jis ko ham ne chāhā thā vo kahīñ nahīñ is manzar meñ

jis ne ham ko pyaar kiyā vo sāmne vaalī mūrat hai

jis ko hum ne chaha tha wo kahin nahin is manzar mein

jis ne hum ko pyar kiya wo samne wali murat hai

bhiiḌ hai bar-sar-e-bāzār kahīñ aur chaleñ

aa mire dil mire ġham-ḳhvār kahīñ aur chaleñ

bhiD hai bar-sar-e-bazar kahin aur chalen

aa mere dil mere gham-KHwar kahin aur chalen

chhoTe chhoTe ka.ī be-faiz mafādāt ke saath

log zinda haiñ ajab sūrat-e-hālāt ke saath

chhoTe chhoTe kai be-faiz mafadat ke sath

log zinda hain ajab surat-e-haalat ke sath

judā.iyoñ ḳhalish us ne bhī na zāhir

chhupā.e apne ġham o iztirāb maiñ ne bhī

judaiyon ki KHalish us ne bhi na zahir ki

chhupae apne gham o iztirab main ne bhi

itnā paspā na ho dīvār se lag jā.egā

itne samjhaute na kar sūrat-e-hālāt ke saath

itna paspa na ho diwar se lag jaega

itne samjhaute na kar surat-e-haalat ke sath

diye muñDer pa rakh aate haiñ ham har shaam na jaane kyuuñ

shāyad us ke lauT aane kuchh imkān abhī baaqī hai

diye munDer pa rakh aate hain hum har sham na jaane kyun

shayad us ke lauT aane ka kuchh imkan abhi baqi hai

raste intiḳhāb zarūrī ho gayā

ab iḳhtitām-e-bāb zarūrī ho gayā

TRANSLATION

Choice of the path has become imperative,

Finale of the chapter has become imperative.

Sagar Akbarabadi

raste ka intiKHab zaruri sa ho gaya

ab iKHtitam-e-bab zaruri sa ho gaya

TRANSLATION

Choice of the path has become imperative,

Finale of the chapter has become imperative.

Sagar Akbarabadi

mujhe apne ruup dhuup do ki chamak sakeñ mire ḳhāl-o-ḳhad

mujhe apne rañg meñ rañg do mire saare rañg utaar do

mujhe apne rup ki dhup do ki chamak saken mere KHal-o-KHad

mujhe apne rang mein rang do mere sare rang utar do

makīnoñ ke ta.alluq se yaad aatī hai har bastī

vagarna sirf bām-o-dar se ulfat kaun rakhtā hai

makinon ke talluq hi se yaad aati hai har basti

wagarna sirf baam-o-dar se ulfat kaun rakhta hai

pahle ġham-e-furqat ke ye tevar to nahīñ the

rag rag meñ utartī huī tanhā.ī to ab hai

pahle gham-e-furqat ke ye tewar to nahin the

rag rag mein utarti hui tanhai to ab hai

barsoñ ba.ad hameñ dekhā to pahroñ us ne baat na

kuchh to gard-e-safar se bhāñpā kuchh āñkhoñ se jaan liyā

barson baad hamein dekha to pahron us ne baat na ki

kuchh to gard-e-safar se bhanpa kuchh aankhon se jaan liya

ġhazal fazā bhī DhūñDtī hai apne ḳhaas rañg

hamārā mas.ala faqat qalam davāt nahīñ

ghazal faza bhi DhunDti hai apne KHas rang ki

hamara masala faqat qalam dawat hi nahin

ye jo phūloñ se bharā shahr huā kartā thā

us ke manzar haiñ dil-āzār kahīñ aur chaleñ

ye jo phulon se bhara shahr hua karta tha

us ke manzar hain dil-azar kahin aur chalen

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now