aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "gaa"
mai.n pal do pal kaa shaa'ir huu.n pal do pal mirii kahaanii haipal do pal merii hastii hai pal do pal mirii javaanii haimujh se pahle kitne shaa'ir aa.e aur aa kar chale ga.ekuchh aahe.n bhar kar lauT ga.e kuchh naGme gaa kar chale ga.evo bhii ik pal kaa qissa the mai.n bhii ik pal kaa qissa huu.nkal tum se judaa ho jaa.uu.ngaa go aaj tumhaaraa hissa huu.npal do pal me.n kuchh kah paayaa itnii hii sa'aadat kaafii haipal do pal tum ne mujh ko sunaa itnii hii ‘inaayat kaafii haikal aur aa.e.nge naGmo.n kii khiltii kaliyaa.n chun.ne vaalemujh se behtar kahne vaale tum se behtar sun.ne vaalehar nasl ik fasl hai dhartii kii aaj ugtii hai kal kaTtii haijiivan vo mah.ngii madiraa hai jo qatra qatra baTtii haisaagar se ubhrii lahar huu.n mai.n saagar me.n phir kho jaa.uu.ngaamiTTii kii ruuh kaa sapnaa huu.n miTTii me.n phir so jaa.uu.ngaakal ko.ii mujh ko yaad kare kyuu.n ko.ii mujh ko yaad karemasruuf zamaana mere liye kyuu.n vaqt apnaa barbaad kare
fazaa me.n ghul se ga.e hai.n ufuq ke narm KHutuutzamii.n hasiin hai KHvaabo.n kii sarzamii.n kii tarah
gar to hai lakkhii banjaaraa aur khep bhii terii bhaarii haiai Gaafil tujh se bhii cha.Dhtaa ik aur ba.Daa byopaarii haikyaa shakkar misrii qand garii kyaa saa.nbhar miiThaa khaarii haikyaa daakh munaqqaa so.nTh mirach kyaa kesar lau.ng supaarii haisab ThaaTh pa.Daa rah jaavegaa jab laad chalegaa banjaaraa
mai.n aa.he.n bhar nahii.n saktaa ki naGme gaa nahii.n saktaasakuu.n lekin mire dil ko mayassar aa nahii.n saktaako.ii naGme to kyaa ab mujh se meraa saaz bhii le lejo gaanaa chaahtaa huu.n aah vo mai.n gaa nahii.n saktaamataa-e-soz-o-saaz-e-zindagii paimaana o barbatmai.n KHud ko in khilauno.n se bhii ab bahlaa nahii.n saktaavo baadal sar pe chhaa.e hai.n ki sar se haT nahii.n saktemilaa hai dard vo dil ko ki dil se jaa nahii.n saktaahavas-kaarii hai jurm-e-KHud-kushii merii sharii.at me.nye hadd-e-aaKHirii hai mai.n yahaa.n tak jaa nahii.n saktaana tuufaa.n rok sakte hai.n na aa.ndhii rok saktii haimagar phir bhii mai.n us qasr-e-hasii.n tak jaa nahii.n saktaavo mujh ko chaahtii hai aur mujh tak aa nahii.n saktiimai.n us ko puujtaa huu.n aur us ko paa nahii.n saktaaye majbuurii sii majbuurii ye laachaarii sii laachaariiki us ke giit bhii dil khol kar mai.n gaa nahii.n saktaazabaa.n par be-KHudii me.n naam us kaa aa hii jaataa haiagar puuchhe ko.ii ye kaun hai batlaa nahii.n saktaakahaa.n tak qissa-e-aalaam-e-furqat muKHtasar ye haiyahaa.n vo aa nahii.n saktii vahaa.n mai.n jaa nahii.n saktaahade.n vo khii.nch rakkhii hai.n haram ke paasbaano.n neki bin mujrim bane paiGaam bhii pahu.nchaa nahii.n saktaa
