Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Zia Zameer's Photo'

Zia Zameer

1977 | Moradabad, India

Sher of Zia Zameer

4.7K
Favorite

SORT BY

dushman-e-jāñ hai magar jaan se pyārā bhī hai

aisā is shahr meñ ik shaḳhs hamārā bhī hai

dushman-e-jaan hai magar jaan se pyara bhi hai

aisa is shahr mein ek shaKHs hamara bhi hai

us ko na.e safar meñ na.e ham-safar ke saath

dil ḳhush huā hai kyoñ ye ziyā dekhte hue

us ko nae safar mein nae ham-safar ke sath

dil KHush hua hai kyon ye ziya dekhte hue

tum ne jo kitāboñ ke havāle kiye jānāñ

vo phuul to bāloñ meñ sajāne ke liye the

tum ne jo kitabon ke hawale kiye jaanan

wo phul to baalon mein sajaane ke liye the

mas.ala thā to bas anā thā

fāsle darmiyāñ ke the nahīñ

masala tha to bas ana ka tha

fasle darmiyan ke the hi nahin

kuchh zulm o sitam sahne aadat bhī hai ham ko

kuchh ye hai ki darbār meñ sunvā.ī bhī kam hai

kuchh zulm o sitam sahne ki aadat bhi hai hum ko

kuchh ye hai ki darbar mein sunwai bhi kam hai

mulk to mulk gharoñ par bhī hai qabza us

ab to ghar bhī nahīñ chalte haiñ siyāsat ke baġhair

mulk to mulk gharon par bhi hai qabza us ka

ab to ghar bhi nahin chalte hain siyasat ke baghair

ġhazab to ye hai vo aisā kah ke ḳhushī iz.hār kar rahe the

ki ham ne dastāreñ bech haiñ saroñ ko lekin bachā liyā hai

ghazab to ye hai wo aisa kah ke KHushi ka izhaar kar rahe the

ki hum ne dastaren bech di hain saron ko lekin bacha liya hai

ham to terī kahānī likh aa.e

ne likkhā hai imtihān meñ kyā

hum to teri kahani likh aae

tu ne likkha hai imtihan mein kya

zindagī se ḳhushī hai ummīd

par ye ummīd bhī zarā hai

zindagi se KHushi ki hai ummid

par ye ummid bhi zara si hai

aaj ye shaam bhīgtī kyoñ hai

tum kahīñ chhup ke ro rahī ho kyā

aaj ye sham bhigti kyon hai

tum kahin chhup ke ro rahi ho kya

zindagī rok ke aksar yahī kahtī hai mujhe

tujh ko jaanā thā kidhar aur kidhar aa gayā hai

zindagi rok ke aksar yahi kahti hai mujhe

tujh ko jaana tha kidhar aur kidhar aa gaya hai

us se kahnā ki burā ḳhvāb thā ab yaad nahīñ

mere baare meñ jo pūchhe kabhī duniyā tujh se

us se kahna ki bura KHwab tha ab yaad nahin

mere bare mein jo puchhe kabhi duniya tujh se

niiñd us ko nasha ham ko jagāne havas

ḳhvāb meñ aate hue niiñd churāte hue ham

nind ka us ko nasha hum ko jagane ki hawas

KHwab mein aate hue nind churaate hue hum

ishq ke māroñ ko ādāb kahāñ aate haiñ

tere kūche meñ chale aa.e ijāzat ke baġhair

ishq ke maron ko aadab kahan aate hain

tere kuche mein chale aae ijazat ke baghair

maiñ ne hañs kar DaañT diyā thā pyaar ke pahle shabdoñ par

us ne phir koshish nahīñ vo ḳhuddār balā thī

main ne hans kar DanT diya tha pyar ke pahle shabdon par

us ne phir koshish hi nahin ki wo KHuddar bala ki thi

us moḌ pe rishta hai hamārā ki agar ham

baiTheñge kabhī saath to tanhā.ī banegī

us moD pe rishta hai hamara ki agar hum

baiThenge kabhi sath to tanhai banegi

koī āsāñ hai bhalā rishte ko qaa.em rakhnā

girtī dīvār hai ham jis ko sambhāle hue haiñ

koi aasan hai bhala rishte ko qaem rakhna

girti diwar hai hum jis ko sambhaale hue hain

ham ko itnā girā-paḌā na samajh

ai zamāne kisī pyaar haiñ ham

hum ko itna gira-paDa na samajh

ai zamane kisi ka pyar hain hum

patthar maar ke chaurāhe par ik aurat ko maar diyā

sab ne mil kar phir ye sochā us ne ġhalatī kyā thī

patthar mar ke chaurahe par ek aurat ko mar diya

sab ne mil kar phir ye socha us ne ghalati kya ki thi

kyoñ bhalā kachche makānoñ tumheñ aayā ḳhayāl

tum to dariyā the tumheñ tez guzar jaanā thā

kyon bhala kachche makanon ka tumhein aaya KHayal

tum to dariya the tumhein tez guzar jaana tha

ḳhushk āñkheñ liye hañstā huā dekho jis ko

us ko sahrā nahīñ kah denā samundar kahnā

KHushk aankhen liye hansta hua dekho jis ko

