Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mohammad Aazam's Photo'

Mohammad Aazam

1941 | Bangalore, India

Sher of Mohammad Aazam

1.6K
Favorite

SORT BY

kise batlā.eñ ham kyoñ us mahfil meñ nahīñ jaate

huzūrī jin ko hāsil ho vo darbārī nahīñ karte

kise batlaen hum kyon us ki mahfil mein nahin jate

huzuri jin ko hasil ho wo darbari nahin karte

bahut parhez hai us ko mirā bīmār ho kar bhī

kisī sūrat mujhe apnī davā hone nahīñ detā

bahut parhez hai us ko mera bimar ho kar bhi

kisi surat mujhe apni dawa hone nahin deta

aatī jaatī hai vo ab saañs sūrat mujh meñ

kab ga.ī aur kab aa.ī mujhe ma.alūm nahīñ

aati jati hai wo ab sans ki surat mujh mein

kab gai aur kab aai mujhe malum nahin

hamāre muñh pe us ne aa.ine se dhuup tak pheñkī

abhī tak ham samajh kar us ko bachcha chhoḌ dete haiñ

hamare munh pe us ne aaine se dhup tak phenki

abhi tak hum samajh kar us ko bachcha chhoD dete hain

āñkhoñ meñ us maiñ ne āḳhir malāl dekhā

kin kin bulandiyoñ par apnā zavāl dekhā

aankhon mein us ki main ne aaKHir malal dekha

kin kin bulandiyon par apna zawal dekha

samajhte nahīñ haiñ log nā-samjhī mushkil ko

suhūlat dekhte haiñ aur samajhnā chhoḌ dete haiñ

samajhte hi nahin hain log na-samjhi ki mushkil ko

suhulat dekhte hain aur samajhna chhoD dete hain

apne jalne hamesha se tamāshā.ī huuñ

aag ye kis ne lagā.ī mujhe ma.alūm nahīñ

apne jalne ka hamesha se tamashai hun

aag ye kis ne lagai mujhe malum nahin

ishq meñ kuudo agar shauq hai marne bahut

is se gahrī koī khaa.ī mujhe ma.alūm nahīñ

ishq mein kudo agar shauq hai marne ka bahut

is se gahri koi khai mujhe malum nahin

bahut jhuk jhuk ke chaltā huuñ maiñ in baunoñ bastī meñ

ye chhoTā-pan kabhī mujh ko baḌā hone nahīñ detā

bahut jhuk jhuk ke chalta hun main in baunon ki basti mein

ye chhoTa-pan kabhi mujh ko baDa hone nahin deta

kuchh chhalaktā hai kuchh bikhartā hai

sab mile to bhī sab nahīñ miltā

kuchh chhalakta hai kuchh bikharta hai

sab mile to bhi sab nahin milta

hamāre dil ko ab tāqat nahīñ sadme uThāne

bahut bhāne lage jo us se milnā chhoḌ dete haiñ

hamare dil ko ab taqat nahin sadme uThane ki

bahut bhane lage jo us se milna chhoD dete hain

vo kūdte uchhalte rangīn pairahan the

ma.asūm qahqahoñ meñ uḌtā gulāl dekhā

wo kudte uchhalte rangin pairahan the

masum qahqahon mein uDta gulal dekha

āsmānoñ meñ uḌā karte haiñ phūle phūle

halke logoñ ke baḌe kaam havā kartī hai

aasmanon mein uDa karte hain phule phule

halke logon ke baDe kaam hawa karti hai

ḳhusūsan imtihāñ date bhī jab yak-ba-yak aa.e

ajab kyā fail ho jaa.eñ jo tayyārī nahīñ karte

KHususan imtihan ki date bhi jab yak-ba-yak aae

ajab kya fail ho jaen jo tayyari nahin karte

utāro badan se ye moTe libās

nahīñ dekhtīñ garmiyāñ aa ga.iiñ

utaro badan se ye moTe libas

nahin dekhtin garmiyan aa gain

kuchh saaf us chehra matlab nahīñ batātā

yuuñ thā ki jaise maiñ ne qur.āñ meñ faal dekhā

kuchh saf us ka chehra matlab nahin batata

yun tha ki jaise main ne quran mein fal dekha

kam ma.arka-e-zīst nahīñ jang-e-uhad se

asbāb-e-jahāñ māl-e-ġhanīmat tarah hai

kam marka-e-zist nahin jang-e-uhad se

asbab-e-jahan mal-e-ghanimat ki tarah hai

ḳhud-baḳhud raah liye jaatī hai us jānib

ab kahāñ tak hai rasā.ī mujhe ma.alūm nahīñ

KHud-baKHud rah liye jati hai us ki jaanib

ab kahan tak hai rasai mujhe malum nahin

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now