mire chehre pe jab bhii fikr ke aasaar paa.e hai.nmujhe taskiin dii hai mere andeshe miTaa.e hai.nmire shaane pe sar tak rakh diyaa hai giit gaa.e hai.nmirii duniyaa badal detii hai.n KHush-alhaaniyaa.n us kii
apne dil ko dono.n aalam se uThaa saktaa huu.n mai.nkyaa samajhtii ho ki tum ko bhii bhulaa saktaa huu.n mai.nkaun tum se chhiin saktaa hai mujhe kyaa vahm haiKHud zuleKHaa se bhii to daaman bachaa saktaa huu.n mai.ndil me.n tum paidaa karo pahle mirii sii jur.ate.naur phir dekho ki tum ko kyaa banaa saktaa huu.n mai.ndafn kar saktaa huu.n siine me.n tumhaare raaz koaur tum chaaho to afsaana banaa saktaa huu.n me.nme.n qasam khaataa huu.n apne nutq ke e.ajaaz kiitum ko bazm-e-maah-o-anjum me.n biThaa saktaa huu.n mai.nsar pe rakh saktaa huu.n taaj-e-kishvar-e-nuuraaniyaa.nmahfil-e-KHurshiid ko niichaa dikhaa saktaa huu.n mai.nmai.n bahut sarkash huu.n lekin ik tumhaare vaastedil bujhaa saktaa huu.n mai.n aa.nkhe.n bachaa saktaa huu.n mai.ntum agar ruuTho to ik tum ko manaane ke liyegiit gaa saktaa huu.n mai.n aa.nsuu bahaa saktaa huu.n mai.njazb hai dil me.n mire dono.n jahaa.n kaa soz-o-saazbarbat-e-fitrat kaa har naGma sunaa saktaa huu.n mai.ntum samajhtii ho ki hai.n parde bahut se darmiyaa.nmai.n ye kahtaa huu.n ki har parda uThaa saktaa huu.n mai.ntum ki ban saktii ho har mahfil me.n firdaus-e-nazarmujh ko ye da.avaa ki har mahfil pe chhaa saktaa huu.n mai.naa.o mil kar inqalaab-e-taaza-tar paidaa kare.ndahr par is tarah chhaa jaa.e.n ki sab dekhaa kare.n
ai jahaa.n-zaad,nashaat us shab-e-be-raah-ravii kiimai.n kahaa.n tak bhuuluu.n?zor-e-mai thaa ki mere haath kii larzish thiiki us raat ko.ii jaam giraa TuuT gayaatujhe hairat na hu.ii!ki tire ghar ke dariicho.n ke ka.ii shiisho.n parus se pahle kii bhii durze.n thii.n bahuttujhe hairat na hu.ii!ai jahaa.n-zaad,mai.n kuuzo.n kii taraf apne taGaaro.n kii tarafab jo baGdaad se lauTaa huu.nto mai.n sochtaa huu.nsochtaa huu.n tuu mere saamne aa.iina rahiisar-e-baazaar dariiche me.n sar-e-bistar-e-san.jaab kabhiituu mere saamne aa.iina rahiijis me.n kuchh bhii nazar aayaa na mujheapnii hii suurat ke sivaaapnii tanhaa.i-e-jaan-kaah kii dahshat ke sivaa!likh rahaa huu.n tujhe KHataur vo aa.iina mere haath me.n haiis me.n kuchh bhii nazar aataa nahii.nab ek hii suurat ke sivaa!likh rahaa huu.n tujhe KHataur mujhe likhnaa bhii kahaa.n aataa hai?lauh-e-aa.iinaa pe ashko.n kii phavvaro.n hii seKHat kyuu.n na likhuu.n?ai jahaa.n-zaad,nashaat us shab-e-be-raah-ravii kiimujhe phir laa.egii?vaqt kyaa chiiz hai tuu jaantii hai?vaqt ik aisaa pati.ngaa haijo diivaaro.n pe aa.iino.n pepaimaano.n pe shiisho.n pemire jaam o subuu mere taGaaro.n pesadaa re.ngtaa hai
