Sher of Azm Shakri
aaj kī raat divālī hai diye raushan haiñ
aaj kī raat ye lagtā hai maiñ so saktā huuñ
aaj ki raat diwali hai diye raushan hain
aaj ki raat ye lagta hai main so sakta hun
zaḳhm jo tum ne diyā vo is liye rakkhā harā
zindagī meñ kyā bachegā zaḳhm bhar jaane ke ba.ad
zaKHm jo tum ne diya wo is liye rakkha hara
zindagi mein kya bachega zaKHm bhar jaane ke baad
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vaqt-e-ruḳhsat āb-dīda aap kyuuñ haiñ
jism se to jaañ hamārī jā rahī hai
waqt-e-ruKHsat aab-dida aap kyun hain
jism se to jaan hamari ja rahi hai
-
Tag : Aab Deedah
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ ne ik shahr hamesha ke liye chhoḌ diyā
lekin us shahr ko ā.ankhoñ meñ basā laayā huuñ
main ne ek shahr hamesha ke liye chhoD diya
lekin us shahr ko aaankhon mein basa laya hun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
yuuñ baar baar mujh ko sadā.eñ na dījiye
ab vo nahīñ rahā huuñ koī dūsrā huuñ maiñ
yun bar bar mujh ko sadaen na dijiye
ab wo nahin raha hun koi dusra hun main
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
āñsuoñ se likh rahe haiñ bebasī kī dāstāñ
lag rahā hai dard kī tasvīr ban jā.eñge ham
aansuon se likh rahe hain bebasi ki dastan
lag raha hai dard ki taswir ban jaenge hum
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
saare dukh so jā.eñge lekin ik aisā ġham bhī hai
jo mire bistar pe sadiyoñ kā safar rakh jā.egā
sare dukh so jaenge lekin ek aisa gham bhi hai
jo mere bistar pe sadiyon ka safar rakh jaega
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zindagī merī mujhe qaid kiye detī hai
is ko Dar hai maiñ kisī aur kā ho saktā huuñ
zindagi meri mujhe qaid kiye deti hai
is ko Dar hai main kisi aur ka ho sakta hun
ajiib hālat hai jism-o-jāñ kī hazār pahlū badal rahā huuñ
vo mere andar utar gayā hai maiñ ḳhud se bāhar nikal rahā huuñ
ajib haalat hai jism-o-jaan ki hazar pahlu badal raha hun
wo mere andar utar gaya hai main KHud se bahar nikal raha hun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shab kī āġhosh meñ mahtāb utārā us ne
merī ā.ankhoñ meñ koī ḳhvāb utārā us ne
shab ki aaghosh mein mahtab utara us ne
meri aaankhon mein koi KHwab utara us ne
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye jo dīvār añdheroñ ne uThā rakkhī hai
merā maqsad isī dīvār meñ dar karnā hai
ye jo diwar andheron ne uTha rakkhi hai
mera maqsad isi diwar mein dar karna hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mere jism se vaqt ne kapḌe noch liye
manzar manzar ḳhud merī poshāk huā
mere jism se waqt ne kapDe noch liye
manzar manzar KHud meri poshak hua
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
agar saa.e se jal jaane kā itnā ḳhauf thā to phir
sahar hote hī sūraj kī nigahbānī meñ aa jaate
agar sae se jal jaane ka itna KHauf tha to phir
sahar hote hi suraj ki nigahbani mein aa jate
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ us ko DhūñDhne niklā to ḳhud ko le aayā
vo merī zaat ke andar kahīñ chhupā niklā
main us ko DhunDhne nikla to KHud ko le aaya
wo meri zat ke andar kahin chhupa nikla
ye naqlī sajde ye dast-bosī ye jhūTī 'izzat tumheñ mubārak
ham ek miTTī ke aadmī haiñ mazār hone se Dar rahe haiñ
ye naqli sajde ye dast-bosi ye jhuTi 'izzat tumhein mubarak
hum ek miTTi ke aadmi hain mazar hone se Dar rahe hain
sīna-e-sabr pe ik bār-e-alam rah gayā hai
ek pattā hī sahī shāḳh pe nam rah gayā hai
sina-e-sabr pe ek bar-e-alam rah gaya hai
ek patta hi sahi shaKH pe nam rah gaya hai
parinde yādoñ ke aate haiñ lauT jaate haiñ
badan kī ret pe koī shajar zarūrī hai
parinde yaadon ke aate hain lauT jate hain
badan ki ret pe koi shajar zaruri hai
raushniyāñ chalī ga.iiñ shaam ke eqtidār meñ
tīra-shabī kā azhdahā saare diye nigal gayā
raushniyan chali gain sham ke eqtidar mein
tira-shabi ka azhdaha sare diye nigal gaya
utar hī jā.egā ik din ḳhumār gandum kā
ye kyā ki har ghaḌī raftār-e-jāñ ko takte raho
utar hi jaega ek din KHumar gandum ka
ye kya ki har ghaDi raftar-e-jaan ko takte raho
vo chāñd sī hatheliyāñ vo raushnī sī uñgliyāñ
ye kis ne mujh ko chhū liyā bujhe charāġh jal ga.e
wo chand si hatheliyan wo raushni si ungliyan
ye kis ne mujh ko chhu liya bujhe charagh jal gae
vahī sharāb se ḳhālī gilās bharte hue
maiñ chaḌh rahā huuñ abhī sīḌhiyāñ utarte hue
wahi sharab se KHali gilas bharte hue
main chaDh raha hun abhi siDhiyan utarte hue