SEARCH RESULTS
Showing search results for "महरूम"
Ghazal MATCHES FOR "महरूम"
Ghazal
ik umr se huu.n lazzat-e-girya se bhii mahruum
ai raahat-e-jaa.n mujh ko rulaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Ghazal
ab jafaa se bhii hai.n mahruum ham allaah allaah
is qadar dushman-e-arbaab-e-vafaa ho jaanaa
Mirza Ghalib
Ghazal
mahruum fazaa.o.n me.n maayuus nazaaro.n me.n
tum 'azm' nahii.n Thahre mai.n kaise Thahar jaataa
Azm Bahzad
Ghazal
gosh mahjuur-e-payaam o chashm-e-mahruum-e-jamaal
ek dil tis par ye naa-ummiid-vaarii haa.e haa.e
Mirza Ghalib
Ghazal
an-ginat mahfile.n mahruum-e-charaaGaa.n hai.n abhii
kaun kahtaa hai ki zulmaat ne dam to.D diyaa
Saghar Siddiqui
Ghazal
tuu mirii raat ko mahtaab se mahruum na rakh
tire paimaane me.n hai maah-e-tamaam ai saaqii
Allama Iqbal
Ghazal
zindagii ko zaKHm kii lazzat se mat mahruum kar
raaste ke pattharo.n se KHairiyat ma.aluum kar
Rahat Indori
Ghazal
Shuja Khaavar
Ghazal
KHaatir-e-mahruum ko kar diijiye mahv-e-alam
dar-pa-e-iizaa-e-jaan-e-mubtalaa ho jaa.iye
Hasrat Mohani
Ghazal
KHushaa vo log ki mahruum-e-iltifaat rahe
tire karam ko ba-andaaz-e-saadgii na liyaa
Ahmad Faraz
Ghazal
qassam-e-azal ne na rakhaa ham ko bhii mahruum
garche na diyaa ko.ii hunar be-hunarii dii
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
lazzat-kash-e-nazzaara 'shakiil' apnii nazar hai
mahruum-e-jamaal-e-ruKH-e-jaanaana nahii.n huu.n
Shakeel Badayuni
Ghazal
kabhii tanhaa.ii se mahruum na rakkhaa mujh ko
dost hamdard rahe kitne mirii zaat ke saath
Parveen Shakir
Ghazal
kaun de aavaaz KHaalii raat ke andhe ku.e.n me.n
kaun utre KHvaab se mahruum bistar me.n akelaa
Rajinder Manchanda Bani
Ghazal
Manish Shukla
Ghazal
mai.n kaamyaab-e-diid bhii mahruum-e-diid bhii
jalvo.n ke izhdihaam ne hairaa.n banaa diyaa
Asghar Gondvi
Ghazal
sidq-o-safaa-e-qalb se mahruum hai hayaat
karte hai.n bandagii bhii jahannam ke Dar se ham