Sher on Aahat
Footfalls tell many
stories. They represent hope as well as despair. They are also real and hallucinatory. While the real ones are forebodings of a delightful meeting, the illusory ones only bring suffering and pain. Many moods of those in waiting are associated with footfalls. Verses in this selection will bring you many experiences around the reality and illusion of footfalls.
bahut pahle se un qadmoñ kī aahaT jaan lete haiñ
tujhe ai zindagī ham duur se pahchān lete haiñ
bahut pahle se un qadmon ki aahaT jaan lete hain
tujhe ai zindagi hum dur se pahchan lete hain
-
Tags : Famous shayariand 2 more
kaun aa.egā yahāñ koī na aayā hogā
merā darvāza havāoñ ne hilāyā hogā
kaun aaega yahan koi na aaya hoga
mera darwaza hawaon ne hilaya hoga
-
Tags : Famous shayariand 1 more
jise na aane kī qasmeñ maiñ de ke aayā huuñ
usī ke qadmoñ kī aahaT kā intizār bhī hai
jise na aane ki qasmen main de ke aaya hun
usi ke qadmon ki aahaT ka intizar bhi hai
dil par dastak dene kaun aa niklā hai
kis kī aahaT suntā huuñ vīrāne meñ
dil par dastak dene kaun aa nikla hai
kis ki aahaT sunta hun virane mein
-
Tags : Diland 1 more
aahaT sī koī aa.e to lagtā hai ki tum ho
saaya koī lahrā.e to lagtā hai ki tum ho
aahaT si koi aae to lagta hai ki tum ho
saya koi lahrae to lagta hai ki tum ho
āhaTeñ sun rahā huuñ yādoñ kī
aaj bhī apne intizār meñ gum
aahaTen sun raha hun yaadon ki
aaj bhi apne intizar mein gum
maiñ ne din raat ḳhudā se ye duā māñgī thī
koī aahaT na ho dar par mire jab tū aa.e
main ne din raat KHuda se ye dua mangi thi
koi aahaT na ho dar par mere jab tu aae
-
Tags : Duaand 2 more
'aḳhtar' guzarte lamhoñ kī aahaT pe yuuñ na chauñk
is mātamī julūs meñ ik zindagī bhī hai
'aKHtar' guzarte lamhon ki aahaT pe yun na chaunk
is matami julus mein ek zindagi bhi hai
-
Tags : Motivationaland 1 more
niiñd aa.e to achānak tirī aahaT sun luuñ
jaag uTThūñ to badan se tirī ḳhushbū aa.e
nind aae to achanak teri aahaT sun lun
jag uTThun to badan se teri KHushbu aae
aaj bhī naqsh haiñ dil par tirī aahaT ke nishāñ
ham ne us raah se auroñ ko guzarne na diyā
aaj bhi naqsh hain dil par teri aahaT ke nishan
hum ne us rah se auron ko guzarne na diya
ḳhāmoshī meñ chāhe jitnā begāna-pan ho
lekin ik aahaT jānī-pahchānī hotī hai
KHamoshi mein chahe jitna begana-pan ho
lekin ek aahaT jaani-pahchani hoti hai
koī āvāz na aahaT na koī halchal hai
aisī ḳhāmoshī se guzre to guzar jā.eñge
koi aawaz na aahaT na koi halchal hai
aisi KHamoshi se guzre to guzar jaenge
koī halchal hai na aahaT na sadā hai koī
dil kī dahlīz pe chup-chāp khaḌā hai koī
koi halchal hai na aahaT na sada hai koi
dil ki dahliz pe chup-chap khaDa hai koi
shaam Dhale aahaT kī kirneñ phūTī thiiñ
sūraj Duub ke mere ghar meñ niklā thā
sham Dhale aahaT ki kirnen phuTi thin
suraj Dub ke mere ghar mein nikla tha
ye zulf-bar-dosh kaun aayā ye kis kī aahaT se gul khile haiñ
mahak rahī hai fazā-e-hastī tamām aalam bahār sā hai
ye zulf-bar-dosh kaun aaya ye kis ki aahaT se gul khile hain
mahak rahi hai faza-e-hasti tamam aalam bahaar sa hai
-
Tag : Welcome
pahle to us kī yaad ne sone nahīñ diyā
phir us kī āhaToñ ne kahā jāgte raho
pahle to us ki yaad ne sone nahin diya
phir us ki aahaTon ne kaha jagte raho
har lahza us ke paañv kī aahaT pe kaan rakh
darvāze tak jo aayā hai andar bhī aa.egā
har lahza us ke panw ki aahaT pe kan rakh
darwaze tak jo aaya hai andar bhi aaega
is añdhere meñ na ik gaam bhī ruknā yaaro
ab to ik dūsre kī āhaTeñ kaam ā.eñgī
is andhere mein na ek gam bhi rukna yaro
ab to ek dusre ki aahaTen kaam aaengi
jab zarā raat huī aur mah o anjum aa.e
bār-hā dil ne ye mahsūs kiyā tum aa.e
jab zara raat hui aur mah o anjum aae
bar-ha dil ne ye mahsus kiya tum aae
apnī aahaT pe chauñktā huuñ maiñ
kis kī duniyā meñ aa gayā huuñ maiñ
apni aahaT pe chaunkta hun main
kis ki duniya mein aa gaya hun main
ye bhī rahā hai kūcha-e-jānāñ meñ apnā rañg
aahaT huī to chāñd darīche meñ aa gayā
ye bhi raha hai kucha-e-jaanan mein apna rang
aahaT hui to chand dariche mein aa gaya
kisī aahaT meñ aahaT ke sivā kuchh bhī nahīñ ab
kisī sūrat meñ sūrat ke sivā kyā rah gayā hai
kisi aahaT mein aahaT ke siwa kuchh bhi nahin ab
kisi surat mein surat ke siwa kya rah gaya hai
aahaT bhī agar kī to tah-e-zāt nahīñ kī
lafzoñ ne ka.ī din se koī baat nahīñ kī
aahaT bhi agar ki to tah-e-zat nahin ki
lafzon ne kai din se koi baat nahin ki
koī dastak koī aahaT na sadā hai koī
duur tak ruuh meñ phailā huā sannāTā hai
koi dastak koi aahaT na sada hai koi
dur tak ruh mein phaila hua sannaTa hai
palaT na jaa.eñ hamesha ko tere āñgan se
gudāz lamhoñ kī be-ḳhvāb āhaToñ se na ruuTh
palaT na jaen hamesha ko tere aangan se
gudaz lamhon ki be-KHwab aahaTon se na ruTh
-
Tags : Aanganand 1 more
dil ke suune sehn meñ gūñjī aahaT kis ke paañv kī
dhūp-bhare sannāTe meñ āvāz sunī hai chhāñv kī
dil ke sune sehn mein gunji aahaT kis ke panw ki
dhup-bhare sannaTe mein aawaz suni hai chhanw ki