Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher of Ejaz Gul

792
Favorite

SORT BY

har mulāqāt anjām judā.ī thā agar

phir ye hañgāma mulāqāt se pahle kyā thā

har mulaqat ka anjam judai tha agar

phir ye hangama mulaqat se pahle kya tha

maiñ umr ko to mujhe umr khīñchtī hai ulaT

tazād samt hai asp aur savār ke biich

main umr ko to mujhe umr khinchti hai ulaT

tazad samt ka hai asp aur sawar ke bich

natīja ek niklā dimāġh aur dil

ki donoñ haar ga.e imtihāñ meñ duniyā ke

natija ek sa nikla dimagh aur dil ka

ki donon haar gae imtihan mein duniya ke

dhuup javānī yārāna apnī jagah

thak jaatā hai jism to saaya māñgtā hai

dhup jawani ka yarana apni jagah

thak jata hai jism to saya mangta hai

ajiib shaḳhs thā maiñ bhī bhulā nahīñ paayā

kiyā na us ne bhī inkār yaad aane se

ajib shaKHs tha main bhi bhula nahin paya

kiya na us ne bhi inkar yaad aane se

koī sabab to hai aisā ki ek umr se haiñ

zamāna mujh se ḳhafā aur maiñ zamāne se

koi sabab to hai aisa ki ek umr se hain

zamana mujh se KHafa aur main zamane se

ho nahīñ paayā hai samjhauta kabhī donoñ ke biich

jhuuT andar se hai sach bāhar se uktāyā huā

ho nahin paya hai samjhauta kabhi donon ke bich

jhuT andar se hai sach bahar se uktaya hua

qismat ḳharābī hai ki jaatā huuñ ġhalat samt

paḌtā hai bayābān bayābān se aage

qismat ki KHarabi hai ki jata hun ghalat samt

paDta hai bayaban bayaban se aage

atvār us ke dekh ke aatā nahīñ yaqīñ

insāñ sunā gayā hai ki āfāq meñ rahā

atwar us ke dekh ke aata nahin yaqin

insan suna gaya hai ki aafaq mein raha

dar khol ke dekhūñ zarā idrāk se bāhar

ye shor kaisā hai mirī ḳhaak se bāhar

dar khol ke dekhun zara idrak se bahar

ye shor sa kaisa hai meri KHak se bahar

sust-rau musāfir qismatoñ pe kyā ronā

tez chalne vaalā bhī dasht-e-be-amāñ meñ hai

sust-rau musafir ki qismaton pe kya rona

tez chalne wala bhi dasht-e-be-aman mein hai

be-sabab jama.a to kartā nahīñ tiir o tarkash

kuchh hadaf hogā zamāne sitamgārī

be-sabab jama to karta nahin tir o tarkash

kuchh hadaf hoga zamane ki sitamgari ka

dinoñ mahīnoñ āñkheñ roiiñ na.ī rutoñ ḳhvāhish meñ

rut badlī to sūkhe patte dahlīzoñ meñ dar aa.e

dinon mahinon aankhen roin nai ruton ki KHwahish mein

rut badli to sukhe patte dahlizon mein dar aae

jo qissa-go ne sunāyā vahī sunā gayā hai

agar thā is se sivā to nahīñ kahā gayā hai

jo qissa-go ne sunaya wahi suna gaya hai

agar tha is se siwa to nahin kaha gaya hai

kabhī qatār se bāhar kabhī qatār ke biich

maiñ hijr-zād huā ḳharch intizār ke biich

kabhi qatar se bahar kabhi qatar ke bich

main hijr-zad hua KHarch intizar ke bich

mashq-e-suḳhan meñ dil bhī hamesha se hai sharīk

lekin hai is meñ kaam ziyāda dimāġh

mashq-e-suKHan mein dil bhi hamesha se hai sharik

lekin hai is mein kaam ziyaada dimagh ka

hairat hai sab talāsh pe us rahe musir

paayā gayā surāġh na jis be-surāġh

hairat hai sab talash pe us ki rahe musir

paya gaya suragh na jis be-suragh ka

havā ke khel meñ shirkat ke vāste mujh ko

ḳhizāñ ne shāḳh se pheñkā hai rahguzār ke biich

hawa ke khel mein shirkat ke waste mujh ko

KHizan ne shaKH se phenka hai rahguzar ke bich

hotā hai phir vo aur kisī yaad ke supurd

rakhtā huuñ jo sambhāl ke lamha farāġh

hota hai phir wo aur kisi yaad ke supurd

rakhta hun jo sambhaal ke lamha faragh ka

kuchh der Thahar aur zarā dekh tamāshā

nāpaid haiñ ye raunaqeñ is ḳhaak se bāhar

kuchh der Thahar aur zara dekh tamasha

napaid hain ye raunaqen is KHak se bahar

uThā rakhī hai kisī ne kamān sūraj

girā rahā hai mire raat din nishāne se

uTha rakhi hai kisi ne kaman suraj ki

gira raha hai mere raat din nishane se

nahīñ khultā ki āḳhir ye tilismātī tamāshā

zamīñ ke is taraf aur āsmāñ ke us taraf kyā hai

nahin khulta ki aaKHir ye tilismati tamasha sa

zamin ke is taraf aur aasman ke us taraf kya hai

paayā na kuchh ḳhalā ke sivā aks-e-hairatī

guzrā thā ār-pār hazār aa.ine ke saath

paya na kuchh KHala ke siwa aks-e-hairati

guzra tha aar-par hazar aaine ke sath

chāhā thā mafar dil ne magar zulf-e-girah-gīr

pechāk banātī rahī pechāk se bāhar

chaha tha mafar dil ne magar zulf-e-girah-gir

pechaak banati rahi pechaak se bahar

bujhī nahīñ mire ātish-kade aag abhī

uThā nahīñ hai badan se dhuāñ kahāñ gayā maiñ

bujhi nahin mere aatish-kade ki aag abhi

uTha nahin hai badan se dhuan kahan gaya main

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now