Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mohsin Asrar's Photo'

Mohsin Asrar

1948 | Pakistan

Sher of Mohsin Asrar

3K
Favorite

SORT BY

aañkh se aañkh milānā to suḳhan mat karnā

Tok dene se kahānī mazā jaatā hai

aankh se aankh milana to suKHan mat karna

Tok dene se kahani ka maza jata hai

ajiib shaḳhs thā lauTā gayā mirā sab kuchh

muāvza na liyā dekh-bhāl karne

ajib shaKHs tha lauTa gaya mera sab kuchh

muawza na liya dekh-bhaal karne ka

bahut kuchh tum se kahnā thā magar maiñ kah na paayā

lo merī Diary rakh lo mujhe niiñd aa rahī hai

bahut kuchh tum se kahna tha magar main kah na paya

lo meri Diary rakh lo mujhe nind aa rahi hai

vo majbūrī maut hai jis meñ kaase ko buniyād mile

pyaas shiddat jab baḌhtī hai Dar lagtā hai paanī se

wo majburi maut hai jis mein kase ko buniyaad mile

pyas ki shiddat jab baDhti hai Dar lagta hai pani se

maiñ baiTh gayā ḳhaak pe tasvīr banāne

jo kibr the mujh meñ vo tirī yaad se nikle

main baiTh gaya KHak pe taswir banane

jo kibr the mujh mein wo teri yaad se nikle

javāb detā hai mere har ik savāl vo

magar savāl bhī us taraf se hotā hai

jawab deta hai mere har ek sawal ka wo

magar sawal bhi us ki taraf se hota hai

'mohsin' bure dinoñ meñ nayā dost kaun ho

hai jis pahlā qarz usī se savāl kar

'mohsin' bure dinon mein naya dost kaun ho

hai jis ka pahla qarz usi se sawal kar

guzar chukā hai zamāna visāl karne

ye koī vaqt hai tere kamāl karne

guzar chuka hai zamana visal karne ka

ye koi waqt hai tere kamal karne ka

havā charāġh bujhāne lagī to ham ne bhī

diye lau jagah terā intizār rakhā

hawa charagh bujhane lagi to hum ne bhi

diye ki lau ki jagah tera intizar rakha

jaise sajde meñ qatl ho koī

aisā hotā hai chāhatoñ mazā

jaise sajde mein qatl ho koi

aisa hota hai chahaton ka maza

bahut achchhā tirī qurbat meñ guzrā aaj din

bas ab ghar jā.eñge aur kal tayyārī kareñge

bahut achchha teri qurbat mein guzra aaj ka din

bas ab ghar jaenge aur kal ki tayyari karenge

tere baġhair lagtā hai goyā ye zindagī

tanqīd kar rahī hai mirī ḳhvāhishāt par

tere baghair lagta hai goya ye zindagi

tanqid kar rahi hai meri KHwahishat par

terī tarah aatā hai ā.ankhoñ meñ tirā ḳhvāb

sachchā nahīñ hotā kabhī jhūTā nahīñ hotā

teri hi tarah aata hai aaankhon mein tera KHwab

sachcha nahin hota kabhi jhuTa nahin hota

jis din ke guzarte yahāñ raat huī hai

ai kaash vo din maiñ ne guzārā nahīñ hotā

jis din ke guzarte hi yahan raat hui hai

ai kash wo din main ne guzara nahin hota

Dar hai kahīñ maiñ dasht jānib nikal na jā.ūñ

baiThā huuñ apne paañv meñ zanjīr Daal kar

Dar hai kahin main dasht ki jaanib nikal na jaun

baiTha hun apne panw mein zanjir Dal kar

jagah badalne se hai.at kahāñ badaltī hai

jo aa.ina hai sadā aa.ina rahegā vo

jagah badalne se haiat kahan badalti hai

jo aaina hai sada aaina rahega wo

ghar meñ rahnā mirā goyā use manzūr nahīñ

jab bhī aatā hai nayā kaam batā jaatā hai

ghar mein rahna mera goya use manzur nahin

jab bhi aata hai naya kaam bata jata hai

kyā zamāna thā ki ham ḳhuub jachā karte the

ab to māñge lagtī haiñ qabā.eñ apnī

kya zamana tha ki hum KHub jacha karte the

ab to mange ki si lagti hain qabaen apni

jis lafz ko maiñ toḌ ke ḳhud TuuT gayā huuñ

kahtā bhī to vo us ko gavārā nahīñ hotā

jis lafz ko main toD ke KHud TuT gaya hun

kahta bhi to wo us ko gawara nahin hota

ham apne zāhir o bātin andāza lagā leñ

phir us ke sāmne jaane tayyārī kareñge

hum apne zahir o baatin ka andaza laga len

phir us ke samne jaane ki tayyari karenge

ḳhud bhī jāgtā rah aur mujh ko bhī jagātā rah

nahīñ to zindagī ko dūsrā qissa pakaḌ legā

tu KHud bhi jagta rah aur mujh ko bhi jagata rah

nahin to zindagi ko dusra qissa pakaD lega

ḳhud ko maiñ bhalā zer-e-zamīñ kaise dabātā

jitne bhī khañDar nikle vo ābād se nikle

KHud ko main bhala zer-e-zamin kaise dabaata

jitne bhi khanDar nikle wo aabaad se nikle

ham-sā.e sukh to us ke ḳhvāb puurā honā hai

tum par riqqat taarī ho to ro lo lekin shor na ho

ham-sae ka sukh to us ke KHwab ka pura hona hai

tum par riqqat tari ho to ro lo lekin shor na ho

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now