Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mohammad Rafi Sauda's Photo'

Mohammad Rafi Sauda

1713 - 1781 | Delhi, India

One of the greatest 18th century poets. Contemporary of Mir Taqi Mir

One of the greatest 18th century poets. Contemporary of Mir Taqi Mir

Sher of Mohammad Rafi Sauda

13.9K
Favorite

SORT BY

jab yaar ne uThā kar zulfoñ ke baal bāñdhe

tab maiñ ne apne dil meñ lākhoñ ḳhayāl bāñdhe

When my beloved raised her arms to gather up her tresses

A million desires gathered in my heart and got tied up in a tangle.

jab yar ne uTha kar zulfon ke baal bandhe

tab main ne apne dil mein lakhon KHayal bandhe

When my beloved raised her arms to gather up her tresses

A million desires gathered in my heart and got tied up in a tangle.

na kar 'saudā' shikva ham se dil be-qarārī

mohabbat kis ko detī hai miyāñ ārām duniyā meñ

na kar 'sauda' tu shikwa hum se dil ki be-qarari ka

mohabbat kis ko deti hai miyan aaram duniya mein

fikr-e-ma.āsh ishq-e-butāñ yād-e-raftagāñ

is zindagī meñ ab koī kyā kyā kiyā kare

fikr-e-maash ishq-e-butan yaad-e-raftagan

is zindagi mein ab koi kya kya kiya kare

kaifiyyat-e-chashm us mujhe yaad hai 'saudā'

sāġhar ko mire haath se liijo ki chalā maiñ

kaifiyyat-e-chashm us ki mujhe yaad hai 'sauda'