zahe-qismat hilaal-e-eid kii suurat nazar aa.iijo the ramzaan ke biimaar un sab ne shifaa paa.iipahaa.Do.n se vo utre qaafile roza-guzaaruu.n kegayaa garmii kaa 'mausam aur aa.e din bahaaro.n keuThaa hotel kaa 'parda saamne parda-nashii.n aa.ejo chhup kar kar rahe the ehtiraam-e-hukm-e-dii.n aa.ehu.ii anguur kii beTii se ''mastii-KHaan'' kii shaadiikhule dar mai-kado.n ke aur milii rindo.n ko aazaadiinaved-e-kaamraanii laa rahe hai.n race ke gho.Demasarrat ke taraane gaa rahe hai.n race ke gho.Demubaarak ho ki phir se ho gayaa ''dance'' aur ''dinner'' chaaluuKHalaas ahl-e-nazar ho.nge hu.aa dard-e-jigar chaaluunamaaz-e-eid pa.Dhne ke liye sarkaar aa.e hai.naur un ke saath saare taalib-e-diidaar aa.e hai.nyahii din ahl-e-dil ke vaaste ummiid kaa din haitumhaarii diid kaa din hai hamaarii eid kaa din hai
ye shaaKH-saar ke jhuulo.n me.n pe.ng pa.Dte hu.eye laakho.n pattiyo.n kaa naachnaa ye raqs-e-nabaatye be-KHudii-e-musarrat ye vaalihaana raqsye taal-sam ye chhamaa-chham ki kaan bajte hai.nhavaa ke dosh pe kuchh uudii uudii shaklo.n kiinashe me.n chuur sii parchhaa.iyaa.n thiraktii hu.iiufuq pe Duubte din kii jhapaktii hai.n aa.nkhe.nKHamosh soz-e-daruu.n se sulag rahii hai ye shaam!mire makaan ke aage hai ek chau.Daa sahn vasii.akabhii vo ha.nstaa nazar aataa hai kabhii vo udaasisii ke biich me.n hai ek pe.D piipal kaasunaa hai mai.n ne buzurgo.n se ye ki umr us kiijo kuchh na hogii to hogii qariib chhiyaanve saalchhi.Dii thii hind me.n jab pahlii ja.ng-e-aazaadiijise dabaane ke baa'd us ko Gadr kahne lageye ahl-e-hind bhii hote hai.n kis qadar ma.asuumvo daar-o-giir vo aazaadii-e-vatan kii ja.ngvatan se thii ki Ganiim-e-vatan se Gaddaariibiphar ga.e the hamaare vatan ke piir o javaa.ndayaar-e-hind me.n ran pa.D gayaa thaa chaar tarafusii zamaane me.n kahte hai.n mere daadaa nejab arz-e-hind si.nchii KHuun se ''sapuuto.n'' kemiyaan-e-sahn lagaayaa thaa laa ke ik paudaajo aab-o-aatish-o-KHaak-o-havaa se paltaa hu.aaKHud apne qad se ba-josh-e-numuu nikaltaa hu.aafusuun-e-ruuh banaatii rago.n me.n chaltaa hu.aanigaah-e-shauq ke saa.ncho.n me.n roz Dhaltaa hu.aasunaa hai raaviyo.n se diidanii thii us kii uThaanhar ik ke dekhte hii dekhte cha.Dhaa parvaanvahii hai aaj ye chhitnaar pe.D piipal kaavo Tahniyo.n ke kamanDal liye jaTaadhaariizamaana dekhe hu.e hai ye pe.D bachpan serahii hai is ke liye daaKHlii kashish mujh me.nrahaa huu.n dekhtaa chup-chaap der tak us komai.n kho gayaa huu.n ka.ii baar is nazaare me.nvo us kii gahrii ja.De.n thii.n ki zindagii kii ja.De.n?pas-e-sukuun-e-shajar ko.ii dil dha.Daktaa thaamai.n dekhtaa thaa use hastii-e-bashar kii tarahkabhii udaas kabhii shaadmaa.n kabhii gambhiirfazaa kaa surma.ii rang aur ho chalaa gahraaghulaa ghulaa saa falak hai dhu.aa.n dhu.aa.n sii hai shaamhai jhuTpuTaa ki ko.ii azhdahaa hai maa.il-e-KHvaabsukuut-e-shaam me.n darmaandagii kaa aalam hairukii rukii sii kisii soch me.n hai mauj-e-sabaa
