Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Zakariya Shaz

Pakistan

Sher of Zakariya Shaz

678
Favorite

SORT BY

ai gardish-e-ayyām hameñ rañj bahut hai

kuchh ḳhvāb the aaise ki bikharne ke nahīñ the

ai gardish-e-ayyam hamein ranj bahut hai

kuchh KHwab the aaise ki bikharne ke nahin the

maiñ chup rahā to aañkh se aañsū ubal paḌe

jab bolne lagā mirī āvāz phaT ga.ī

main chup raha to aankh se aansu ubal paDe

jab bolne laga meri aawaz phaT gai

ye mohabbat hai ise dekh tamāshā na banā

mujh se milnā hai to mil hadd-e-adab se aage

ye mohabbat hai ise dekh tamasha na bana

mujh se milna hai to mil hadd-e-adab se aage

āḳhir ye nākām mohabbat kaam aa.ī

tujh ko kho kar maiñ ne ḳhud ko paayā hai

aaKHir ye nakaam mohabbat kaam aai

tujh ko kho kar main ne KHud ko paya hai

chhoḌ aayā huuñ pīchhe sab āvāzoñ ko

ḳhāmoshī meñ dāḳhil hone vaalā huuñ

chhoD aaya hun pichhe sab aawazon ko

KHamoshi mein daKHil hone wala hun

ek muddat maiñ ḳhamoshī se rahā mahv-e-kalām

tab kahīñ ke ye lafzoñ meñ ma.ānī aa.e

ek muddat main KHamoshi se raha mahw-e-kalam

tab kahin ja ke ye lafzon mein maani aae

us se aage jāoge tab jāneñge

manzil tak to rāsta tum ko laayā hai

us se aage jaoge tab jaanenge

manzil tak to rasta tum ko laya hai

jaane kyā baat hai puure nahīñ hote haiñ

jaane kyā dil meñ ḳhasāre liye phirtā huuñ maiñ

jaane kya baat hai pure hi nahin hote hain

jaane kya dil mein KHasare liye phirta hun main

jab bhī ghar ke andar dekhne lagtā huuñ

khiḌkī khol ke bāhar dekhne lagtā huuñ

jab bhi ghar ke andar dekhne lagta hun

khiDki khol ke bahar dekhne lagta hun

ta.alluq nahīñ hai jin se merā

maiñ un ḳhadshāt meñ rakkhā huā huuñ

talluq hi nahin hai jin se mera

main un KHadshat mein rakkha hua hun

dukh na sahne sazāoñ meñ ghirā rahtā hai

shahr shahr duāoñ meñ ghirā rahtā hai

dukh na sahne ki sazaon mein ghira rahta hai

shahr ka shahr duaon mein ghira rahta hai

ye alag baat ki chalte rahe sab se aage

varna dekhā nahīñ terī talab se aage

ye alag baat ki chalte rahe sab se aage

warna dekha hi nahin teri talab se aage

ik jaise haiñ dukh sukh sab ke ik jaisī ummīdeñ

ek kahānī sab kyā unvān kisī rakkheñ

ek jaise hain dukh sukh sab ke ek jaisi ummiden

ek kahani sab ki kya unwan kisi ka rakkhen

zamāne ho ga.e haiñ chalte chalte

kahāñ jaatā ye dil rāsta hai

zamane ho gae hain chalte chalte

kahan jata ye dil ka rasta hai

khiḌkī to 'shāz' band maiñ kartā huuñ baar baar

lekin havā-e-shauq ki zid par aḌī rahe

khiDki to 'shaz' band main karta hun bar bar

lekin hawa-e-shauq ki zid par aDi rahe

sirf ham to nahīñ TuuTe haiñ

rāstoñ par bhī thakan taarī hai

sirf hum hi to nahin TuTe hain

raston par bhi thakan tari hai

un ko bhī utārā hai baḌe shauq se ham ne

jo naqsh abhī dil meñ utarne ke nahīñ the

un ko bhi utara hai baDe shauq se hum ne

jo naqsh abhi dil mein utarne ke nahin the

kuchh bhī dekhā nahīñ thā maiñ ne jab

har nazāra thā merī āñkhoñ meñ

kuchh bhi dekha nahin tha main ne jab

har nazara tha meri aankhon mein

apne bas pīchhe bhāgtā rahtā huuñ

ḳhud ko bas aage nazar ke rakkhā hai

apne hi bas pichhe bhagta rahta hun

KHud ko hi bas aage nazar ke rakkha hai

'shāz' ḳhud meñ gañvā.e hue ḳhud ko rakhnā

haath jab tak na koī apnī nishānī aa.e

'shaz' KHud mein hi ganwae hue KHud ko rakhna

hath jab tak na koi apni nishani aae

kis qayāmat ghuTan taarī hai

ruuh par kab se badan taarī hai

kis qayamat ki ghuTan tari hai

ruh par kab se badan tari hai

kaise kah duuñ biich apne dīvār hai jab

chhoḌne koī darvāze tak aayā hai

kaise kah dun bich apne diwar hai jab

chhoDne koi darwaze tak aaya hai

phāñdnī paḌ ga.ī kāñToñ se bharī baaḌ hameñ

jitne paiġhām the phūloñ zabānī aa.e

phandni paD gai kanTon se bhari baD hamein

jitne paigham the phulon ki zabani aae

ye kaise moḌ par maiñ aa gayā huuñ

ki chaltā huuñ to chaltā rāsta hai

ye kaise moD par main aa gaya hun

ki chalta hun to chalta rasta hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now