Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Faisal Ajmi's Photo'

Faisal Ajmi

1951 | Pakistan

Sher of Faisal Ajmi

3.1K
Favorite

SORT BY

maiñ zaḳhm khā ke girā thā ki thaam us ne liyā

muaaf kar ke mujhe intiqām us ne liyā

main zaKHm kha ke gira tha ki tham us ne liya

muaf kar ke mujhe intiqam us ne liya

āvāz de rahā thā koī mujh ko ḳhvāb meñ

lekin ḳhabar nahīñ ki bulāyā kahāñ gayā

aawaz de raha tha koi mujh ko KHwab mein

lekin KHabar nahin ki bulaya kahan gaya

ab vo titlī hai na vo umr ta.āqub vaalī

maiñ na kahtā thā bahut duur na jaanā mire dost

ab wo titli hai na wo umr taaqub wali

main na kahta tha bahut dur na jaana mere dost

kabhī dekhā nahīñ us ne pareshāñ mujh ko

maiñ ki rahtā huuñ sadā apnī nigahbānī meñ

kabhi dekha hi nahin us ne pareshan mujh ko

main ki rahta hun sada apni nigahbani mein

harf apne ma.ānī tarah hotā hai

pyaas zā.iqa paanī tarah hotā hai

harf apne hi maani ki tarah hota hai

pyas ka zaiqa pani ki tarah hota hai

us ko jaane de agar jaatā hai

zahr kam ho to utar jaatā hai

us ko jaane de agar jata hai

zahr kam ho to utar jata hai

chand ḳhushiyoñ ko baham karne meñ

aadmī kitnā bikhar jaatā hai

chand KHushiyon ko baham karne mein

aadmi kitna bikhar jata hai

TūTtā hai to TuuT jaane do

aa.ine se nikal rahā huuñ maiñ

TuTta hai to TuT jaane do

aaine se nikal raha hun main

maiñ so gayā to koī niiñd se uThā mujh meñ

phir apne haath meñ sab intizām us ne liyā

main so gaya to koi nind se uTha mujh mein

phir apne hath mein sab intizam us ne liya

kabhī bhulāyā kabhī yaad kar liyā us ko

ye kaam hai to bahut mujh se kaam us ne liyā

kabhi bhulaya kabhi yaad kar liya us ko

ye kaam hai to bahut mujh se kaam us ne liya

shajar se bichhḌā huā barg-e-ḳhushk huuñ 'faisal'

havā ne apne gharāne meñ rakh liyā hai mujhe

shajar se bichhDa hua barg-e-KHushk hun 'faisal'

hawa ne apne gharane mein rakh liya hai mujhe

adāvatoñ meñ jo ḳhalq-e-ḳhudā lagī huī hai

mohabbatoñ ko koī bad-duā lagī huī hai

adawaton mein jo KHalq-e-KHuda lagi hui hai

mohabbaton ko koi bad-dua lagi hui hai

kyā ilm ki rote hoñ to mar jaate hoñ 'faisal'

vo log jo āñkhoñ ko kabhī nam nahīñ karte

kya ilm ki rote hon to mar jate hon 'faisal'

wo log jo aankhon ko kabhi nam nahin karte

jism thaktā nahīñ chalne se ki vahshat safar

ḳhvāb meñ naql-e-makānī tarah hotā hai

jism thakta nahin chalne se ki wahshat ka safar

KHwab mein naql-e-makani ki tarah hota hai

aaj phir ā.īna dekhā hai ka.ī saal ke baad

kahīñ is baar bhī ujlat to nahīñ ga.ī hai

aaj phir aaina dekha hai kai sal ke baad

kahin is bar bhi ujlat to nahin ki gai hai

roz aaseb aate jaate haiñ

aisā kyā hai ġharīb-ḳhāne meñ

roz aaseb aate jate hain

aisa kya hai gharib-KHane mein

raat sitāroñ vaalī thī aur dhuup bharā thā din

jab tak āñkheñ dekh rahī thiiñ manzar achchhe the

raat sitaron wali thi aur dhup bhara tha din

jab tak aankhen dekh rahi thin manzar achchhe the

dukh nahīñ hai ki jal rahā huuñ maiñ

raushnī meñ badal rahā huuñ maiñ

TRANSLATION

I grieve not that I am burning

Into radiance I am turning.

Sagar Akbarabadi

dukh nahin hai ki jal raha hun main

raushni mein badal raha hun main

TRANSLATION

I grieve not that I am burning

Into radiance I am turning.

Sagar Akbarabadi

ḳhauf ġharqāb ho gayā 'faisal'

ab samundar pe chal rahā huuñ maiñ

KHauf gharqab ho gaya 'faisal'

ab samundar pe chal raha hun main

ḳhvāb-e-digar hai tirī tadfīn kahāñ ho

dil meñ to kisī aur ko dafnāyā huā hai

tu KHwab-e-digar hai teri tadfin kahan ho

dil mein to kisi aur ko dafnaya hua hai

'faisal' mukālima thā havāoñ phuul se

vo shor thā ki mujh se sunā tak nahīñ gayā

'faisal' mukalima tha hawaon ka phul se

wo shor tha ki mujh se suna tak nahin gaya

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now