aur kuchh der me.n luT jaa.egaa har baam pe chaa.ndaks kho jaa.e.nge aa.iine taras jaa.e.ngearsh ke diida-e-namnaak se baarii-baariisab sitaare sar-e-KHaashaak baras jaa.e.ngeaas ke maare thake haare shabistaano.n me.napnii tanhaa.ii sameTegaa, bichhaa.egaa ko.iibevafaa.ii kii gha.Dii, tark-e-madaaraat kaa vaqtis gha.Dii apne sivaa yaad na aa.egaa ko.iitark-e-duniyaa kaa samaa.n KHatm-e-mulaaqaat kaa vaqtis gha.Dii ai dil-e-aavaara kahaa.n jaa.ogeis gha.Dii ko.ii kasii kaa bhii nahii.n rahne doko.ii is vaqt mile gaa hii nahii.n rahne doaur mile gaa bhii is taur ki pachhtaa.ogeis gha.Dii ai dil-e-aavaara kahaa.n jaa.oge
ik umr ke baa'd tum mile hoai mere vatan ke KHush-navaa.ohar hijr kaa din thaa hashr kaa dindozaKH the firaaq ke alaa.oro.uu.n ki ha.nsuu.n samajh na aa.ehaatho.n me.n hai.n phuul dil me.n ghaa.otum aa.e to saath hii tumhaarebichh.De hu.e yaar yaad aa.eik zaKHm pe tum ne haath rakkhaaaur mujh ko hazaar yaad aa.evo saare rafiiq paa-ba-jaulaa.nsab kushta-e-daar yaad aa.eham sab kaa hai ek hii qabiilaik dasht ke saare ham-safar hai.nkuchh vo hai.n jo duusro.n kii KHaatiraashufta-nasiib o dar-ba-dar hai.nkuchh vo hai.n jo KHil.at-o-qabaa seaivaan-e-shahii me.n mo'tabar hai.nsuqraat o masiih ke fasaanetum bhii to bahut sunaa rahe themansuur o husain se aqiidattum bhii to bahut jataa rahe thekahte the sadaaqate.n amar hai.nauro.n ko yahii bataa rahe theaur ab jo hai.n jaa-ba-jaa saliibe.ntum baa.nsuriyaa.n bajaa rahe hoaur ab jo hai karbalaa kaa naqshatum mad.h-e-yaziid gaa rahe hojab sach tah-e-teG ho rahaa haitum sach se nazar churaa rahe hojii chaahtaa hai ki tum se puuchhuu.nkyaa raaz is ijtinaab me.n haitum itne kaThor to nahii.n theye be-hisii kisii hisaab me.n haitum chup ho to kis tarah se chup hojab KHalq-e-KHudaa azaab me.n haisocho to tumhe.n milaa bhii kyaa haiik luqma-e-tar qalam kii qiimatGairat ko faroKHt karne vaaloik kaasa-e-zar qalam kii qiimatpindaar ke taajiro bataa.odarbaan kaa dar qalam kii qiimatnaadaa.n to nahii.n ho tum ki samjhuu.nGaflat se ye zahr gholte hothaame hu.e maslahat kii miizaanhar sher kaa vazn taulte hoaise me.n sukuut, chashm-poshiiaisaa hai ki jhuuT bolte hoik umr se adl o sidq kii laashGaasib kii saliib par ja.Dii haiis vaqt bhii tum Gazal-saraa hojab