Sher of Ali Akbar Natiq
koī na rasta naap sakā hai, ret pe chalne vāloñ kā
agle qadam par miT jā.egā pahlā naqsh hamārā bhī
koi na rasta nap saka hai, ret pe chalne walon ka
agle qadam par miT jaega pahla naqsh hamara bhi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
itnā āsāñ nahīñ paanī se shabīheñ dhonā
ḳhud bhī ro.egā musavvir ye qayāmat kar ke
itna aasan nahin pani se shabihen dhona
KHud bhi roega musawwir ye qayamat kar ke
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aadhe peḌ pe sabz parinde aadhā peḌ āsebī hai
kaise khule ye rām-kahānī kaun sā hissa merā hai
aadhe peD pe sabz parinde aadha peD aasebi hai
kaise khule ye ram-kahani kaun sa hissa mera hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ġhubār-e-shahr meñ use na DhūñD jo ḳhizāñ kī shab
havā kī raah se milā, havā kī raah par gayā
ghubar-e-shahr mein use na DhunD jo KHizan ki shab
hawa ki rah se mila, hawa ki rah par gaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
muḳhtasar baat thii, phailī kyuuñ sabā kī mānind
dard-mandoñ kā fasāna thaa, uchhālā kis ne
muKHtasar baat thi, phaili kyun saba ki manind
dard-mandon ka fasana tha, uchhaala kis ne
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bastiyoñ vaale to ḳhud oḌh ke patte, so.e
dil-e-āvāra tujhe raat sambhālā kis ne
bastiyon wale to KHud oDh ke patte, soe
dil-e-awara tujhe raat sambhaala kis ne
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
charāġh bāñTne vāloñ pa hairateñ na karo
ye āftāb haiñ, shab kī duā meñ shaad raheñ
charagh banTne walon pa hairaten na karo
ye aaftab hain, shab ki dua mein shad rahen
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sard rātoñ kī havā meñ uḌte pattoñ ke masīl
kaun tere shab-navardoñ ko sambhāle shahr meñ
sard raaton ki hawa mein uDte patton ke masil
kaun tere shab-nawardon ko sambhaale shahr mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hijāb aa gayā thā mujh ko dil ke iztirāb par
yahī sabab hai tere dar pe lauT kar na aa sakā
hijab aa gaya tha mujh ko dil ke iztirab par
yahi sabab hai tere dar pe lauT kar na aa saka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
āsmāñ ke rauzanoñ se lauT aatā thā kabhī
vo kabūtar ik havelī ke chhajoñ meñ kho gayā
aasman ke rauzanon se lauT aata tha kabhi
wo kabutar ek haweli ke chhajon mein kho gaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zard phūloñ meñ basā ḳhvāb meñ rahne vaalā
dhund meñ uljhā rahā niiñd meñ chalne vaalā
zard phulon mein basa KHwab mein rahne wala
dhund mein uljha raha nind mein chalne wala
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kisī kā saaya rah gayā galī ke ain moḌ par
usī habīb saa.e se banī hamārī dāstāñ
kisi ka saya rah gaya gali ke ain moD par
usi habib sae se bani hamari dastan
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo shaḳhs amar hai, jo pīvegā do chāñdoñ ke nuur
us kī āñkheñ sadā gulābī jo dekhe ik laal
wo shaKHs amar hai, jo piwega do chandon ke nur
us ki aankhen sada gulabi jo dekhe ek lal
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dhuup phailī to kahā dīvār ne jhuk kar mujhe
mil gale mere musāfir, mere saa.e ke habīb
dhup phaili to kaha diwar ne jhuk kar mujhe
mil gale mere musafir, mere sae ke habib
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
fāḳhtā.eñ boltī haiñ bajroñ ke des meñ
tū bhī sun le āsmāñ ye giit mere naam kā
faKHtaen bolti hain bajron ke des mein
tu bhi sun le aasman ye git mere nam ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download