aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "nau-ras"
ye sochaa thaa shaayadke KHud pahle is bod ke aafriinda ban jaa.e.ngeab jo ik bahr-e-KHamiyaaza-kash ban gayaa hai!to phir az-sar-e-nau masarrat se, nau-ras na.ii faatehaana masarrat sepaa.e.nge bhuulii hu.ii zindagii kovahii KHud-farebii, vahii ashk-sho.ii kaa adnaa bahaanaa!
mujhe ek nau-ras kalii neye ta.ana diyaa thaa:tirii umr kaa ye taqaazaa haituu aise phuulo.n kaa bho.nraa banejin me.n do chaar din kii mahak rah ga.ii hoye sach hai vo tasviirjis ke sabhii rang dhundlaa ga.e ho.nna.e rang us me.n bhare kaun laa karna.e rang laa.e kahaa.n se?
ai puuchhne vaale pardesiiye tifl o javaa.nus nuur ke nau-ras motii hai.nus aag kii kachchii kaliyaa.n hai.njis miiThe nuur aur ka.Dvii aagse zulm kii andhii raat me.n phuuTaasub.h-e-baGaavat kaa gulshanaur sub.h hu.ii man-man, tan-tan,un jismo.n kaa chaa.ndii sonaaun chehro.n ke niilam, marjaa.n,jag-mag jag-mag ruKHshaa.n ruKHshaa.njo dekhnaa chaahe pardesiipaas aa.e dekhe jii bhar karye ziist kii raanii kaa jhuumarye amn kii devii kaa ka.ngan!
saal-e-nau saal-e-amn kahlaa.ekaash ye saal ham ko raas aa.e
raas aa.e kaash ham ko bhii 'shaadaa.n' bahaar-e-nauham bhii kha.De hai.n chaak-e-garebaa.n liye hu.e
az-sar-e-nau phir murattab ho jahaan-e-ra.ng-o-buuKHaar-o-KHas se phir ho paidaa kaar-KHaane ra.ng-o-buuprem-ras se laa.o bhar kar KHushnumaa pichkaariyaa.nho.n na.ii daamaan-e-hastii par lataafat-baariyaa.n
kitaabo.n kaa ziina banaa karmachaanii se mai.n ne miThaa.ii churaa.ii toghar me.n kisii ko bhii Gussa na aayaaye kam-sin zehaanat kii taasiir thiiyaa sharaarat kii shiirii.n shakar-qandiyo.n jaisii umro.n kii lazzatabhii tak vo KHush-zaa.eqa vaaqi.ajab rag-e-jaa.n me.n ghultaa haibachpan ke baaGaat kii titliyaa.nphuul ban kar barastii hai.npathriilii umro.n ke din raat kiizard kaalii musiibat kaa Gam bhuul karmuskuraahaT kii miiThii phuvaare.nbayaabaa.n ko jal-thal banaatii hai.n gaatii hai.nek do tiinallaah miyaa.n kii zamiinchaar paa.nch chhe saatsaare mil kar khaa.e.n bhaataaTh nau das paanii miiThaa raspaanii kii lahro.n pe hachkole khaatii hu.iikaaGazii-umr kii naavkarvaT badal kar ulaT detii hai KHvaab saarekitaabo.n pe girte hu.e aa.nsu.o.n sesiyaahii ke dariyaa hii bante hai.ndariyaa samundar banaate hai.nsaare samundar siyaahii qalam ban ga.ii.n saarii shaaKHe.nqasam u.ngliyo.n kiimohabbat bharaa KHat mire aur tire darmiyaa.n tiir haimai.n likkhuu.n aur likhtaa rahuu.n taa-qayaamatmohabbat kii nazme.nmagar jaaniyaa.n in kitaabo.n ko ziina banaa karka.ii baar mai.n netire aasmaano.n pe jaa kartujhe Dhuu.nD laane kii naakaam koshish me.naa.nsuu bahaa.esiyaahii ke dariyaa banaa.e
