Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Aahat

Footfalls tell many

stories. They represent hope as well as despair. They are also real and hallucinatory. While the real ones are forebodings of a delightful meeting, the illusory ones only bring suffering and pain. Many moods of those in waiting are associated with footfalls. Verses in this selection will bring you many experiences around the reality and illusion of footfalls.

bahut pahle se un qadmoñ aahaT jaan lete haiñ

tujhe ai zindagī ham duur se pahchān lete haiñ

bahut pahle se un qadmon ki aahaT jaan lete hain

tujhe ai zindagi hum dur se pahchan lete hain

Firaq Gorakhpuri

kaun aa.egā yahāñ koī na aayā hogā

merā darvāza havāoñ ne hilāyā hogā

kaun aaega yahan koi na aaya hoga

mera darwaza hawaon ne hilaya hoga

Kaif Bhopali

jise na aane qasmeñ maiñ de ke aayā huuñ

usī ke qadmoñ aahaT intizār bhī hai

jise na aane ki qasmen main de ke aaya hun

usi ke qadmon ki aahaT ka intizar bhi hai

Javed Naseemi

dil par dastak dene kaun aa niklā hai

kis aahaT suntā huuñ vīrāne meñ

dil par dastak dene kaun aa nikla hai

kis ki aahaT sunta hun virane mein

Gulzar

aahaT koī aa.e to lagtā hai ki tum ho

saaya koī lahrā.e to lagtā hai ki tum ho

aahaT si koi aae to lagta hai ki tum ho

saya koi lahrae to lagta hai ki tum ho

Jan Nisar Akhtar

āhaTeñ sun rahā huuñ yādoñ

aaj bhī apne intizār meñ gum

aahaTen sun raha hun yaadon ki

aaj bhi apne intizar mein gum

Rasa Chughtai

maiñ ne din raat ḳhudā se ye duā māñgī thī

koī aahaT na ho dar par mire jab aa.e

main ne din raat KHuda se ye dua mangi thi

koi aahaT na ho dar par mere jab tu aae

Bashir Badr

niiñd aa.e to achānak tirī aahaT sun luuñ

jaag uTThūñ to badan se tirī ḳhushbū aa.e

nind aae to achanak teri aahaT sun lun

jag uTThun to badan se teri KHushbu aae

Shahzad Ahmad

'aḳhtar' guzarte lamhoñ aahaT pe yuuñ na chauñk

is mātamī julūs meñ ik zindagī bhī hai

'aKHtar' guzarte lamhon ki aahaT pe yun na chaunk

is matami julus mein ek zindagi bhi hai

Akhtar Hoshiyarpuri

aaj bhī naqsh haiñ dil par tirī aahaT ke nishāñ

ham ne us raah se auroñ ko guzarne na diyā

aaj bhi naqsh hain dil par teri aahaT ke nishan

hum ne us rah se auron ko guzarne na diya

Ashhad Bilal Ibn-e-chaman

ḳhāmoshī meñ chāhe jitnā begāna-pan ho

lekin ik aahaT jānī-pahchānī hotī hai

KHamoshi mein chahe jitna begana-pan ho

lekin ek aahaT jaani-pahchani hoti hai

Bharat Bhushan Pant

koī āvāz na aahaT na koī halchal hai

aisī ḳhāmoshī se guzre to guzar jā.eñge

koi aawaz na aahaT na koi halchal hai

aisi KHamoshi se guzre to guzar jaenge

Aleena Itrat

koī halchal hai na aahaT na sadā hai koī

dil dahlīz pe chup-chāp khaḌā hai koī

koi halchal hai na aahaT na sada hai koi

dil ki dahliz pe chup-chap khaDa hai koi

Khurshid Ahmad Jami

shaam Dhale aahaT kirneñ phūTī thiiñ

sūraj Duub ke mere ghar meñ niklā thā

sham Dhale aahaT ki kirnen phuTi thin

suraj Dub ke mere ghar mein nikla tha

Zehra Nigaah

ye zulf-bar-dosh kaun aayā ye kis aahaT se gul khile haiñ

mahak rahī hai fazā-e-hastī tamām aalam bahār hai

ye zulf-bar-dosh kaun aaya ye kis ki aahaT se gul khile hain

mahak rahi hai faza-e-hasti tamam aalam bahaar sa hai

Saghar Siddiqui

pahle to us yaad ne sone nahīñ diyā

phir us āhaToñ ne kahā jāgte raho

pahle to us ki yaad ne sone nahin diya

phir us ki aahaTon ne kaha jagte raho

Mansoor Usmani

har lahza us ke paañv aahaT pe kaan rakh

darvāze tak jo aayā hai andar bhī aa.egā

har lahza us ke panw ki aahaT pe kan rakh

darwaze tak jo aaya hai andar bhi aaega

Saleem Shahid

jab zarā raat huī aur mah o anjum aa.e

bār-hā dil ne ye mahsūs kiyā tum aa.e

jab zara raat hui aur mah o anjum aae

bar-ha dil ne ye mahsus kiya tum aae

Asad Bhopali

is añdhere meñ na ik gaam bhī ruknā yaaro

ab to ik dūsre āhaTeñ kaam ā.eñgī

is andhere mein na ek gam bhi rukna yaro

ab to ek dusre ki aahaTen kaam aaengi

Rajinder Manchanda Bani

apnī aahaT pe chauñktā huuñ maiñ

kis duniyā meñ aa gayā huuñ maiñ

apni aahaT pe chaunkta hun main

kis ki duniya mein aa gaya hun main

Nomaan Shauque

ye bhī rahā hai kūcha-e-jānāñ meñ apnā rañg

aahaT huī to chāñd darīche meñ aa gayā

ye bhi raha hai kucha-e-jaanan mein apna rang

aahaT hui to chand dariche mein aa gaya

Azhar Inayati

kisī aahaT meñ aahaT ke sivā kuchh bhī nahīñ ab

kisī sūrat meñ sūrat ke sivā kyā rah gayā hai

kisi aahaT mein aahaT ke siwa kuchh bhi nahin ab

kisi surat mein surat ke siwa kya rah gaya hai

Irfan Sattar

aahaT bhī agar to tah-e-zāt nahīñ

lafzoñ ne ka.ī din se koī baat nahīñ

aahaT bhi agar ki to tah-e-zat nahin ki

lafzon ne kai din se koi baat nahin ki

Javed Nasir

koī dastak koī aahaT na sadā hai koī

duur tak ruuh meñ phailā huā sannāTā hai

koi dastak koi aahaT na sada hai koi

dur tak ruh mein phaila hua sannaTa hai

Waseem Malik

palaT na jaa.eñ hamesha ko tere āñgan se

gudāz lamhoñ be-ḳhvāb āhaToñ se na ruuTh

palaT na jaen hamesha ko tere aangan se

gudaz lamhon ki be-KHwab aahaTon se na ruTh

Irfan Siddiqi

dil ke suune sehn meñ gūñjī aahaT kis ke paañv

dhūp-bhare sannāTe meñ āvāz sunī hai chhāñv

dil ke sune sehn mein gunji aahaT kis ke panw ki

dhup-bhare sannaTe mein aawaz suni hai chhanw ki

Hammad Niyazi
Speak Now