Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ajeet Singh Hasrat's Photo'

Ajeet Singh Hasrat

Ludhiana, India

Sher of Ajeet Singh Hasrat

1.3K
Favorite

SORT BY

ban sañvar kar rahā karo 'hasrat'

us paḌ jaa.e ik nazar shāyad

ban sanwar kar raha karo 'hasrat'

us ki paD jae ek nazar shayad

bas ek balā hai mohabbat kaheñ jise

vo pāniyoñ meñ aag lagātī hai aaj bhī

bas ek hi bala hai mohabbat kahen jise

wo paniyon mein aag lagati hai aaj bhi

hazār chup sahī par us boltā chehra

ḳhamosh rah ke hameñ lā-javāb kar degā

hazar chup sahi par us ka bolta chehra

KHamosh rah ke hamein la-jawab kar dega

guzre jidhar se nuur bikhere chale ga.e

vo ham-safar hue to añdhere chale ga.e

guzre jidhar se nur bikhere chale gae

wo ham-safar hue to andhere chale gae

jis meñ insāniyat nahīñ rahtī

ham darinde haiñ aise jañgal ke

jis mein insaniyat nahin rahti

hum darinde hain aise jangal ke

kabhī maiñ rote rote hañs diyā kartā huuñ pāgal

kabhī maiñ hañste hañste āñsuoñ se bhiig jaatā huuñ

kabhi main rote rote hans diya karta hun pagal sa

kabhi main hanste hanste aansuon se bhig jata hun

pahle vaqtoñ meñ ho to ho shāyad

dostī ab hasīn gaalī hai

pahle waqton mein ho to ho shayad

dosti ab hasin gali hai

āḳhirī ummīd bhī āñkhoñ se chhalkā.e hue

kaun jānib chale haiñ tere Thukrā.e hue

aaKHiri ummid bhi aankhon se chhalkae hue

kaun si jaanib chale hain tere Thukrae hue

abhī kuchh aur tirī justujū rulā.egī

abhī kuchh aur bhaTaknā hai dar-ba-dar mujh ko

abhi kuchh aur teri justuju rulaegi

abhi kuchh aur bhaTakna hai dar-ba-dar mujh ko

rūThā yaar manānā hai

koī svāñg rachāo ab

ruTha yar manana hai

koi swang rachao ab

maiñ gahre pāniyoñ ko chiir detā huuñ magar 'hasrat'

jahāñ paanī bahut kam ho vahāñ maiñ Duub jaatā huuñ

main gahre paniyon ko chir deta hun magar 'hasrat'

jahan pani bahut kam ho wahan main Dub jata hun

ye garm garm se aañsū batā rahe haiñ yahī

zarūr aag kahīñ dil ke ās-pās lagī

ye garm garm se aansu bata rahe hain yahi

zarur aag kahin dil ke aas-pas lagi

tīrgī meñ nuur aa.egā nazar

Dūbte sūraj ko bhī sajda karo

tirgi mein nur aaega nazar

Dubte suraj ko bhi sajda karo

vo din havā hue vo zamāne guzar ga.e

bande jab qayām parī-zādiyoñ meñ thā

wo din hawa hue wo zamane guzar gae

bande ka jab qayam pari-zadiyon mein tha

ḳhaak meñ milnā thā āḳhir be-nishāñ honā thā

jalne vaale ke muqaddar meñ dhuāñ honā thā

KHak mein milna tha aaKHir be-nishan hona hi tha

jalne wale ke muqaddar mein dhuan hona hi tha

jinheñ thā shauq mela dekhne

vo saare log apne ghar ga.e haiñ

jinhen tha shauq mela dekhne ka

wo sare log apne ghar gae hain

sard aahoñ se dil aag bujhā

garm ashkoñ se jaam bhartā

sard aahon se dil ki aag bujha

garm ashkon se jam bharta ja

hamāre ahd ye alamiya hai

ujāle tīrgī se Dar ga.e haiñ

hamare ahd ka ye alamiya hai

ujale tirgi se Dar gae hain

hijr din kyuuñ chaḌhne paa.e

vasl shab tūlānī kar do

hijr ka din kyun chaDhne pae

wasl ki shab tulani kar do

tire payām se surḳh ho gayā hai badan

ki meñh paḌā nahīñ hai khil uThe kañval pahle

tere payam hi se surKH ho gaya hai badan

ki meinh paDa nahin hai khil uThe kanwal pahle

Recitation

Speak Now