KHudaayaa ab ke ye kaisii bahaar aa.ii''KHudaa se kyaa gila bhaa.iiKHudaa to KHair kis ne us kaa aks-e-naqsh-e-paa dekhaana dekhaa to bhii dekhaa aur dekhaa bhii to kyaa dekhaamagar tauba mirii tauba ye insaa.n bhii to aaKHir ik tamaashaa haiye jis ne pichhlii Taa.ngo.n par kha.Daa honaa ba.De jatano.n se siikhaa haiabhii kal tak jab us ke abruu.o.n tak muu-e-pechaa.n theabhii kal tak jab us ke ho.nT mahruum-e-zanaKHdaa.n theridaa-e-sad-zamaa.n o.Dhe laraztaa kaa.nptaa baiThaazamiir-e-sa.ng se bas ek chi.ngaarii kaa taalib thaamagar ab to ye uu.nchii mamTiyo.n vaale jilau-KHaano.n me.n basta haihamaare hii labo.n se muskuraahaT chhiin kar ab ham pe ha.nstaa haiKHudaa us kaa KHudaa.ii us kii har shai us kii ham kyaa hai.nchamaktii motoro.n se u.Dne vaalii dhuul kaa naachiiz zarra hai.nhamaarii hii tarah jo paa.emaal-e-satvat-e-amiirii-o-shaahii me.nlikhokhaa aabdiida paa-piyaada dil-zada vaamaa.nda raahii hai.njinhe.n nazro.n se gum hote hu.e rasto.n kii gum-paimaa lakiiro.n me.ndikhaa.ii de rahii hai.n aane vaalii manzilo.n kii dhundlii tasviire.nzaruur ik roz badlegaa nizaam-e-qismat-e-aadambasegii ik na.ii duniyaa sajegaa ik nayaa aalamshabistaa.n me.n na.ii sham.e.n gulistaa.n me.n nayaa mausam''vo rut ai ham-nafas jaane kab aa.egiivo fasl-e-der-ras jaane kab aa.egiiye nau number kii bas jaane kab aa.egii
to vaqt biitaaaur aaj huu.n mai.n vatan kaa apne javaan shahriivahii zamii.n haivahii falak haivahii fazaa haimagar na jaane chubhan sii kyo.n dil me.n ho rahii hainizaam-e-nau bhiina raas aaya vatan ko shaayadjahaa.n bhii dekhouThaa hai nafrat kaa ek tuufaa.ndhu.aa.n dhu.aa.n hai har ek manzarzamii.n se taa-aasmaa.n abhii takhazaaro.n sho.ale bha.Dak rahe hai.njhulas rahaa hai ab in me.n insaaniyat kaa daamankahii.n bhii kunj-e-amaa.n nahii.n haiuja.D rahii hai.n hazaaro.n maa.nge.nlahuu ke chashme ubal rahe hai.njavaan bahne.nza.iif maa.e.nab apnii izzat ko ro rahii hai.nkahii.n pe bachche bilak rahe hai.nki jaise lamhe bikhar rahe hai.nki jaise lamhe bikhar ga.e ho.n
KHitta-e-arz pe kyaa shaan hai terii urdutuu mirii ziist kaa armaan hai merii urdutujh ko baKHshaa gayaa duniyaa me.n mua.allaa kaa KHitaabtuu vo jauhar hai ki teraa nahii.n duniyaa me.n javaabgulshan-e-dahr me.n maujuud hai KHushbuu kii tarahtuu hai sahraa-e-KHayaalaat me.n aahuu kii tarahterii azmat ko.ii 'ashraf' kii zabaa.n se puuchhenafs-e-mazmuu.n tiraa 'KHusrav' ke bayaa.n se puuchheyuu.n to kahne ko vatan hai tiraa ye barr-e-saGiirmagar ai lailaa-e-jaa.n teraa har ik dil hai asiirtujh pe naazaa.n thii qulii 'qutb' ke jazbaat kii raukabhii dillii to kabhii lakhna.uu pahu.nchii tirii zautujh ko e.azaaz-e-ajab shaahjahaa.n ne baKHshaalutf-e-shaa.istagii 'saudaa' kii zabaa.n ne baKHshaaaa gayaa dil me.n tire 'miir-taqii-miir' kaa sozde gayaa dard kii lazzat