TOP 20 SHAYARI of Shaikh Ibrahim Zauq
tum bhuul kar bhī yaad nahīñ karte ho kabhī
ham to tumhārī yaad meñ sab kuchh bhulā chuke
tum bhul kar bhi yaad nahin karte ho kabhi
hum to tumhaari yaad mein sab kuchh bhula chuke
ab to ghabrā ke ye kahte haiñ ki mar jā.eñge
mar ke bhī chain na paayā to kidhar jā.eñge
being agitated I express the hope to die, although
in death, if solace is not found, then where shall I go?
ab to ghabra ke ye kahte hain ki mar jaenge
mar ke bhi chain na paya to kidhar jaenge
being agitated I express the hope to die, although
in death, if solace is not found, then where shall I go?
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zāhid sharāb piine se kāfir huā maiñ kyuuñ
kyā DeḌh chullū paanī meñ īmān bah gayā
zahid sharab pine se kafir hua main kyun
kya DeDh chullu pani mein iman bah gaya
-
Tag : Sharab
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ek aañsū ne Duboyā mujh ko un kī bazm meñ
buuñd bhar paanī se saarī aabrū paanī huī
a single tear caused my fall in her company
just a drop of water drowned my dignity
ek aansu ne Duboya mujh ko un ki bazm mein
bund bhar pani se sari aabru pani hui
a single tear caused my fall in her company
just a drop of water drowned my dignity
-
Tag : Aansoo
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
ai 'zauq' takalluf meñ hai taklīf sarāsar
ārām meñ hai vo jo takalluf nahīñ kartā
save trouble, in formality, zauq nothing else can be
at ease he then remains he who, eschews formality
ai 'zauq' takalluf mein hai taklif sarasar
aaram mein hai wo jo takalluf nahin karta
save trouble, in formality, zauq nothing else can be
at ease he then remains he who, eschews formality
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ma.alūm jo hotā hameñ anjām-e-mohabbat
lete na kabhī bhuul ke ham nām-e-mohabāt
had I known this is how love would end
even its name would not cross my lips my friend
malum jo hota hamein anjam-e-mohabbat
lete na kabhi bhul ke hum nam-e-mohabaat
had I known this is how love would end
even its name would not cross my lips my friend
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
'zauq' jo madrase ke bigḌe hue haiñ mullā
un ko mai-ḳhāne meñ le aao sañvar jā.eñge
'zauq' jo madrase ke bigDe hue hain mulla
un ko mai-KHane mein le aao sanwar jaenge
kitne muflis ho ga.e kitne tavañgar ho ga.e
ḳhaak meñ jab mil ga.e donoñ barābar ho ga.e
however many paupers passed, and wealthy went and came
when they were consigned to dust they were all the same
kitne muflis ho gae kitne tawangar ho gae
KHak mein jab mil gae donon barabar ho gae
however many paupers passed, and wealthy went and came
when they were consigned to dust they were all the same
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
ai 'zauq' dekh duḳhtar-e-raz ko na muñh lagā
chhuTtī nahīñ hai muñh se ye kāfar lagī huī
ai 'zauq' dekh duKHtar-e-raz ko na munh laga
chhuTti nahin hai munh se ye kafar lagi hui
laa.ī hayāt aa.e qazā le chalī chale
apnī ḳhushī na aa.e na apnī ḳhushī chale
lai hayat aae qaza le chali chale
apni KHushi na aae na apni KHushi chale
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham rone pe aa jaa.eñ to dariyā hī bahā deñ
shabnam kī tarah se hameñ ronā nahīñ aatā
hum rone pe aa jaen to dariya hi baha den
shabnam ki tarah se hamein rona nahin aata
bajā kahe jise aalam use bajā samjho
zabān-e-ḳhalq ko naqqāra-e-ḳhudā samjho
baja kahe jise aalam use baja samjho
zaban-e-KHalq ko naqqara-e-KHuda samjho
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ādamiyyat aur shai hai ilm hai kuchh aur shai
kitnā tote ko paḌhāyā par vo haivāñ hī rahā
aadamiyyat aur shai hai ilm hai kuchh aur shai
kitna tote ko paDhaya par wo haiwan hi raha
bosa jo ruḳh kā dete nahīñ lab kā dījiye
ye hai masal ki phuul nahīñ pañkhuḌī sahī
bosa jo ruKH ka dete nahin lab ka dijiye
ye hai masal ki phul nahin pankhuDi sahi
masjid meñ us ne ham ko āñkheñ dikhā ke maarā
kāfir kī shoḳhī dekho ghar meñ ḳhudā ke maarā
masjid mein us ne hum ko aankhen dikha ke mara
kafir ki shoKHi dekho ghar mein KHuda ke mara
naaz hai gul ko nazākat pe chaman meñ ai 'zauq'
us ne dekhe hī nahīñ nāz-o-nazākat vaale
naz hai gul ko nazakat pe chaman mein ai 'zauq'
us ne dekhe hi nahin naz-o-nazakat wale
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
haq ne tujh ko ik zabāñ dī aur diye haiñ kaan do
is ke ye ma.anī kahe ik aur sune insān do
the lord did on our face one mouth and two ears array
for to listen twich as much as we are wont to say
haq ne tujh ko ek zaban di aur diye hain kan do
is ke ye mani kahe ek aur sune insan do
the lord did on our face one mouth and two ears array
for to listen twich as much as we are wont to say
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
ai sham.a terī umr-e-tābī.ī hai ek raat
hañs kar guzār yā ise ro kar guzār de
ai shama teri umr-e-tabii hai ek raat
hans kar guzar ya ise ro kar guzar de
sab ko duniyā kī havas ḳhvār liye phirtī hai
kaun phirtā hai ye murdār liye phirtī hai
sab ko duniya ki hawas KHwar liye phirti hai
kaun phirta hai ye murdar liye phirti hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhat baḌhā kākul baḌhe zulfeñ baḌhīñ gesū baḌhe
husn kī sarkār meñ jitne baḌhe hindū baḌhe
KHat baDha kakul baDhe zulfen baDhin gesu baDhe
husn ki sarkar mein jitne baDhe hindu baDhe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download