zulm kii har gha.Dii ka.Dii haija.ngal pe lapak rahe hai.n sholetaa.uus ko raqs kii pa.Dii haihai sab ko aziiz kuu-e-jaanaa.nis raah me.n sab jiye mare hai.nhaa.n merii bayaaz-e-sher me.n bhiibarbaadi-e-dil ke marsiye hai.nmai.n ne bhii kiyaa hai TuuT kar ishqaur ek nahii.n ka.ii kiye hai.nlekin Gam-e-aashiqii nahii.n haiaisaa jo subuk-sarii sikhaa.eye Gam to vo KHush-ma.aal Gam haijo koh se juu-e-shiir laa.eteshe kaa hunar qalam ko baKHshejo qais ko kohkan banaa.eai hiila-garaan-e-shahr-e-shiirii.naayaa huu.n pahaa.D kaaT kar mai.nhai be-vatanii gavaah meriihar-chand phiraa huu.n dar-ba-dar mai.nbechaa na Guruur-e-nai-navaaziiaisaa bhii na thaa subuk hunar me.ntum bhii kabhii ham-navaa the merephir aaj tumhe.n ye kyaa hu.aa haimiTTii ke vaqaar ko na bechoye ahd-e-sitam jihaad kaa haidaryuuza-garii ke maqbaro.n sezindaa.n kii fasiil KHushnumaa haikab ek hii rut rahii hameshaye zulm kii fasl bhii kaTegiijab harf kahegaa qum-be-izniimartii hu.ii KHaak jii uThegiilailaa-e-vatan ke pairahan me.nbaaruud kii buu nahii.n rahegiiphir baa.ndhe.nge abru.o.n ke dohephir mad.h-e-ruKH-o-dahan kahe.ngeThahraa.e.nge un labo.n ko matlaajaanaa.n ke liye suKHan kahe.ngeafsaana-e-yaar o qissa-e-dilphir anjuman anjuman kahe.nge
mire sarkash taraane sun ke duniyaa ye samajhtii haiki shaayad mere dil ko ishq ke naGmo.n se nafrat haimujhe ha.ngaama-e-ja.ng-o-jadal me.n kaif miltaa haimirii fitrat ko KHuu.n-rezii ke afsaane se raGbat haimirii duniyaa me.n kuchh vaq.at nahii.n hai raqs o naGma kiimiraa mahbuub naGma shor-e-aaha.ng-e-baGaavat haimagar ai kaash dekhe.n vo mirii pur-soz raato.n komai.n jab taaro.n pe nazre.n gaa.D kar aa.nsuu bahaataa huu.ntasavvur ban ke bhuulii vaardaate.n yaad aatii hai.nto soz-o-dard kii shiddat se pahro.n tilmilaataa huu.nko.ii KHvaabo.n me.n KHvaabiida uma.ngo.n ko jagaatii haito apnii zindagii ko maut ke pahluu me.n paataa huu.nmai.n shaa.er huu.n mujhe fitrat ke nazzaaro.n se ulfat haimiraa dil dushman-e-naGma-saraa.ii ho nahii.n saktaamujhe insaaniyat kaa dard bhii baKHshaa hai qudarat nemiraa maqsad faqat sho.ala-navaa.ii ho nahii.n saktaajavaa.n huu.n mai.n javaanii laGzisho.n kaa ek tuufaa.n haimirii baato.n me.n ra.ng-e-paarsaa.ii ho nahii.n saktaamirii sarkash taraano.n kii haqiiqat hai to itnii haiki jab mai.n dekhtaa huu.n bhuuk ke maare kisaano.n koGariibo.n mufliso.n ko be-kaso.n ko be-sahaaro.n kosisaktii naazniino.n ko ta.Dapte nau-javaano.n kohukuumat ke tashaddud ko imaarat ke takabbur kokisii ke chiitha.Do.n ko aur shahanshaahii KHazaano.n koto dil taab-e-nashaat-e-bazm-e-ishrat laa nahii.n saktaamai.n chaahuu.n bhii to KHvaab-aavar taraane gaa nahii.n saktaa