tujhe 'dil-giir' kaa soz'momin'-o-'zauq' ke afkaar tujhe raas aa.ezehn-e-'Gaalib' ke KHayaalaat tire paas aa.eaa gayaa tere kaf-e-dast me.n aalam kaa zamiirkar ga.e tujh ko sar-afraaz 'aniis' aur 'dabiir''daaG' ne tujh ko diye ishq ke andaaz na.efikr-e-'iqbaal' se kyaa kyaa na mile raaz na.e'josh' kii sho.ala-bayaanii ne tujhe dii vus.at'aarzuu' kii hama-daanii ne tujhe dii vaq.atkar gayaa tujh ko buland 'aal-e-razaa' kaa usluubde gayaa lahja-e-nau 'faiz' kaa dhiimaa usluubshaadii-o-Gam me.n tujhe yaad kiyaa karte hai.nterii aavaaz me.n fariyaad kiyaa karte hai.n
kal bhii ye karb thaa aur tiira-shabii thii lekinkal to aaya thaa ko.ii sub.h-e-nau ummiid liyeye alag baat ki TuuTe the sitaare kal bhiimere be-naam se jazbaat kii tardiid liye
ye dil kii raahe.n udaas kyo.n hai.n umiid ke qaafile kahaa.n hai.nham apne kuucho.n me.n ajnabii hai.n ham apne hii ghar me.n mehmaa.n hai.n
ek doshiiza sa.Dak par dhuup me.n hai be-qaraarchuu.Diyaa.n bajtii hai.n ka.nkar kuuTne me.n baar baar
ye kaun muskuraahaTo.n kaa kaarvaa.n liye hu.eshabaab-e-sher-o-ra.ng-o-nuur kaa dhu.aa.n liye hu.edhu.aa.n ki barq-e-husn kaa mahaktaa sho.ala hai ko.iichaTiilii zindagii kii shaadmaaniyaa.n liye hu.elabo.n se pa.nkhu.Dii gulaab kii hayaat maa.nge haika.nval sii aa.nkh sau nigaah-e-mehrbaa.n liye hu.eqadam qadam pe de uThii hai lau zamiin-e-rah-guzaradaa adaa me.n be-shumaar bijliyaa.n liye hu.enikalte baiThte dino.n kii aahaTe.n nigaah me.nrasiile ho.nT fasl-e-gul kii daastaa.n liye hu.eKHutuut-e-ruKH me.n jalva-gar vafaa ke naqsh sar-ba-sardil-e-Ganii me.n kul hisaab-e-dostaa.n liye hu.evo muskuraatii aa.nkhe.n jin me.n raqs kartii hai bahaarshafaq kii gul kii bijliyo.n kii shoKHiyaa.n liye hu.eadaa-e-husn barq-paash shola-zan nazaara-sozfazaa-e-husn uudii uudii bijliyaa.n liye hu.ejagaane vaale naGma-e-sahar labo.n pe maujzannigaahe.n nii.nd laane vaalii loriyaa.n liye hu.evo nargis-e-siyaah-e-niim-baaz, mai-kada-ba-doshhazaar mast raato.n kii javaaniyaa.n liye hu.etaGaaful-o-KHumaar aur be-KHudii kii oT me.nnigaahe.n ik jahaa.n kii hoshiyaariyaa.n liye hu.eharii-bharii rago.n me.n vo chahaktaa boltaa lahuuvo sochtaa hu.aa badan KHud ik jahaa.n liye hu.eza-farq taa-qadam tamaam chehra jism-e-naaznii.nlatiif jagmagaahaTo.n kaa kaarvaa.n liye hu.etabassumash takallume takallumash tarannumenafas nafas me.n thartharaataa saaz-e-jaa.n liye hu.ejabiin-e-nuur jis pe pa.D rahii hai narm chhuuT siiKHud apnii jagmagaahTo.n kii kahkashaa.n liye hu.e''sitaara-baar o mah-chakaa.n o KHuur-fishaa.n'' jamaal-e-yaarjahaan-e-nuur kaarvaa.n-ba-kaarvaa.n liye hu.evo zulf-e-KHam-ba-KHam shamiim-e-mast se dhu.aa.n dhu.aa.nvo ruKH chaman chaman bahaar-e-jaavedaa.n liye hu.eba-mastii-e-jamaal-e-kaa.enaat, KHvaab-e-kaa.enaatba-gardish-e-nigaah