Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Liyaqat Ali Aasim's Photo'

Liyaqat Ali Aasim

1951 - 2019 | Karachi, Pakistan

Prominent Pakistani poet and linguist

Prominent Pakistani poet and linguist

Sher of Liyaqat Ali Aasim

8.9K
Favorite

SORT BY

ham ne tujhe dekhā nahīñ kyā eid manā.eñ

jis ne tujhe dekhā ho use eid mubārak

hum ne tujhe dekha nahin kya eid manaen

jis ne tujhe dekha ho use eid mubarak

zarā saath do ġham ke safar meñ

zarā muskurā do thak gayā huuñ

zara sa sath do gham ke safar mein

zara sa muskura do thak gaya hun

zamānoñ ba.ad mile haiñ to kaise muñh pherūñ

mire liye to purānī sharāb haiñ mire dost

zamanon baad mile hain to kaise munh pherun

mere liye to purani sharab hain mere dost

shaam ke saa.e meñ jaise peḌ saayā mile

mere miTne tamāshā dekhne chiiz thī

sham ke sae mein jaise peD ka saya mile

mere miTne ka tamasha dekhne ki chiz thi

mujhe manāo nahīñ merā mas.ala samjho

ḳhafā nahīñ maiñ pareshān huuñ zamāne se

mujhe manao nahin mera masala samjho

KHafa nahin main pareshan hun zamane se

guzishta saal koī maslahat rahī hogī

guzishta saal ke sukh ab ke saal de maulā

guzishta sal koi maslahat rahi hogi

guzishta sal ke sukh ab ke sal de maula

vo jo āñsuoñ zabān thī mujhe ga.ī

vo jo bebasī ke kalām the mujhe khā ga.e

wo jo aansuon ki zaban thi mujhe pi gai

wo jo bebasi ke kalam the mujhe kha gae

kabhī ye ġhalat kabhī vo ġhalat kabhī sab ġhalat

ye ḳhayāl-e-puḳhta jo ḳhaam the mujhe khā ga.e

kabhi ye ghalat kabhi wo ghalat kabhi sab ghalat

ye KHayal-e-puKHta jo KHam the mujhe kha gae

mujhe manāo nahīñ merā mas.ala samjho

ḳhafā nahīñ maiñ pareshān huuñ zamāne se

mujhe manao nahin mera masala samjho

KHafa nahin main pareshan hun zamane se

bahut zaḳhīm kitāboñ se chun ke laayā huuñ

inheñ paḌho varaq-e-intiḳhāb haiñ mire dost

bahut zaKHim kitabon se chun ke laya hun

inhen paDho waraq-e-intiKHab hain mere dost

bahut roī huī lagtī haiñ āñkheñ

mirī ḳhātir zarā kājal lagā lo

bahut roi hui lagti hain aankhen

meri KHatir zara kajal laga lo

manānā zarūrī hai to phir tum

hameñ sab se ḳhafā ho kar manā lo

manana hi zaruri hai to phir tum

hamein sab se KHafa ho kar mana lo

mirī jānib na ab baḌhnā mohabbat

maiñ ab pahle se mushkil rāsta huuñ

meri jaanib na ab baDhna mohabbat

main ab pahle se mushkil rasta hun

is safar se koī lauTā nahīñ kis se pūchheñ

kaisī manzil hai jahān-e-guzarāñ se aage

is safar se koi lauTa nahin kis se puchhen

kaisi manzil hai jahan-e-guzaran se aage

qayāmat tak rahegī ruuh ābād

mohabbat hai to ham zinda raheñge

qayamat tak rahegi ruh aabaad

mohabbat hai to hum zinda rahenge

merī rāteñ bhī siyah din bhī añdhere mere

rañg ye mere muqaddar meñ kahāñ se aayā

meri raaten bhi siyah din bhi andhere mere

rang ye mere muqaddar mein kahan se aaya

bebasī zahr siine meñ utar jaatā hai kyā

maiñ jise āvāz detā huuñ vo mar jaatā hai kyā

bebasi ka zahr sine mein utar jata hai kya

main jise aawaz deta hun wo mar jata hai kya

kahāñ tak ek tamsīl dekhūñ

bas ab parda girā do thak gayā huuñ

kahan tak ek hi tamsil dekhun

bas ab parda gira do thak gaya hun

varna suqrāt mar gayā hotā

us piyāle meñ zahr thā nahīñ

warna suqraat mar gaya hota

us piyale mein zahr tha hi nahin

'āsim' vo koī dost nahīñ thā jo Thertā

duniyā thī apne kaam se aage nikal ga.ī

'asim' wo koi dost nahin tha jo Therta

duniya thi apne kaam se aage nikal gai

mujhe dorāhe pe laane vāloñ ne ye na sochā

maiñ chhoḌ dūñgā ye rāsta bhī vo rāsta bhī

mujhe dorahe pe lane walon ne ye na socha

main chhoD dunga ye rasta bhi wo rasta bhi

butān-e-shahr tumhāre larazte hāthoñ meñ

koī to sañg ho aisā ki merā sar le jaa.e

butan-e-shahr tumhaare larazte hathon mein

koi to sang ho aisa ki mera sar le jae

āj-kal mere tasarruf meñ nahīñ hai lekin

zindagī shahr meñ hogī kahīñ do chaar ke paas

aaj-kal mere tasarruf mein nahin hai lekin

zindagi shahr mein hogi kahin do chaar ke pas

kahīñ aisā na ho dāman jalā lo

hamāre āñsuoñ par ḳhaak Daalo

TRANSLATION

May you not burn your skirt,

On my tears, pray throw dirt.

Sagar Akbarabadi

kahin aisa na ho daman jala lo

hamare aansuon par KHak Dalo

TRANSLATION

May you not burn your skirt,

On my tears, pray throw dirt.

Sagar Akbarabadi

duur tak saath chalā ek sag-e-āvāra

aaj tanhā.ī auqāt pe ronā aaya

dur tak sath chala ek sag-e-awara

aaj tanhai ki auqat pe rona aaya

sunnat hai koī hijrat-e-sānī bhalā batāo

jaatā hai koī apne madīne ko chhoḌ kar

sunnat hai koi hijrat-e-sani bhala batao

jata hai koi apne madine ko chhoD kar

kaisā hujūm-e-kūcha-e-tanhā.ī thā ki maiñ

aage baḌhā na dast-o-garebāñ hue baġhair

kaisa hujum-e-kucha-e-tanhai tha ki main

aage baDha na dast-o-gareban hue baghair

kashmakash nāḳhun-o-dandāñ thame to phir maiñ

gul-e-ā.īna se khīñchūñ rag-e-hairānī ko

kashmakash naKHun-o-dandan ki thame to phir main

gul-e-aina se khinchun rag-e-hairani ko

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now