vo kab ke aa.e bhii aur ga.e bhii nazar me.n ab tak samaa rahe hai.nye chal rahe hai.n, vo phir rahe hai.n, ye aa rahe hai.n vo jaa rahe hai.nvahii qayaamat hai qadd-e-baalaa vahii hai suurat, vahii saraapaalabo.n ko jumbish, nigah ko larzish, kha.De hai.n aur muskuraa rahe hai.nvahii lataafat, vahii nazaakat, vahii tabassum, vahii tarannummai.n naqsh-e-hirmaa.n banaa hu.aa thaa vo naqsh-e-hairat banaa rahe hai.nKHiraam ra.ngii.n, nizaam ra.ngii.n, kalaam ra.ngii.n, payaam ra.ngii.nqadam qadam par, ravish ravish par na.e na.e gul khilaa rahe hai.nshabaab ra.ngii.n, jamaal ra.ngii.n, vo sar se paa tak tamaam ra.ngii.ntamaam ra.ngii.n bane hu.e hai.n, tamaam ra.ngii.n banaa rahe hai.ntamaam ra.anaa.iyo.n ke maz.har, tamaam ra.ngiiniyo.n ke manzarsambhal sambhal kar simaT simaT kar sab ek markaz par aa rahe hai.nbahaar-e-ra.ng-o-shabaab hii kyaa sitaara o maahtaab hii kyaatamaam hastii jhukii hu.ii hai, jidhar vo nazre.n jhukaa rahe hai.ntuyuur sarshaar-e-saaGar-e-mul halaak-e-tanviir-e-laala-o-gulsab apnii apnii dhuno.n me.n mil kar ajab ajab giit gaa rahe hai.nsharaab aa.ankho.n se Dhal rahii hai, nazar se mastii ubal rahii haichhalak rahii hai uchhal rahii hai, piye hu.e hai.n pilaa rahe hai.nKHud apne nashshe me.n jhuumte hai.n, vo apnaa mu.nh aap chuumte hai.nKHaraab-e-mastii bane hu.e hai.n, halaak-e-mastii banaa rahe hai.nfazaa se nashsha baras rahaa hai, dimaaG phuulo.n me.n bas rahaa haivo kaun hai jo taras rahaa hai? sabhii ko mai-kash pilaa rahe hai.nzamiin nashsha, zamaan nashsha, jahaan nashsha, makaan nashshamakaan kyaa? laa-makaan nashsha, Dubo rahe hai.n pilaa rahe hai.nvo ruu-e-ra.ngii.n o mauja-e-yam ki jaise daamaan-e-gul pe shabnamye garmii-e-husn kaa hai aalam, araq araq me.n nahaa rahe hai.nye mast bulbul bahak rahe hai.n, qariib-e-aariz chahak rahe haigulo.n kii chhaatii dha.Dak rahii hai, vo dast-e-ra.ngii.n ba.Dhaa rahe hai.nye mauj-o-dariyaa, ye reg-o-sahraa ye Guncha-o-gul, ye maah-o-anjumzaraa jo vo muskuraa diye hai.n vo sab ke sab muskuraa rahe hai.nfazaa ye naGmo.n se bhar ga.ii hai ki mauj-e-dariyaa Thahar ga.ii haisukuut-e-naGma banaa hu.aa hai, vo jaise kuchh gungunaa rahe hai.nab aage jo kuchh bhii ho muqaddar, rahegaa lekin ye naqsh dil parham un kaa daaman paka.D rahe hai.n, vo apnaa daaman chhu.Daa rahe hai.nye ashk jo bah rahe hai.n paiham, agarche sab hai.n ye haasil-e-Gammagar ye ma.aluum ho rahaa hai, ki ye bhii kuchh muskuraa rahe hai.nzaraa jo dam bhar ko aa.nkh jhapkii, ye dekhtaa huu.n na.ii tajalliitilism suurat miTaa rahe hai.n, jamaal ma.anii banaa rahe hai.nKHushii se labrez shash-jihat hai, zabaan par shor-e-tahniyat haiye vaqt vo hai 'jigar' ke dil ko vo apne dil se milaa rahe hai.n