daur-e-aasmaa.n liye hu.eye kaun aa gayaa mire qariib uzv uzv me.njavaaniyaa.n, javaaniyo.n kii aa.ndhiyaa.n liye hu.eye kaun aa.nkh pa.D rahii hai mujh par itne pyaar sevo bhuulii sii vo yaad sii kahaaniyaa.n liye hu.eye kis kii mahkii mahkii saa.nse.n taaza kar ga.ii.n dimaaGshabo.n ke raaz nuur-e-mah kii narmiyaa.n liye hu.eye kin nigaaho.n ne mire gale me.n baahe.n Daal dii.njahaan bhar ke dukh se dard se amaa.n liye hu.enigaah-e-yaar de ga.ii mujhe sukuun-e-be-karaa.nvo be-kahii vafaa.o.n kii gavaahiyaa.n liye hu.emujhe jagaa rahaa hai maut kii Gunuudgii se kaunnigaaho.n me.n suhaag-raat kaa samaa.n liye hu.emirii fasurda aur bujhii hu.ii jabii.n ko chhuu liyaaye kis nigaah kii kiran ne saaz-e-jaa.n liye hu.esute se chehre par hayaat rasmasaatii muskuraatiina jaane kab ke aa.nsu.o.n kii daastaa.n liye hu.etabassum-e-sahar hai aspataal kii udaas shaamye kaun aa gayaa nashaat-e-be-karaa.n liye hu.etire na aane tak agarche mehrbaa.n thaa ik jahaa.nmai.n ro ke rah gayaa huu.n sau Gam-e-nihaa.n liye hu.ezamiin muskuraa uThii ye shaam jagmagaa uThiibahaar lahlhaa uThii shamiim-e-jaa.n liye hu.efazaa-e-aspataal hai ki ra.ng-o-buu kii karvaTe.ntire jamaal-e-laala-guu.n kii daastaa.n liye hu.e'firaaq' aaj pichhlii raat kyuu.n na mar rahuu.n ki abhayaat aisii shaame.n hogii phir kahaa.n liye hu.e(2)magar nahii.n kuchh aur maslahat thii us ke aane me.njamaal-o-diid-e-yaar the nayaa jahaa.n liye hu.eisii na.e jahaa.n me.n aadmii bane.nge aadmiijabii.n pe shaahkaar-e-dahr kaa nishaa.n liye hu.eisii na.e jahaa.n me.n aadmii bane.nge devtaatahaarato.n kaa farq-e-paak par nishaa.n liye hu.eKHudaa.ii aadmii kii hogii is na.e jahaan parsitaaro.n ke hai.n dil ye pesh-go.iiya.n liye hu.esulagte dil sharar-fishaa.n o sho.ala-baar barq-paashguzarte din hayaat-e-nau kii surKHiyaa.n liye hu.etamaam qaul aur qasam nigaah-e-naaz-e-yaar thiituluu-e-zindagii-e-nau kii daastaa.n liye hu.enayaa janam hu.aa miraa ki zindagii na.ii miliijiyuu.ngaa shaam-e-diid kii nishaaniyaa.n liye hu.ena dekhaa aa.nkh uThaa ke ahd-e-nau ke parda-daaro.n neguzar gayaa zamaana yaad-e-raftagaa.n liye hu.eham inqilaabiyo.n ne ye jahaa.n bachaa liyaa magarabhii hai ik jahaa.n vo bad-gumaaniyaa.n liye hu.e
sunahrii shaam hai saaqiishafaq gulfaam hai saaqiiba.Dhaa saaGar ki mai-noshiimubaarak kaam hai saaqiihai.n KHaalii jis qadar pyaalesharaab-e-surKH se bhar detujhe kyaa zarf-e-zarrii.n yaasifaalii jaam hai saaqiiye KHum kyo.n kyo.n ye paimaanaluTaa de saaraa mai-KHaanamasarrat jis ko kahte hai.nmataa’-e-‘aam hai saaqiina hushyaarii na be-hoshiiho kuchh mastii kuchh aagaahiiKHirad-mandaan-e-‘aalam kaayahii paiGaam hai saaqiigale milte the jo baahamhai.n KHanjar bar-guluu paihamlab-e-e’jaaz