Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Azeem Haider Syed's Photo'

Azeem Haider Syed

1971 | Karachi, Pakistan

Sher of Azeem Haider Syed

907
Favorite

SORT BY

dene vaale mujhe niiñd na de ḳhvāb to de

mujh ko mahtāb se aage bhī kahīñ jaanā hai

dene wale tu mujhe nind na de KHwab to de

mujh ko mahtab se aage bhi kahin jaana hai

ai shām-e-hijr-e-yār mirī gavāhī de

maiñ tere saath saath rahā ghar nahīñ gayā

ai sham-e-hijr-e-yar meri tu gawahi de

main tere sath sath raha ghar nahin gaya

libās dekh ke itnā hameñ ġharīb na jaan

hamārā ġham tirī imlāk se ziyāda hai

libas dekh ke itna hamein gharib na jaan

hamara gham teri imlak se ziyaada hai

isī liye to haar huā nahīñ malāl tak

vo mere saath saath thā uruuj se zavāl tak

TRANSLATION

For this reason I did not repent my defeat at all,

For she was with me throughout, from rise to fall.

Sagar Akbarabadi

isi liye to haar ka hua nahin malal tak

wo mere sath sath tha uruj se zawal tak

TRANSLATION

For this reason I did not repent my defeat at all,

For she was with me throughout, from rise to fall.

Sagar Akbarabadi

ne bhī saare zaḳhm kisī taur sah liye

maiñ bhī bichhaḌ ke liyā mar nahīñ gayā

tu ne bhi sare zaKHm kisi taur sah liye

main bhi bichhaD ke ji hi liya mar nahin gaya

bāzār-e-ārzū meñ kaTī rahī hai umr

ham ko ḳharīd le vo ḳharīdār chāhiye

bazar-e-arzu mein kaTi ja rahi hai umr

hum ko KHarid le wo KHaridar chahiye

ḳhayāl aatā hai akasr utaar pheñkūñ badan

ki ye libās mirī ḳhaak se ziyāda hai

KHayal aata hai akasr utar phenkun badan

ki ye libas meri KHak se ziyaada hai

kis liye ḳhud ko samajhtā hai vo patthar lakīr

us inkār bhī iqrār meñ aa saktā hai

kis liye KHud ko samajhta hai wo patthar ki lakir

us ka inkar bhi iqrar mein aa sakta hai

dhund meñ kho ke rah ga.iiñ sūrateñ mehr-o-māh

vaqt gard ne unheñ ḳhvāb-o-ḳhayāl kar diyā

dhund mein kho ke rah gain suraten mehr-o-mah si

waqt ki gard ne unhen KHwab-o-KHayal kar diya

saḌak ke paar chalā rahā hai bachtā huā

kisī haath koī mehrbān thāme hue

saDak ke par chala ja raha hai bachta hua

kisi ka hath koi mehrban thame hue

chaman ujāḌne vaalo tumheñ ḳhudā samjhe

tumheñ na aa.ī hayā phuul to hamāre ga.e

chaman ujaDne walo tumhein KHuda samjhe

tumhein na aai haya phul to hamare gae

sar pe sūraj hai to phir chhāñv se mahzūz na ho

dhuup rañg bhī dīvār meñ aa saktā hai

sar pe suraj hai to phir chhanw se mahzuz na ho

dhup ka rang bhi diwar mein aa sakta hai

un se bhī pūchhiye kabhī apnī zamīñ karb

jo sāhiloñ ko chhoḌ ke dariyā meñ aa ga.e

un se bhi puchhiye kabhi apni zamin ka karb

jo sahilon ko chhoD ke dariya mein aa gae

sab mojazoñ ke baab meñ ye mojaza bhī ho

jo log mar ga.e haiñ unheñ ḳhaak se uThā

sab mojazon ke bab mein ye mojaza bhi ho

jo log mar gae hain unhen KHak se uTha

kyā DhūñDne niklī hai kisī qais ko pāgal

is darja jo ye bād-e-bayābānī huī hai

kya DhunDne nikli hai kisi qais ko pagal

is darja jo ye baad-e-bayabani hui hai

aahan o sañg ko zahrāb-e-fanā chaaT gayā

pahle dīvār shikasta huī phir baab girā

aahan o sang ko zahrab-e-fana chaT gaya

pahle diwar shikasta hui phir bab gira

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now