Sher of Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
aap jis dil se gurezāñ the usī dil se mile
dekhiye DhūñDh nikālā hai kahāñ se maiñ ne
aap jis dil se gurezan the usi dil se mile
dekhiye DhunDh nikala hai kahan se main ne
paidā vo baat kar ki tujhe ro.eñ dūsre
ronā ḳhud apne haal pe ye zaar zaar kyā
create that aspect in yourself that others cry for thee
paida wo baat kar ki tujhe roen dusre
rona KHud apne haal pe ye zar zar kya
create that aspect in yourself that others cry for thee
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
ye mashvara baham uTThe haiñ chāra-jū karte
ki ab marīz ko achchhā thā qibla-rū karte
ye mashwara baham uTThe hain chaara-ju karte
ki ab mariz ko achchha tha qibla-ru karte
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sabaq aa ke gor-e-ġharībāñ se le lo
ḳhamoshī mudarris hai is anjuman meñ
sabaq aa ke gor-e-ghariban se le lo
KHamoshi mudarris hai is anjuman mein
mujh ko ka.aba meñ bhī hamesha shaiḳh
yād-e-ayyām-e-but-parastī thī
mujh ko kaba mein bhi hamesha shaiKH
yaad-e-ayyam-e-but-parasti thi
haa.e kyā chiiz thī javānī bhī
ab to din raat yaad aatī hai
hae kya chiz thi jawani bhi
ab to din raat yaad aati hai
be-ḳhudī kūcha-e-jānāñ meñ liye jaatī hai
dekhiye kaun mujhe merī ḳhabar detā hai
be-KHudi kucha-e-jaanan mein liye jati hai
dekhiye kaun mujhe meri KHabar deta hai
hamesha se mizāj-e-husn meñ diqqat-pasandī hai
mirī dushvāriyāñ āsān honā saḳht mushkil hai
hamesha se mizaj-e-husn mein diqqat-pasandi hai
meri dushwariyan aasan hona saKHt mushkil hai
sham.eñ afsurda jahāñ phuul haiñ pazhmurda jahāñ
dil ko us gor-e-ġharībāñ meñ pukārā hotā
shamen afsurda jahan phul hain pazhmurda jahan
dil ko us gor-e-ghariban mein pukara hota
dil kī ālūdgī-e-zaḳhm baḌhī jaatī hai
saañs letā huuñ to ab ḳhuun kī bū aatī hai
dil ki aaludgi-e-zaKHm baDhi jati hai
sans leta hun to ab KHun ki bu aati hai
mire dahan meñ agar aap kī zabāñ hotī
to phir kuchh aur hī unvān-e-dāstāñ hotā
mere dahan mein agar aap ki zaban hoti
to phir kuchh aur hi unwan-e-dastan hota
lutf-e-bahār kuchh nahīñ go hai vahī bahār
dil hī ujaḌ gayā ki zamāna ujaḌ gayā
lutf-e-bahaar kuchh nahin go hai wahi bahaar
dil hi ujaD gaya ki zamana ujaD gaya
kabhī jannat kabhī dozaḳh kabhī ka.aba kabhī dair
ajab andāz se ta.amīr huā ḳhāna-e-dil
kabhi jannat kabhi dozaKH kabhi kaba kabhi dair
ajab andaz se tamir hua KHana-e-dil
manzil-e-hastī meñ ik yūsuf kī thī mujh ko talāsh
ab jo dekhā kārvāñ kā kārvāñ miltā nahīñ
manzil-e-hasti mein ek yusuf ki thi mujh ko talash
ab jo dekha karwan ka karwan milta nahin
qafas meñ jī nahīñ lagtā hai aah phir bhī mirā
ye jāntā huuñ ki tinkā bhī āshiyāñ meñ nahīñ
qafas mein ji nahin lagta hai aah phir bhi mera
ye jaanta hun ki tinka bhi aashiyan mein nahin
usī ko hashr kahte haiñ jahāñ duniyā ho fariyādī
yahī ai mīr-e-dīvān-e-jazā kyā terī mahfil hai
usi ko hashr kahte hain jahan duniya ho fariyaadi