bhii goyaalab-e-dushnaam hai saaqiiba-har-jaa hirs ke phandehavasnaakii ke sab bandegiraftaar-e-KHam-e-kaakul'abas badnaam hai saaqii‘uqaab-e-charKH-paimaa hohumaa ho yaa ki 'anqaa horiyaaz-e-rang-o-nik.hat me.nasiir-e-daam hai saaqiiruKH-o-gesuu kaa nazzaaramuraqqa' nuur-o-zulmat kaamukaddar sub.h yaa shaayadmunavvar shaam hai saaqiishabaab o husn dilbar kaatamaashaa hai gha.Dii-bhar kaadavaamii nashsha-e-ulfatKHayaal-e-KHaam hai saaqiiyahii ik lamha-e-'ishratyahii ik 'aish kii saa'atyahii aaGaaz hastii kaayahii anjaam hai saaqiitalaash-e-be-KHudii me.n abhuu.n vaqf-e-baada roz-o-shabisii ik kaam ke laa.iqdil-e-naakaam hai saaqiiidhar hai kulfat-e-maaziiudhar ummiid fardaa kii'ajab biim-o-rajaa hai kuchh'ajab hangaam hai saaqiibachaa aafat se har dil konigaah-e-bad se mahfil koki jo tiir-e-nazar hai yaa.nvo KHuu.n-aashaam hai saaqiikaliid-e-maKHzan-e-‘irfaa.nnaved-e-rauza-e-rizvaa.nqadah kii sham' raushan rakhshab-e-auhaam hai saaqiikaliisaa ho ki mandir hodar-e-masjid ki mimbar hona ho gar justujuu-e-haqGalat iqdaam hai saaqiitire ratl-e-giraa.n kii haijo qiimat zindagii sii shaito naqd-e-hosh-o-diin-o-diltiraa in'aam hai saaqiijahaa.n tuu jalva-farmaa hojahaa.n tuu chehra-aaraa hodam-e-raahat se vaa.n KHush-tardil-e-aalaam hai saaqiisuruur-e-jaavedaanii tuufaroG-e-zindagaanii tuubahaar-e-aarzuu tujh binbaraa.e naam hai saaqiiniraa saa hai jahaa.n kab sehai pyaasaa kaarvaa.n kab seqariib-e-chashma-e-haivaa.nye tishna-kaam hai saaqiihayaat-e-taaza kaa sadqapilaa de jur'a par jur'ashaguufe nau-shagufta gulsaman-andaam hai saaqiibayaabaa.n me.n hai.n barsaate.nchaman me.n chaa.ndnii raate.nzamii.n sahbaa-e-mausam seba-rang-e-jaam hai saaqiiKHushii ke chahchahe har-suuha.nsii aur qahqahe har-suudilo.n me.n kis liye aaKHirGam-e-ayyaam hai saaqiinasheman shaaKH-e-tuubaa parbanaa sakte nahii.n taa.irki baazuu par shikasta aurfalak-ras baam hai saaqii'ataa ho 'azm hikmat kobulandii fikr-o-himmat koto raah-e-jaada-e-maqsadfaqat ik gaam hai saaqii
thii mah-e-nau rafta rafta maah-e-kaamil ban ga.iishaa.iraana mahfilo.n me.n sham-e-mahfil ban ga.iihusn-e-fitrat kii adaa-fahmii ke qaabil ban ga.iijab zabaa.n kii tez nashtar se rag-e-dil ban ga.iikyaa qayaamat hai ki dil par kuchh asar lete nahii.nho rahaa hai KHuun is kaa tum KHabar lete nahii.n
chhoTe chhoTe qasbo.n kedukh ajiib hote hai.nsukh ajiib hote hai.n
