Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ravish Siddiqi's Photo'

Ravish Siddiqi

1909 - 1971 | Shahjahanpur, India

Prominent popular poet of semi-classical style

Prominent popular poet of semi-classical style

Sher of Ravish Siddiqi

2.4K
Favorite

SORT BY

hazār ruḳh tire milne ke haiñ na milne meñ

kise firāq kahūñ aur kise visāl kahūñ

hazar ruKH tere milne ke hain na milne mein

kise firaq kahun aur kise visal kahun

urdu jise kahte haiñ tahzīb chashma hai

vo shaḳhs mohazzab hai jis ko ye zabāñ aa.ī

urdu jise kahte hain tahzib ka chashma hai

wo shaKHs mohazzab hai jis ko ye zaban aai

vo shaḳhs apnī jagah hai muraqqa-e-tahzīb

ye aur baat hai ki qātil usī naam bhī hai

wo shaKHs apni jagah hai muraqqa-e-tahzib

ye aur baat hai ki qatil usi ka nam bhi hai

talḳhi-e-zindagī are tauba

zahr meñ zahr mazā na milā

talKHi-e-zindagi are tauba

zahr mein zahr ka maza na mila

dil gavārā nahīñ kartā hai shikast-e-ummīd

har taġhāful pe navāzish gumāñ hotā hai

dil gawara nahin karta hai shikast-e-ummid

har taghaful pe nawazish ka guman hota hai

saḳht jān-levā hai sādgī mohabbat

zahr kasauTī par zindagī ko kastī hai

saKHt jaan-lewa hai sadgi mohabbat ki

zahr ki kasauTi par zindagi ko kasti hai

zindagī mahv-e-ḳhud-ārā.ī thī

aañkh uThā kar bhī na dekhā ham ne

zindagi mahw-e-KHud-arai thi

aankh uTha kar bhi na dekha hum ne

laḌkhaḌānā bhī hai takmīl-e-safar tamhīd

ham ko manzil nishāñ laġhzish-e-paiham se milā

laDkhaDana bhi hai takmil-e-safar ki tamhid

hum ko manzil ka nishan laghzish-e-paiham se mila

ab is se kyā ġharaz ye haram hai ki dair hai

baiThe haiñ ham to sāya-e-dīvār dekh kar

ab is se kya gharaz ye haram hai ki dair hai

baiThe hain hum to saya-e-diwar dekh kar

ishq ḳhud apnī jagah maz.har-e-anvār-e-ḳhudā

aql is soch meñ gum kis ko ḳhudā kahte haiñ

ishq KHud apni jagah mazhar-e-anwar-e-KHuda

aql is soch mein gum kis ko KHuda kahte hain

hazār husn dil-ārā-e-do-jahāñ hotā

nasīb ishq na hotā to rā.egāñ hotā

hazar husn dil-ara-e-do-jahan hota

nasib ishq na hota to raegan hota

dard ālūda-e-darmāñ thā 'ravish'

dard ko dard banāyā ham ne

dard aaluda-e-darman tha 'rawish'

dard ko dard banaya hum ne

koh sañgīn haqā.eq thā jahāñ

husn ḳhvāb tarāshā ham ne

koh sangin haqaeq tha jahan

husn ka KHwab tarasha hum ne

naqāb-e-shab meñ chhup kar kis yaad aa.ī samajhte haiñ

ishāre ham tire ai sham-e-tanhā.ī samajhte haiñ

naqab-e-shab mein chhup kar kis ki yaad aai samajhte hain

ishaare hum tere ai sham-e-tanhai samajhte hain

vo kahāñ dard jo dil meñ tire mahdūd rahā

dard vo hai jo dil-e-kaun-o-makāñ tak pahuñche

wo kahan dard jo dil mein tere mahdud raha

dard wo hai jo dil-e-kaun-o-makan tak pahunche

jo raah ahl-e-ḳhirad ke liye hai lā-mahdūd

junūn-e-ishq meñ vo chand gaam hotī hai

jo rah ahl-e-KHirad ke liye hai la-mahdud

junun-e-ishq mein wo chand gam hoti hai

butān-e-shahr ko ye e'tirāf ho ki na ho

zabān-e-ishq sab guftugū samajhte haiñ

butan-e-shahr ko ye e'tiraf ho ki na ho

zaban-e-ishq ki sab guftugu samajhte hain

ḳhūn-e-dil sarf kar rahā huuñ 'ravish'

ḳhuub se naqsh-e-ḳhūb-tar ke liye

KHun-e-dil sarf kar raha hun 'rawish'

KHub se naqsh-e-KHub-tar ke liye

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now