nazar jhukaa.e uruus-e-fitrat jabii.n se zulfe.n haTaa rahii haisahar kaa taaraa hai zalzale me.n ufuq kii lau thartharaa rahii hairavish ravish naGma-e-tarab hai chaman chaman jashn-e-ra.ng-o-buu haituyuur shaaKHo.n pe hai.n Gazal-KHvaa.n kalii kalii gungunaa rahii haisitaara-e-sub.h kii rasiilii jhapaktii aa.nkho.n me.n hai.n fasaanenigaar-e-mahtaab kii nashiilii nigaah jaaduu jagaa rahii haituyuur bazm-e-sahar ke mutrib lachaktii shaaKHo.n pe gaa rahe hai.nnasiim firdaus kii sahelii gulo.n ko jhuulaa jhulaa rahii haikalii pe bele kii kis adaa se pa.Daa hai shabnam kaa ek motiinahii.n ye hiire kii kiil pahne ko.ii parii muskuraa rahii haisahar ko madd-e-nazar hai.n kitnii ri.aayte.n chashm-e-KHuu.n-fishaa.n kiihavaa bayaabaa.n se aane vaalii lahuu me.n surKHii ba.Dhaa rahii haishaluukaa pahne hu.e gulaabii har ik subuk pa.nkhu.Dii chaman me.nra.ngii hu.ii surKH o.Dhnii kaa havaa me.n palluu sukhaa rahii haifalak pe is tarah chhup rahe hai.n hilaal ke gird-o-pesh taareki jaise ko.ii na.ii navelii jabii.n se afshaa.n chhu.Daa rahii haikhaTak ye kyuu.n dil me.n ho chalii phir chaTaktii kaliyo? zaraa Thaharnaahavaa-e-gulshan kii narm ro me.n ye kisii kii aavaaz aa rahii hai?
tum ga.e ho akelaa kar ke mujhekar diyaa zinda tum ne mar ke mujhe
KHalvat-o-jalvat me.n tum mujh se milii ho baar-haatum ne kyaa dekhaa nahii.n mai.n muskuraa saktaa nahii.nmai.n ki maayuusii mirii fitrat me.n daaKHil ho chukiijabr bhii KHud par karuu.n to gungunaa saktaa nahii.nmujh me.n kyaa dekhaa ki tum ulfat kaa dam bharne lagii.nmai.n to KHud apne bhii ko.ii kaam aa saktaa nahii.nruuh-afzaa hai.n junuun-e-ishq ke naGme magarab mai.n in gaa.e hu.e giito.n ko gaa saktaa nahii.nmai.n ne dekhaa hai shikast-e-saaz-e-ulfat kaa samaa.nab kisii tahriik par barbat uThaa saktaa nahii.ndil tumhaarii shiddat-e-ehsaas se vaaqif to haiapne ehsaasaat se daaman chhu.Daa saktaa nahii.ntum mirii ho kar bhii begaana hii paa.ogii mujhemai.n tumhaaraa ho ke bhii tum me.n samaa saktaa nahii.ngaa.e hai.n mai.n ne KHuluus-e-dil se bhii ulfat ke giitab riyaa-kaarii se bhii chaahuu.n to gaa saktaa nahii.nkis tarah tum ko banaa luu.n mai.n shariik-e-zindagiimai.n to apnii zindagii kaa baar uThaa saktaa nahii.nyaas kii taariikiyo.n me.n Duub jaane do mujheab mai.n sham-e-aarzuu kii lau ba.Dhaa saktaa nahii.n