chhoTe chhoTe qasbo.n kedukh 'ajiib hote hai.nsukh 'ajiib hote hai.naa.nsu.o.n kii bastii me.nrasne-basne vaalo.n kokab ko.ii Garaz is sekaarobaar-e-hastii me.nnaf' kyaa KHasaaraa kyaa'umr ke KHazaane me.nbesh-o-kam kaa yaaraa kyaaun kaa apnaa maslak haiun kii apnii duniyaa haiun gharo.n kii chaukhaT parvaqt baa.ng detaa haimu.nh a.ndhere chakkii me.nKHvaab piise jaate hai.nchaa.nd sii raso.ii me.nbartano.n ke aa.iinedukh ko mu.nh chi.Dhaate hai.nun gharo.n ke aangan me.ndin shuruu' hotaa haiKHvaab kaate jaane sezindagii kii Dorii me.nsukh piro.e jaane seaa.nkh ke kaToro.n me.nGam samo.e jaane semehrbaa.n mashaqqat kebojh Dho.e jaane sedin tuluu' hotaa haikyaariyo.n kii miTTii me.ngiit jab nahaate hai.nrang chahchahaate hai.nsaath kii mu.nDero.n parKHvaab par sukhaate hai.nbachchiyaa.n KHayaalo.n me.napne ghar basaatii hai.nmom ke gharo.ndo.n me.nzindagii kii ha.nD-kuliyaadhuup se pakaatii hai.nbe-zabaan gu.Diyo.n sejin kii aa.nkh dhaage kiijin ke ho.nT resham keapne dil kii sab baate.nbaarhaa bataatii hai.naur rumuuz jiine keaap siikh jaatii hai.nun gharo.n ke aa.ngan me.ndopahar utartii haiek nannhii suu.ii kiiaa.nkh ke jharoke seik kiran ke mokhe sedhuup ke hinaa.ii haathtashtarii ba.Dhaate hai.nchaahato.n ke miiThe rangzaa.iqo.n ke naadiidalams chho.D jaate hai.nchuu.Diyaa.n khanaktii hai.nhaath baat karte hai.nang ang ha.nstaa haipor por ke andardil dha.Dakne lagtaa haipor por rotii haio.Dhnii bhigotii haiKHvaab vo pa.Dosii haijis ke ujle kurte kaaroz ik button TuuTedil ki vo mohalla haijis ke basne vaalo.n seroz ik KHushii ruuThejaane kitne jismo.n kobe-riyaa mohabbat kiiaag chaaT jaatii haijaane kitne nau-mauluudKHvaab dafn hote hai.ndil ke sard-KHaane me.njaane kitne rishto.n kodafn kar ke chupke sevaqt ke gunaaho.n parKHaak Daalii jaatii haiun udaas galiyo.n me.nsardiyo.n kii raato.n me.nduur paar se aatedil-navaaz giito.n kesaa.nvle salone bolchaa.nd ko rulaate hai.nchaa.nd bholaa-bhaalaa haichaa.nd ko ye kyaa maa'luumzindagii kii nauTankiiyuu.nhii chaltii rahtii haimuflisii kii raqqaasataal par zamaane kiijaane kitnii sadiyo.n seek jaise bolo.n parraqs kartii rahtii haisub.h se zaraa pahlebebasii ke bistar parvo jo aa ke Dhahtii haibistaro.n ke sab paivandus ko gudgudaate hai.nbe-sabab ha.nsaate hai.nbe-sabab rulaate hai.nun galii mohallo.n me.nraat jab utartii haimaa.e.n apne bachcho.n koloriyaa.n sunaatii hai.napnii sard baa.nho.n kaapaalnaa hilaatii hai.nKHvaab vo dikhaatii hai.nafsarii ke shaahii keKHvaab kaj-kulaahii kechaa.nd aur gulaab un kemadrase jo jaate hai.nqamchiyo.n se hotaa haibachpane kaa istiqbaalphuul jaise jismo.n parbed jab barastii haiduur tak chaTaa.ii parik qataar me.n baiThelafz thartharaate hai.nsab varaq kitaabo.n keaise pha.D.pha.Daate hai.njaise jaan khi.nchtii houn kii dars-gaaho.n me.nqamchiyaa.n mu'allim hai.nqamchiyaa.n mudarris hai.nqamchiyaa.n raTaatii hai.nsabr achchhii 'aadat haisabr aur qanaa'at sezindagii sa.nvartii haiun galii mohallo.n kaahusn kam-suKHan bhii haiaur bholaa-bhaalaa bhiihaa.n ye kam-suKHan la.Dkaabhiigtii maso.n ke saathghar se jab nikaltaa hai'umr kii hade.n