yahi ai mir-e-diwan-e-jaza kya teri mahfil hai
duniyā kā ḳhuun daur-e-mohabbat meñ hai safed
āvāz aa rahī hai lab-e-jū-e-shīr se
duniya ka KHun daur-e-mohabbat mein hai safed
aawaz aa rahi hai lab-e-ju-e-shir se
be-piye vaa.iz ko merī raa.e meñ
masjid-e-jāma meñ jaanā hī na thā
be-piye waiz ko meri rae mein
masjid-e-jama mein jaana hi na tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
musībat thī hamāre hī liye kyuuñ
ye maanā ham jiye lekin jiye kyuuñ
musibat thi hamare hi liye kyun
ye mana hum jiye lekin jiye kyun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ to hastī ko samajhtā huuñ sarāsar ik gunāh
pāk-dāmānī kā da.avā ho to kis buniyād par
main to hasti ko samajhta hun sarasar ek gunah
pak-damani ka dawa ho to kis buniyaad par
dil ke ajzā meñ nahīñ miltā koī juzv-e-nishāt
is sahīfe se kisī ne ik varaq kam kar diyā
dil ke ajza mein nahin milta koi juzw-e-nishat
is sahife se kisi ne ek waraq kam kar diya
tum ne chheḌā to kuchh khule ham bhī
baat par baat yaad aatī hai
tum ne chheDa to kuchh khule hum bhi
baat par baat yaad aati hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhāma-e-qudrat ne dil kā naam ye kah kar likhā
har jagah is lafz ke ma.anī badalte jā.eñge
KHama-e-qudrat ne dil ka nam ye kah kar likha
har jagah is lafz ke mani badalte jaenge
itnā bhī bār-e-ḳhātir-e-gulshan na ho koī
TuuTī vo shāḳh jis pe mirā āshiyāna thā
itna bhi bar-e-KHatir-e-gulshan na ho koi
TuTi wo shaKH jis pe mera aashiyana tha
batāo aise marīzoñ kā hai ilaaj koī
ki jin se haal bhī apnā bayāñ nahīñ hotā
batao aise marizon ka hai ilaj koi
ki jin se haal bhi apna bayan nahin hota
ḳhud chale aao yā bulā bhejo
raat akele basar nahīñ hotī
KHud chale aao ya bula bhejo
raat akele basar nahin hoti
ā.īna chhoḌ ke dekhā kiye sūrat merī
dil-e-muztar ne mire un ko sañvarne na diyā
aaina chhoD ke dekha kiye surat meri
dil-e-muztar ne mere un ko sanwarne na diya
ai soz-e-ishq-e-pinhāñ ab qissa muḳhtasar hai
iksīr ho chalā huuñ ik aañch kī kasar hai
ai soz-e-ishq-e-pinhan ab qissa muKHtasar hai
iksir ho chala hun ek aanch ki kasar hai
duā.eñ māñgī haiñ saaqī ne khol kar zulfeñ
basān-e-dast-e-karam abr-e-dajla-bār baras
duaen mangi hain saqi ne khol kar zulfen
basan-e-dast-e-karam abr-e-dajla-bar baras
ye terī aarzū meñ baḌhī vus.at-e-nazar
duniyā hai sab mirī nigah-e-intizār meñ
ye teri aarzu mein baDhi wusat-e-nazar
duniya hai sab meri nigah-e-intizar mein
sham.a bujh kar rah ga.ī parvāna jal kar rah gayā
yādgār-e-husn-o-ishq ik daaġh dil par rah gayā
shama bujh kar rah gai parwana jal kar rah gaya
yaadgar-e-husn-o-ishq ek dagh dil par rah gaya
dil nahīñ jab to ḳhaak hai duniyā
asal jo chiiz thī vahī na rahī
dil nahin jab to KHak hai duniya
asal jo chiz thi wahi na rahi
vā.izoñ buniyād-e-ka.aba meñ butoñ kī hastiyāñ
ham musalmāñ ho chuke aur tum musalmāñ kar chuke
waizon buniyaad-e-kaba mein buton ki hastiyan