apnii so.ii hu.ii duniyaa ko jagaa luu.n to chaluu.napne Gam-KHaane me.n ik dhuum machaa luu.n to chaluu.naur ik jaam-e-mai-e-talKH cha.Dhaa luu.n to chaluu.nabhii chaltaa huu.n zaraa KHud ko sambhaaluu.n to chaluu.njaane kab pii thii abhii tak hai mai-e-Gam kaa KHumaardhundlaa dhundlaa nazar aataa hai jahaan-e-bedaaraa.ndhiyaa.n chaltii hai.n duniyaa hu.ii jaatii hai Gubaaraa.nkh to mal luu.n zaraa hosh me.n aa luu.n to chaluu.nvo miraa sehr vo ejaaz kahaa.n hai laanaamerii kho.ii hu.ii aavaaz kahaa.n hai laanaamiraa TuuTaa hu.aa vo saaz kahaa.n hai laanaaik zaraa giit bhii is saaz pe gaa luu.n to chaluu.nmai.n thakaa haaraa thaa itne me.n jo aa.e baadalkisii matvaale ne chupke se ba.Dhaa dii botaluf vo ra.ngiin pur-asraar KHayaalo.n ke mahalaise do chaar mahal aur banaa luu.n to chaluu.nmujh se kuchh kahne ko aa.ii hai mire dil kii jalankyaa kiyaa mai.n ne zamaane me.n nahii.n jis kaa chalanaa.nsuu.o tum ne to bekaar bhigoyaa daamanapne bhiige hu.e daaman ko sukhaa luu.n to chaluu.nmerii aa.nkho.n me.n abhii tak hai mohabbat kaa Guruurmere ho.nTo.n ko abhii tak hai sadaaqat kaa Guruurmere maathe pe abhii tak hai sharaafat kaa Guruuraise vahmo.n se zaraa KHud ko nikaaluu.n to chaluu.n
dhiime suro.n me.n ga.ngaa ye giit gaa rahii haijamunaa bhii apne mu.nh me.n ye gungunaa rahii haihindostaan meraa, hindostaan meraa
falak gaa rahaa hai zamii.n gaa rahii haikaleje me.n har lai chubhii jaa rahii haimujhe paa ke is mast shab me.n akelaaye ra.ngii.n ghaTaa tiir barsaa rahii hai
duniyaa ko inqalaab kii yaad aa rahii hai aajtaariiKH apne aap ko dohraa rahii hai aajvo sar uThaa.e mauj-e-fanaa aa rahii hai aajmauj-e-hayaat maut se Takraa rahii hai aajkaano.n me.n zalzalo.n kii dhamak aa rahii hai aajhar chiiz kaa.enaat kii tharraa rahii hai aajjhapkaa rahii hai der se aa.nkhe.n havaa-e-dahrkaun-o-makaa.n ko nii.nd sii kuchh aa rahii hai aajhar lafz ke ma.aanii-o-matlab badal chukehar baat aur baat hu.ii jaa rahii hai aajyaksar jahaan-e-husn bhii badlaa hu.aa saa haiduniyaa-e-ishq aur nazar aa rahii hai aajhar har shikast-e-saaz me.n hai lahn-e-sarmadiiyaa zindagii ke giit ajal gaa rahii hai aajye daaman-e-ajal hai ki tahriik-e-Gaib haikyaa shai havaa-e-dahr ko sankaa rahii hai aajabnaa-e-dahr lete hai.n yuu.n saa.ns garm-o-tezjiine me.n jaise der hu.ii jaa rahii hai aajaflaak kii jabii.n bhii shikan-dar-shikan sii haityorii zamiin kii bhii cha.Dhii jaa rahii hai aajphir chhe.Dtii hai maut hayaat-e-fasurda kophir aatish-e-KHamosh ko uksaa rahii hai aajbarham saa kuchh mizaaj-e-anaasir hai in dino.naur kuchh tabii.at apnii bhii ghabraa rahii hai aajik mauj-e-duud siine me.n larzaa.n hai is tarahnaagin sii jaise shiishe me.n lahraa rahii hai aajbiite jugo.n kii chhaa.nv hai imroz par 'firaaq'har chiiz ik fasaana hu.ii jaa rahii hai aaj
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books