saariiyuu.n phalaa.ng jaataa haimuflisii havas-peshaphuul jaise gaalo.n kaarang chuus letii haibholii-bhaalii baato.n seras nicho.D letii haiaur phir zamaane kebiich chho.D detii haipeT be-hayaa dallaaldar-ba-dar phiraataa haisau jatan sikhaataa haichhoTe chhoTe qasbo.n me.nghar ke saamne baiThiisiidhii-saadii ummiide.nraah taktii rahtii hai.n'umre.n biit jaatii haikuchh KHabar nahii.n miltiiDaakiyaa jab aataa haichaahato.n kii puu.njii me.nik raqam ba.Dhaataa haiaur lauT jaataa haisiidhii-saadii ummiide.nghar se jaane vaalo.n koek jaise lafzo.n kiibhejtii hai.n sauGaate.nvaqt buu.Dhaa munshii haijis ko KHat kaa sab mazmuunlafz lafz azbar haiphir bhii puuchh letaa haiaur kyaa likhuu.n bolophir se ab ke saavan me.nsaa.ibaa.n Tapaktaa haitan kii aur ik diivaarDhah ga.ii hai ab ke baarsiidhii-saadii ummiide.nroz-o-shab kii chaukhaT par'umr kaaT detii hai.njism KHaak ho jaa.ejaan raakh ho jaa.epeT to jahannum haiye javaan rahtaa haiun kii aa.nkh kaa saavanchaahe ko.ii mausam homehrbaan rahtaa haichhoTe chhoTe qasbo.n kedukh 'ajiib hote hai.nsukh 'ajiib hote hai.n
o des se aane vaalaa hai bataao des se aane vaale bataakis haal me.n hai.n yaaraan-e-vatanaavaara-e-Gurbat ko bhii sunaakis rang me.n hai kan.aan-e-vatanvo baaG-e-vatan firdaus-e-vatanvo sarv-e-vatan raihaan-e-vatano des se aane vaale bataa
nigaah-e-shauq me.n jalve jo tere aate hai.ntajalliyo.n ke na.e taur jagmagaate hai.ntalaash-e-haq me.n jidhar bhii jahaa.n bhii jaate hai.ntire hii naqsh-e-qadam rah-guzar me.n paate hai.ntire jamaal se ai banda-e-KHudaa saabitKHudaa ke nuur se insaa.n banaa.e jaate hai.nkabhii jo dair-o-haram ke qariib tak na ga.etirii samaadhii ke aage vo sar jhukaate hai.nbayaan ek tiraa naqsh ho gayaa dil parsunaane vaale fasaane bahut sunaate hai.nye kis muGannii-e-kaamil kii bazm-e-rangii.n haiyahaa.n jo aate hai.n vo naGma-baar aate hai.nchaman unhii kaa ye rang-e-chaman bhii un kaa haijo bijliyo.n se yahaa.n aashiyaa.n banaate hai.njahaan-e-amn me.n talvaar chal nahii.n saktiiKHudaa ke bande magar aazmaa.e jaate hai.nye bazm-e-rind nahii.n mahfil-e-tariiqat haiyahaa.n hayaat ke saaGar pilaa.e jaate hai.nmai.n jaa rahaa huu.n liye ek kaarvaan-e-hayaathazaar rahzan-e-hastii mujhe Daraate hai.njo baj rahaa hai zamaane me.n saaz teraa haijo gaa rahe hai.n faqat tere giit gaate hai.nvo tujh ko aur tiraa mudda.aa nahii.n samjhetujhe bashar se jo fauq-ul-bashar bataate hai.njinho.n ne chuum liye paa.nv terii azmat kesitaare ban ke vo zarre bhii jhilmilaate hai.ncharaaG-e-raah-e-sadaaqat bataa kidhar jaa.e.nki manzilo.n ke a.ndhere hame.n bulaate hai.ntire hii faiz se abnaa-e-nazm-e-nau 'hindii'na.ii zamiin nayaa aasmaa.n banaate hai.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books