Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Tariq Qamar's Photo'

Tariq Qamar

1975 | Lucknow, India

Sher of Tariq Qamar

2.1K
Favorite

SORT BY

abhī baaqī hai bichhaḌnā us se

nā-mukammal ye kahānī hai abhī

abhi baqi hai bichhaDna us se

na-mukammal ye kahani hai abhi

koī shikva na shikāyat na vazāhat koī

mez se bas mirī tasvīr haTā us ne

koi shikwa na shikayat na wazahat koi

mez se bas meri taswir haTa di us ne

zehn par bojh rahā, dil bhī pareshān huā

in baḌe logoñ se mil kar baḌā nuqsān huā

zehn par bojh raha, dil bhi pareshan hua

in baDe logon se mil kar baDa nuqsan hua

is salīqe se mujhe qatl kiyā hai us ne

ab bhī duniyā ye samajhtī hai ki zinda huuñ maiñ

is saliqe se mujhe qatl kiya hai us ne

ab bhi duniya ye samajhti hai ki zinda hun main

har aadmī vahāñ masrūf qahqahoñ meñ thā

ye āñsuoñ kahānī kise sunāte ham

har aadmi wahan masruf qahqahon mein tha

ye aansuon ki kahani kise sunate hum

ajab ġharībī ke aalam meñ mar gayā ik shaḳhs

ki sar pe taaj thā dāman meñ ik duā bhī na thī

ajab gharibi ke aalam mein mar gaya ek shaKHs

ki sar pe taj tha daman mein ek dua bhi na thi

mizāj apnā milā nahīñ zamāne se

na maiñ huā kabhī is na ye zamāna mirā

mizaj apna mila hi nahin zamane se

na main hua kabhi is ka na ye zamana mera

vo bhī rasman yahī pūchhegā ki kaise ho tum

maiñ bhī hañste hue kah dūñgā ki achchhā huuñ maiñ

wo bhi rasman yahi puchhega ki kaise ho tum

main bhi hanste hue kah dunga ki achchha hun main

kaise rishtoñ ko sameTeñ ye bikharte hue log

TuuT jaate haiñ yahī faisla karte hue log

kaise rishton ko sameTen ye bikharte hue log

TuT jate hain yahi faisla karte hue log

saath hone ke yaqīñ meñ bhī mire saath ho tum

aur na hone ke bhī imkān meñ rakkhā hai tumheñ

sath hone ke yaqin mein bhi mere sath ho tum

aur na hone ke bhi imkan mein rakkha hai tumhein

maiñ chāhtā huuñ kabhī yuuñ bhī ho ki merī tarah

vo mujh ko DhūñDne nikle magar na paa.e mujhe

main chahta hun kabhi yun bhi ho ki meri tarah

wo mujh ko DhunDne nikle magar na pae mujhe

kyā ajab log the guzre haiñ baḌī shaan ke saath

rāste chup haiñ magar naqsh-e-qadam bolte haiñ

kya ajab log the guzre hain baDi shan ke sath

raste chup hain magar naqsh-e-qadam bolte hain

vo log bhī to kināroñ pe aa ke Duub ga.e

jo kah rahe the samundar haiñ sab khañgāle hue

wo log bhi to kinaron pe aa ke Dub gae

jo kah rahe the samundar hain sab khangale hue

kisī javāz honā kyā zarūrī hai

agar vo chhoḌnā chāhe to chhoḌ jaa.e mujhe

kisi jawaz ka hona hi kya zaruri hai

agar wo chhoDna chahe to chhoD jae mujhe

mere zaḳhmoñ sabab pūchhegī duniyā tum se

maiñ ne har zaḳhm pahchān meñ rakkhā hai tumheñ

mere zaKHmon ka sabab puchhegi duniya tum se

main ne har zaKHm ki pahchan mein rakkha hai tumhein

ek muddat se ye manzar nahīñ badlā 'tāriq'

vaqt us paar hai Thahrā huā is paar haiñ ham

ek muddat se ye manzar nahin badla 'tariq'

waqt us par hai Thahra hua is par hain hum

is lahje se baat nahīñ ban pā.egī

talvāroñ se kaise kāñTe nikleñge

is lahje se baat nahin ban paegi

talwaron se kaise kanTe niklenge

phir aaj bhuuk hamārā shikār kar legī

ki raat ho ga.ī dariyā meñ jaal Daale hue

phir aaj bhuk hamara shikar kar legi

ki raat ho gai dariya mein jal Dale hue

jaise mumkin ho in ashkoñ ko bachāo 'tāriq'

shaam aa.ī to charāġhoñ zarūrat hogī

jaise mumkin ho in ashkon ko bachao 'tariq'

sham aai to charaghon ki zarurat hogi

ham us ko saarī umr uThā.e phirā kiye

jo baar 'mīr' se bhī uThāyā na sakā

hum us ko sari umr uThae phira kiye

jo bar 'mir' se bhi uThaya na ja saka

ye kis pyaas ke chhīñTe paḌe haiñ paanī par

ye kaun jabr qissa tamām kar aayā

ye kis ki pyas ke chhinTe paDe hain pani par

ye kaun jabr ka qissa tamam kar aaya

apnī palkoñ ke shabistān meñ rakkhā hai tumheñ

tum sahīfa ho so juzdān meñ rakkhā hai tumheñ

apni palkon ke shabistan mein rakkha hai tumhein

tum sahifa ho so juzdan mein rakkha hai tumhein

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now