saghar ko mere hath se lijo ki chala main

'saudā' jo be-ḳhabar hai vahī yaañ kare hai aish

mushkil bahut hai un ko jo rakhte haiñ āgahī

'sauda' jo be-KHabar hai wahi yan kare hai aish

mushkil bahut hai un ko jo rakhte hain aagahi

gila likhūñ maiñ agar terī bevafā.ī

lahū meñ ġharq safīna ho āshnā.ī

gila likhun main agar teri bewafai ka

lahu mein gharq safina ho aashnai ka

kaun kisī ġham khātā hai

kahne ko ġham-ḳhvār hai duniyā

kaun kisi ka gham khata hai

kahne ko gham-KHwar hai duniya

jis roz kisī aur pe bedād karoge

ye yaad rahe ham ko bahut yaad karoge

jis roz kisi aur pe bedad karoge

ye yaad rahe hum ko bahut yaad karoge

saaqī ga.ī bahār rahī dil meñ ye havas

minnatoñ se jaam de aur maiñ kahūñ ki bas

you plead with me to take a drink and I say no more

saqi gai bahaar rahi dil mein ye hawas

tu minnaton se jam de aur main kahun ki bas

you plead with me to take a drink and I say no more

tirā ḳhat aane se dil ko mere ārām kyā hogā

ḳhudā jaane ki is āġhāz anjām kyā hogā

tera KHat aane se dil ko mere aaram kya hoga

KHuda jaane ki is aaghaz ka anjam kya hoga

samjhe the ham jo dost tujhe ai miyāñ ġhalat

terā nahīñ hai jurm hamārā gumāñ ġhalat

samjhe the hum jo dost tujhe ai miyan ghalat

tera nahin hai jurm hamara guman ghalat

maiñ ne tum ko dil diyā aur tum ne mujhe rusvā kiyā

maiñ ne tum se kyā kiyā aur tum ne mujh se kyā kiyā

main ne tum ko dil diya aur tum ne mujhe ruswa kiya

main ne tum se kya kiya aur tum ne mujh se kya kiya

'saudā' is ġhazal ko ġhazal-dar-ġhazal kah

honā hai tujh ko 'mīr' se ustād taraf

'sauda' tu is ghazal ko ghazal-dar-ghazal hi kah

hona hai tujh ko 'mir' se ustad ki taraf

'saudā' ḳhudā ke vāste kar qissa muḳhtasar

apnī to niiñd uḌ ga.ī tere fasāne meñ

'sauda' KHuda ke waste kar qissa muKHtasar

apni to nind uD gai tere fasane mein

ve sūrateñ ilāhī kis mulk bastiyāñ haiñ

ab dekhne ko jin ke āñkheñ tarastiyāñ haiñ

we suraten ilahi kis mulk bastiyan hain

ab dekhne ko jin ke aankhen tarastiyan hain

ye to nahīñ kahtā huuñ ki sach-much karo insāf

jhūTī bhī tasallī ho to jiitā rahūñ maiñ

ye to nahin kahta hun ki sach-much karo insaf

jhuTi bhi tasalli ho to jita hi rahun main

na jiyā terī chashm maarā

na tirī zulf bañdhā chhūTā

na jiya teri chashm ka mara

na teri zulf ka bandha chhuTa

kahiyo sabā salām hamārā bahār se

ham to chaman ko chhoḌ ke sū-e-qafas chale

kahiyo saba salam hamara bahaar se

hum to chaman ko chhoD ke su-e-qafas chale

gar tujh meñ hai vafā to jafākār kaun hai

dil-dār huā to dil-āzār kaun hai

gar tujh mein hai wafa to jafakar kaun hai

dil-dar tu hua to dil-azar kaun hai

'saudā' hue jab āshiq kyā paas aabrū

suntā hai ai divāne jab dil diyā to phir kyā

'sauda' hue jab aashiq kya pas aabru ka

sunta hai ai diwane jab dil diya to phir kya

ishq se to nahīñ huuñ maiñ vāqif

dil ko sho.ala kuchh lipaTtā hai

ishq se to nahin hun main waqif

dil ko shoala sa kuchh lipaTta hai

'saudā' jahāñ meñ aa ke koī kuchh na le gayā

jaatā huuñ ek maiñ dil-e-pur-ārzū liye

'sauda' jahan mein aa ke koi kuchh na le gaya

jata hun ek main dil-e-pur-arzu liye

ammāme ko utaar ke paḌhiyo namāz shaiḳh

sajde se varna sar ko uThāyā na jā.egā

ammame ko utar ke paDhiyo namaz shaiKH

sajde se warna sar ko uThaya na jaega

'saudā' jo tirā haal hai itnā to nahīñ vo

kyā jāniye ne use kis aan meñ dekhā

'sauda' jo tera haal hai itna to nahin wo

kya jaaniye tu ne use kis aan mein dekha

zāhid sabhī haiñ ne.amat-e-haq jo hai akl-o-shurb

lekin ajab maza hai sharāb o kabāb

zahid sabhi hain neamat-e-haq jo hai akl-o-shurb

lekin ajab maza hai sharab o kabab ka

ġharaz kufr se kuchh na diiñ se hai matlab

tamāshā-e-dair-o-haram dekhte haiñ

gharaz kufr se kuchh na din se hai matlab

tamasha-e-dair-o-haram dekhte hain

gar ho sharāb o ḳhalvat o mahbūb-e-ḳhūb-rū

zāhid qasam hai tujh ko jo ho to kyā kare

gar ho sharab o KHalwat o mahbub-e-KHub-ru

zahid qasam hai tujh ko jo tu ho to kya kare

dil mat Tapak nazar se ki paayā na jā.egā

juuñ ashk phir zamīñ se uThāyā na jā.egā

dil mat Tapak nazar se ki paya na jaega