hum musalman ho chuke aur tum musalman kar chuke
zabān dil kī haqīqat ko kyā bayāñ kartī
kisī kā haal kisī se kahā nahīñ jaatā
zaban dil ki haqiqat ko kya bayan karti
kisi ka haal kisi se kaha nahin jata
phuuT niklā zahr saare jism meñ
jab kabhī aañsū hamāre tham ga.e
phuT nikla zahr sare jism mein
jab kabhi aansu hamare tham gae
ham to dil hī par samajhte the butoñ kā iḳhtiyār
nasb-e-ka.aba meñ bhī ab tak ek patthar rah gayā
hum to dil hi par samajhte the buton ka iKHtiyar
nasb-e-kaba mein bhi ab tak ek patthar rah gaya
taqlīd ab maiñ hazrat-e-vā.iz kī kyuuñ karūñ
saaqī ne de diyā mujhe fatvā javāz kā
taqlid ab main hazrat-e-waiz ki kyun karun
saqi ne de diya mujhe fatwa jawaz ka
tamām anjuman-e-vāz ho ga.ī barham
liye hue koī yuuñ sāġhar-e-sharāb aayā
tamam anjuman-e-waz ho gai barham
liye hue koi yun saghar-e-sharab aaya
vahī hikāyat-e-dil thī vahī shikāyat-e-dil
thī ek baat jahāñ se bhī ibtidā karte
wahi hikayat-e-dil thi wahi shikayat-e-dil
thi ek baat jahan se bhi ibtida karte
tumheñ hañste hue dekhā hai jab se
mujhe rone kī aadat ho ga.ī hai
tumhein hanste hue dekha hai jab se
mujhe rone ki aadat ho gai hai
hai dil meñ josh-e-hasrat rukte nahīñ haiñ aañsū
ristī huī surāhī TuuTā huā subū huuñ
hai dil mein josh-e-hasrat rukte nahin hain aansu
risti hui surahi TuTa hua subu hun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hijr kī raat kāTne vaale
kyā karegā agar sahar na huī
hijr ki raat kaTne wale
kya karega agar sahar na hui
-
Tag : Hijr
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
udāsī ab kisī kā rañg jamne hī nahīñ detī
kahāñ tak phuul barsā.e koī gor-e-ġharībāñ par
udasi ab kisi ka rang jamne hi nahin deti
kahan tak phul barsae koi gor-e-ghariban par
maanā ki bazm-e-husn ke ādāb haiñ bahut
jab dil pe iḳhtiyār na ho kyā kare koī
mana ki bazm-e-husn ke aadab hain bahut
jab dil pe iKHtiyar na ho kya kare koi
apne markaz kī taraf mā.il-e-parvāz thā husn
bhūltā hī nahīñ aalam tirī añgḌā.ī kā
apne markaz ki taraf mail-e-parwaz tha husn
bhulta hi nahin aalam teri angDai ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
banī haiñ shahr-āshob-e-tamannā
ḳhumār-ālūda āñkheñ rāt-bhar kī
bani hain shahr-ashob-e-tamanna
KHumar-aluda aankhen raat-bhar ki
haqārat se na dekho sākīnān-e-ḳhāk kī bastī
ki ik duniyā hai har zarra in ajzā-e-pareshāñ kā
haqarat se na dekho sakinan-e-KHak ki basti
ki ek duniya hai har zarra in ajza-e-pareshan ka
jhūTe va.adoñ par thī apnī zindagī
ab to vo bhī aasrā jaatā rahā
jhuTe wadon par thi apni zindagi
ab to wo bhi aasra jata raha
tah meñ dariyā-e-mohabbat ke thī kyā chiiz 'azīz'
jo koī Duub gayā us ko ubharne na diyā
tah mein dariya-e-mohabbat ke thi kya chiz 'aziz'
jo koi Dub gaya us ko ubharne na diya
hādsāt-e-dahr meñ vābasta-e-arbāb-e-dard
lī jahāñ karvaT kisī ne inqalāb aa hī gayā
hadsat-e-dahr mein wabasta-e-arbab-e-dard
li jahan karwaT kisi ne inqalab aa hi gaya