Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Bekal Utsahi's Photo'

Bekal Utsahi

1930 - 2016 | Balrampur, India

Leading popular poet who got the pseudonym Utsahi from Jawahar Lal Nehru, India's first prime Minister. Known for extensively using words of Awadhi language. Famous for his Nazm 'Ai Meri Jan-e-ghazal….'.

Leading popular poet who got the pseudonym Utsahi from Jawahar Lal Nehru, India's first prime Minister. Known for extensively using words of Awadhi language. Famous for his Nazm 'Ai Meri Jan-e-ghazal….'.

Sher of Bekal Utsahi

2.2K
Favorite

SORT BY

biich saḌak ik laash paḌī thī aur ye likkhā thā

bhuuk meñ zahrīlī roTī bhī mīThī lagtī hai

bich saDak ek lash paDi thi aur ye likkha tha

bhuk mein zahrili roTi bhi miThi lagti hai

vo the javāb ke sāhil pe muntazir lekin

samay naav meñ merā savāl Duub gayā

wo the jawab ke sahil pe muntazir lekin

samay ki naw mein mera sawal Dub gaya

us javāb ek lamhe meñ ḳhatm thā

phir bhī mire savāl haq der tak rahā

us ka jawab ek hi lamhe mein KHatm tha

phir bhi mere sawal ka haq der tak raha

ulajh rahe haiñ bahut log merī shohrat se

kisī ko yuuñ to koī mujh se iḳhtilāf na thā

ulajh rahe hain bahut log meri shohrat se

kisi ko yun to koi mujh se iKHtilaf na tha

vo mere qatl mulzim hai log kahte haiñ

vo chhuT sake to mujhe bhī gavāh likh liije

wo mere qatl ka mulzim hai log kahte hain

wo chhuT sake to mujhe bhi gawah likh lije

yuuñ to ka.ī kitābeñ paḌhīñ zehn meñ magar

mahfūz ek saada varaq der tak rahā

yun to kai kitaben paDhin zehn mein magar

mahfuz ek sada waraq der tak raha

log to ke samundar ko jalā aa.e haiñ

maiñ jise phūñk kar aayā vo mirā ghar niklā

log to ja ke samundar ko jala aae hain

main jise phunk kar aaya wo mera ghar nikla

ḳhudā kare mirā munsif sazā sunāne par

mirā sar mire qātil ke rū-ba-rū rakh de

KHuda kare mera munsif saza sunane par

mera hi sar mere qatil ke ru-ba-ru rakh de

ham bhaTakte rahe andhere meñ

raushnī kab huī nahīñ mālūm

hum bhaTakte rahe andhere mein

raushni kab hui nahin malum

azm-e-mohkam ho to hotī haiñ balā.eñ paspā

kitne tūfān palaT detā hai sāhil tanhā

azm-e-mohkam ho to hoti hain balaen paspa

kitne tufan palaT deta hai sahil tanha

havā-e-ishq ne bhī gul khilā.e haiñ kyā kyā

jo merā haal thā vo terā haal hone lagā

hawa-e-ishq ne bhi gul khilae hain kya kya

jo mera haal tha wo tera haal hone laga

chāñdī ke gharoñdoñ jab baat chalī hogī

miTTī ke khilaunoñ se bahlā.e ga.e hoñge

chandi ke gharondon ki jab baat chali hogi

miTTi ke khilaunon se bahlae gae honge

farsh arsh koī nām-o-nishāñ mil na sakā

maiñ jise DhūñDh rahā thā mire andar niklā

farsh ta arsh koi nam-o-nishan mil na saka

main jise DhunDh raha tha mere andar nikla

ishq-vishiq ye chāhat-vāhat man bhulāvā phir man bhī apnā kyā

yaar ye kaisā rishta jo apnoñ ko ġhair kare maulā ḳhair kare

ishq-wishiq ye chahat-wahat man ka bhulawa phir man bhi apna kya

yar ye kaisa rishta jo apnon ko ghair kare maula KHair kare

badan aañch se sañvlā ga.e haiñ pairāhan

maiñ phir bhī sub.h ke chehre pe shaam likhtā huuñ

badan ki aanch se sanwla gae hain pairahan

main phir bhi subh ke chehre pe sham likhta hun

na jaane kaun nashsha hai un pe chhāyā huā

qadam kahīñ pe haiñ paḌte kahīñ pe chalte haiñ

na jaane kaun sa nashsha hai un pe chhaya hua

qadam kahin pe hain paDte kahin pe chalte hain

daur-e-hāzir bazm meñ 'bekal'

kaun hai aadmī nahīñ mālūm

daur-e-hazir ki bazm mein 'bekal'

kaun hai aadmi nahin malum

har ek lahza mirī dhaḌkanoñ meñ chubhtī thī

ajiib chiiz mire dil ke ās-pās rahī

har ek lahza meri dhaDkanon mein chubhti thi

ajib chiz mere dil ke aas-pas rahi

zamīn pyāsī hai būḌhā gagan bhī bhūkā hai

maiñ apne ahd ke qisse tamām likhtā huuñ

zamin pyasi hai buDha gagan bhi bhuka hai

main apne ahd ke qisse tamam likhta hun

kivāḌ band karo tīra-baḳhto so jaao

galī meñ yuuñ ujāloñ āhaTeñ hoñgī

kiwaD band karo tira-baKHto so jao

gali mein yun hi ujalon ki aahaTen hongi

farishte dekh rahe haiñ zamīn o charḳh rabt

ye fāsla bhī to insāñ ek jast lage

farishte dekh rahe hain zamin o charKH ka rabt

ye fasla bhi to insan ki ek jast lage

maiñ jab bhī koī achhūtā kalām likhtā huuñ

to pahle ek ġhazal tere naam likhtā huuñ

TRANSLATION

Whenever something untouched I write in verse or prose,

A ghazal in your name is always the first thing I compose.

Sagar Akbarabadi

main jab bhi koi achhuta kalam likhta hun

to pahle ek ghazal tere nam likhta hun

TRANSLATION

Whenever something untouched I write in verse or prose,

A ghazal in your name is always the first thing I compose.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now