jun ashk phir zamin se uThaya na jaega

akelā ho rah-e-duniyā meñ gir chāhe bahut jiinā

huī hai faiz-e-tanhā.ī se umr-e-ḳhizr tūlānī

akela ho rah-e-duniya mein gir chahe bahut jina

hui hai faiz-e-tanhai se umr-e-KHizr tulani

kyā zid hai mire saath ḳhudā jaane vagarna

kaafī hai tasallī ko mirī ek nazar bhī

kya zid hai mere sath KHuda jaane wagarna

kafi hai tasalli ko meri ek nazar bhi

dil ke TukḌoñ ko baġhal-gīr liye phirtā huuñ

kuchh ilaaj is bhī ai shīsha-girāñ hai ki nahīñ

dil ke TukDon ko baghal-gir liye phirta hun

kuchh ilaj is ka bhi ai shisha-giran hai ki nahin

gul pheñke hai auroñ taraf balki samar bhī

ai ḳhāna-bar-andāz-e-chaman kuchh to idhar bhī

gul phenke hai auron ki taraf balki samar bhi

ai KHana-bar-andaz-e-chaman kuchh to idhar bhi

yaaro vo sharm se jo na bolā to kyā huā

āñkhoñ meñ sau tarah hikāyāt ho ga.ī

yaro wo sharm se jo na bola to kya hua

aankhon mein sau tarah ki hikayat ho gai

har sañg meñ sharār hai tere zuhūr

muusā nahīñ jo sair karūñ koh tuur

har sang mein sharar hai tere zuhur ka

musa nahin jo sair karun koh tur ka

badlā tire sitam koī tujh se kyā kare

apnā farefta hove ḳhudā kare

badla tere sitam ka koi tujh se kya kare

apna hi tu farefta howe KHuda kare

dikhā.ūñgā tujhe zāhid us āfat-e-dīñ ko

ḳhalal dimāġh meñ tere hai pārsā.ī

dikhaunga tujhe zahid us aafat-e-din ko

KHalal dimagh mein tere hai parsai ka

tanhā tire mātam meñ nahīñ shām-e-siyah-posh

rahtā hai sadā chaak garebān-e-sahar bhī

the Night's black garb is not alone / there in your lament

the ever-tattered collar of / the Dawn too is present

tanha tere matam mein nahin sham-e-siyah-posh

rahta hai sada chaak gareban-e-sahar bhi

the Night's black garb is not alone / there in your lament

the ever-tattered collar of / the Dawn too is present

abas ghar basātā hai mirī āñkhoñ meñ ai pyāre

kisī ne aaj tak dekhā bhī hai paanī pe ghar Thahrā

abas tu ghar basata hai meri aankhon mein ai pyare

kisi ne aaj tak dekha bhi hai pani pe ghar Thahra

'saudā' jo bālīñ pe gayā shor-e-qayāmat

ḳhuddām-e-adab bole abhī aañkh lagī hai

'sauda' ki jo baalin pe gaya shor-e-qayamat

KHuddam-e-adab bole abhi aankh lagi hai

har aan aa mujhī ko satāte ho nāseho

samjhā ke tum use bhī to yak-bār kuchh kaho

har aan aa mujhi ko satate ho naseho

samjha ke tum use bhi to yak-bar kuchh kaho

firāq-e-ḳhuld se gandum hai sīna-chāk ab tak

ilāhī ho na vatan se koī ġharīb judā

firaq-e-KHuld se gandum hai sina-chaak ab tak

ilahi ho na watan se koi gharib juda

bādshāhat do jahāñ bhī jo hove mujh ko

tere kūche gadā.ī se na kho de mujh ko

baadshahat do jahan ki bhi jo howe mujh ko

tere kuche ki gadai se na kho de mujh ko

hai muddatoñ se ḳhāna-e-zanjīr be-sadā

ma.alūm nahīñ ki divāne kidhar ga.e

hai muddaton se KHana-e-zanjir be-sada

malum hi nahin ki diwane kidhar gae

kyā karūñgā le ke vaa.iz haath se hūroñ ke jaam

huuñ maiñ sāġhar-kash kisī ke sāġhar-e-maḳhmūr

kya karunga le ke waiz hath se huron ke jam

hun main saghar-kash kisi ke saghar-e-maKHmur ka

mat pūchh ye ki raat kaTī kyūñke tujh baġhair

is guftugū se fā.eda pyāre guzar ga.ī

mat puchh ye ki raat kaTi kyunke tujh baghair

is guftugu se faeda pyare guzar gai

ye ranjish meñ ham ko hai be-iḳhtiyārī

tujhe terī khā kar qasam dekhte haiñ

ye ranjish mein hum ko hai be-iKHtiyari

tujhe teri kha kar qasam dekhte hain

nahīñ hai ghar koī aisā jahāñ us ko na dekhā ho

kanhayyā se nahīñ kuchh kam sanam merā vo harjā.ī

nahin hai ghar koi aisa jahan us ko na dekha ho

kanhayya se nahin kuchh kam sanam mera wo harjai

kis muñh se phir aap ko kahtā hai ishq-bāz

ai rū-siyāh tujh se to ye bhī na ho sakā

kis munh se phir tu aap ko kahta hai ishq-baz

ai ru-siyah tujh se to ye bhi na ho saka

be-sabātī zamāne nā-chār

karnī mujh ko bayān paḌtī hai

be-sabaati zamane ki na-chaar

karni mujh ko bayan paDti hai

mauj-e-nasīm aaj hai ālūda gard se

dil ḳhaak ho gayā hai kisī be-qarār

mauj-e-nasim aaj hai aaluda gard se

dil KHak ho gaya hai kisi be-qarar ka

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now