SEARCH RESULTS
Showing search results for "जनाज़े"
Ghazal MATCHES FOR "जनाज़े"
Ghazal
chho.D kar us ko tirii bazm se kyuu.nkar jaa.uu.n
ik janaaze kaa uThaanaa hai uThaanaa dil kaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
jis tarah aap ne biimaar se ruKHsat lii hai
saaf lagtaa hai janaaze me.n nahii.n aa.e.nge
Khalid Nadeem Shaani
Ghazal
laa.e hai.n log janaaze kii tarah mahshar me.n
kis musiibat se tiraa kushta-e-bedaad aayaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
Arzoo Lakhnavi
Ghazal
ruuh ghabraa.ii hu.ii phirtii hai merii laash par
kyaa janaaze par mere KHat kaa javaab aane ko hai
Fani Badayuni
Ghazal
qasam janaaze pe aane kii mere khaate hai.n 'Gaalib'
hamesha khaate the jo merii jaan kii qasam aage
Mirza Ghalib
Ghazal
Javed Akhtar
Ghazal
mire janaaze pe ab aate sharm aatii hai
halaal karne ko baiThe the jab hijaab na thaa
Ameer Minai
Ghazal
go janaaze pe nahii.n qabr pe aa.e vo mirii
shikva kyaa kiije Ganiimat hai ki aa.e to sahii
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
itne aa.nsuu mirii aa.nkho.n me.n kahaa.n the 'qaisar'
'umr bhar dil ke janaaze pe jo royaa jaataa
Qaisarul Jafri
Ghazal
aarzuu.o.n ke janaaze hii nahii.n palko.n par
bijliyo.n kii kabhii baaraat bhii aa jaatii hai
Qateel Shifai
Ghazal
jaane kab is me.n hame.n aag lagaanii pa.D jaa.e
ham siyaasat ke janaaze ko chitaa kahte hai.n
Khalid Irfan
Ghazal
thaa tiirgii ke janaaze pe ek hashr bapaa
jo us ke aane se phailii KHabar a.ndhere me.n
Afzal Allahabadi
Ghazal
hanuuz siine kii chhoTii sii qabr KHaalii hai
agarche is me.n janaaze ka.ii utaare hai.n
Aslam Kolsarii
Ghazal
piiTh piichhe se agar vaar na kartaa 'saahir'
apne dushman ke janaaze ko mai.n kandhaa detaa
Jahanzeb Sahir
Ghazal
Imam Bakhsh Nasikh
Ghazal
thii nauha-zanii dil ke janaaze pe zaruurii
shaayad ki vo ghabraa ke sar-e-baam nikaltaa