Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Nazeer Qaisar's Photo'

Nazeer Qaisar

1945 | Lahore, Pakistan

Sher of Nazeer Qaisar

2.6K
Favorite

SORT BY

baras rahī thī bārish bāhar

aur vo bhiig rahā thā mujh meñ

baras rahi thi barish bahar

aur wo bhig raha tha mujh mein

koī mujh ko DhūñDhne vaalā

bhuul gayā hai rasta mujh meñ

koi mujh ko DhunDhne wala

bhul gaya hai rasta mujh mein

yuuñ tujhe dekh ke chauñk uThtī haiñ soī yādeñ

jaise sannāTe meñ āvāz lagā de koī

yun tujhe dekh ke chaunk uThti hain soi yaaden

jaise sannaTe mein aawaz laga de koi

bikhartā jaatā hai kamre meñ cigaretoñ dhuāñ

paḌā hai ḳhvāb koī chaa.e pyālī meñ

bikharta jata hai kamre mein cigareton ka dhuan

paDa hai KHwab koi chae ki pyali mein

bachche ne titlī pakaḌ kar chhoḌ

aaj mujh ko bhī ḳhudā achchhā lagā

bachche ne titli pakaD kar chhoD di

aaj mujh ko bhi KHuda achchha laga

nayā libās pahan kar bhī

duniyā vahī purānī hai

naya libas pahan kar bhi

duniya wahi purani hai

bas ham donoñ zinda haiñ

baaqī duniyā faanī hai

bas hum donon zinda hain

baqi duniya fani hai

chalte chalte maiñ us ko ghar le aayā

vo bhī apnā haath chhuḌānā bhuul gayā

chalte chalte main us ko ghar le aaya

wo bhi apna hath chhuDana bhul gaya

ḳhvāb kyā thā jo mire sar meñ rahā

raat bhar ik shor ghar meñ rahā

KHwab kya tha jo mere sar mein raha

raat bhar ek shor sa ghar mein raha

jab vo saath hotā hai

ham akele hote haiñ

jab wo sath hota hai

hum akele hote hain

patthar hotā jaatā huuñ

hañsne do rone do

patthar hota jata hun

hansne do ya rone do

maiñ use kaise jiit saktā huuñ

vo mujhe apnā jism hārtī hai

main use kaise jit sakta hun

wo mujhe apna jism haarti hai

ab ke baar maiñ tujh se milne nahīñ aayā

tujh ko apne saath le jaane aayā huuñ

ab ke bar main tujh se milne nahin aaya

tujh ko apne sath le jaane aaya hun

us ne ḳhat meñ bheje haiñ

bhīgī raat aur bhīgā din

us ne KHat mein bheje hain

bhigi raat aur bhiga din

bikhar ke jaatā kahāñ tak ki maiñ to ḳhushbū thā

havā chalī thī mujhe apne ham-rikāb liye

bikhar ke jata kahan tak ki main to KHushbu tha

hawa chali thi mujhe apne ham-rikab liye

ubhar rahe haiñ ka.ī haath shab ke parde se

koī sitāra liye koī māhtāb liye

ubhar rahe hain kai hath shab ke parde se

koi sitara liye koi mahtab liye

rañg laa.ī hai hasrat-e-tāmīr

gir rahī haiñ imārateñ kyā kyā

rang lai hai hasrat-e-tamir

gir rahi hain imaraten kya kya

kabhī karnā ho andāza jab apne dard mujh ko

maiñ us bedard ke dil ko dukhā kar dekhā letā huuñ

kabhi karna ho andaza jab apne dard ka mujh ko

main us bedard ke dil ko dukha kar dekha leta hun

Recitation

Speak Now