us ko sahra nahin kah dena samundar kahna

us ko jaate hue dekhā thā pukārā thā kahāñ

rokte kis tarah vo shaḳhs hamārā thā kahāñ

us ko jate hue dekha tha pukara tha kahan

rokte kis tarah wo shaKHs hamara tha kahan

kisī bachche se piñjrā khul gayā hai

parindoñ rihā.ī ho rahī hai

kisi bachche se pinjra khul gaya hai

parindon ki rihai ho rahi hai

hañsī meñ Taal de phir se hamārī har ḳhvāhish

phir ek baar thapak de hamārā gaal zarā

hansi mein Tal de phir se hamari har KHwahish

phir ek bar thapak de hamara gal zara

ba-duā apne liye to bahut thī maiñ ne

haañ magar raah meñ haa.il jo duā thī terī

ba-dua apne liye ki to bahut thi main ne

han magar rah mein hail jo dua thi teri

marte marte ham ko ik bechainī thī

ek purānā dushman thā jo yaad aayā thā

marte marte hum ko ek bechaini si thi

ek purana dushman tha jo yaad aaya tha

aap to ā.eñge ḳhaas tamāshā.ī jo haiñ

daar pe ham jo kareñge vo ġhazab dekhiyegā

aap to aaenge hi KHas tamashai jo hain

dar pe hum jo karenge wo ghazab dekhiyega

ye ishq chiiz ajab hai ki is ko kyā kahiye

vahīñ pe thoḌā kam hai jahāñ ziyāda hai

ye ishq chiz ajab hai ki is ko kya kahiye

wahin pe thoDa sa kam hai jahan ziyaada hai

saath sāhil pe guzarte hue dekhī thī kabhī

yaad hai ab bhī samundar meñ utartī huī shaam

sath sahil pe guzarte hue dekhi thi kabhi

yaad hai ab bhi samundar mein utarti hui sham

hoñToñ se us dard ḳhushbū aa kar jism meñ phail ga.ī

kitnā dard ikaTThā thā us ThanDī peshānī meñ

honTon se us dard ki KHushbu aa kar jism mein phail gai

kitna dard ikaTTha tha us ThanDi si peshani mein

dānāoñ ne dānā.ī muuñd liiñ āñkheñ

chaurāhe par qatl huā pāgal ne dekhā

danaon ne ki danai mund lin aankhen

chaurahe par qatl hua pagal ne dekha

bahut achchhā hai kuchh chīzeñ na.ī aa.ī haiñ ghar meñ

magar dekho ka.ī chīzeñ purānī paḌ rahī haiñ

bahut achchha hai kuchh chizen nai aai hain ghar mein

magar dekho kai chizen purani paD rahi hain

muḳhtasar kījiye kahānī ko

aap to de rahe haiñ tuul hameñ

muKHtasar kijiye kahani ko

aap to de rahe hain tul hamein

dard dhuup Dhale ġham ke zamāne jaa.eñ

dekhiye ruuh se kab daaġh purāne jaa.eñ

dard ki dhup Dhale gham ke zamane jaen

dekhiye ruh se kab dagh purane jaen

kisī āñkhoñ meñ jal bujhe haiñ kisī chehra lagā liyā hai

ye maslahat hai buz-dilī hai ki ham ne ḳhud ko chhupā liyā hai

kisi ki aankhon mein jal bujhe hain kisi ka chehra laga liya hai

ye maslahat hai ya buz-dili hai ki hum ne KHud ko chhupa liya hai

lahr ḳhud par hai pashemān ki us zad meñ

nanhe hāthoñ se banā ret ghar aa gayā hai

lahr KHud par hai pasheman ki us ki zad mein

nanhe hathon se bana ret ka ghar aa gaya hai

tujh se kahā thā ḳhushbueñ us ke badan lā.iyo

merā ye kaam aaj tak ne sabā nahīñ kiyā

tujh se kaha tha KHushbuen us ke badan ki laiyo

mera ye kaam aaj tak tu ne saba nahin kiya

maiñ nahīñ thā to yahāñ vāqa.ī vīrāna thā

mere aane se ye vīrāna kahāñ kho gayā hai

main nahin tha to yahan waqai virana tha

mere aane se ye virana kahan kho gaya hai

dard ke saare qissoñ yād-dahānī kar lenā

hijr raat bahut lambī hai ek kahānī kam na paḌe

dard ke sare hi qisson ki yaad-dahani kar lena

hijr ki raat bahut lambi hai ek kahani kam na paDe

hijr raat vo ḳhat bhī jalā.e to kaise

us ke ghar meñ koī ātish-dān nahīñ

hijr ki raat wo KHat bhi jalae to kaise

us ke ghar mein koi aatish-dan nahin

mahfil mere dam se mahfil phir bhī mujh meñ

ek bhayānak tanhā.ī bhī poshīda hai

mahfil mere dam se mahfil phir bhi mujh mein

ek bhayanak tanhai bhi poshida hai

kaisī tābīr hasrat ki 'ziyā' barsoñ se

nā-murād āñkhoñ ne dekhā nahīñ ḳhvāb koī

kaisi tabir ki hasrat ki 'ziya' barson se

na-murad aankhon ne dekha hi nahin KHwab koi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now