Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baĔhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Nooh Narvi's Photo'

Nooh Narvi

1878 - 1962

Known for promptness of expression/ Disciple of ā€˜Daghā€™ Dehlvi

Known for promptness of expression/ Disciple of ā€˜Daghā€™ Dehlvi

Sher of Nooh Narvi

15.8K
Favorite

SORT BY

maiƱ koÄ« hāl-e-sitam muƱh se kahÅ«Ć± yā na kahÅ«Ć±

ai sitamgar tire andāz kahe dete haiƱ

main koi haal-e-sitam munh se kahun ya na kahun

ai sitamgar tere andaz kahe dete hain

vo įø³hudā.Ä« kar rahe the jab įø³hudā hone se qabl

to įø³hudā jaane kareƱge kyā įø³hudā hone ke ba.ad

wo KHudai kar rahe the jab KHuda hone se qabl

to KHuda jaane karenge kya KHuda hone ke baad

dil nazr karo zulm saho naaz uThāo

ai ahl-e-tamannā ye haiƱ arkān-e-tamannā

dil nazr karo zulm saho naz uThao

ai ahl-e-tamanna ye hain arkan-e-tamanna

jaane ko jaa.e fasl-e-gul aane ko aa.e har baras

ham Ĕham-zadoƱ ke vāste jaise chaman vaise qafas

jaane ko jae fasl-e-gul aane ko aae har baras

hum gham-zadon ke waste jaise chaman waise qafas

dam jo niklā to mudda.ā niklā

ek ke saath dūsrā niklā

dam jo nikla to muddaa nikla

ek ke sath dusra nikla

mujh ko nazroƱ ke laįøŒÄne se hai kaam

aap ko āƱkheƱ dikhāne se Ĕharaz

mujh ko nazron ke laDane se hai kaam

aap ko aankhen dikhane se gharaz

mujh ko ye fikr ki dil muft gayā hāthoƱ se

un ko ye naaz ki ham ne use chhīnā kaisā

mujh ko ye fikr ki dil muft gaya hathon se

un ko ye naz ki hum ne use chhina kaisa

milnā jo na ho tum ko to kah do na mileƱge

ye kyā kabhī parsoƱ hai kabhī kal hai kabhī aaj

milna jo na ho tum ko to kah do na milenge

ye kya kabhi parson hai kabhi kal hai kabhi aaj

aate aate raah par vo ā.eƱge

jaate jaate bad-gumānī jā.egī

aate aate rah par wo aaenge

jate jate bad-gumani jaegi

ye mere paas jo chup-chāp aa.e baiThe haiƱ

hazār fitna-e-mahshar uThā.e baiThe haiƱ

ye mere pas jo chup-chap aae baiThe hain

hazar fitna-e-mahshar uThae baiThe hain

ai 'nūh' khul chale the vo ham se shab-e-visāl

itne meƱ āftāb numÅ«dār ho gayā

ai 'nuh' khul chale the wo hum se shab-e-visal

itne mein aaftab numudar ho gaya

ka.aba ho dair ho donoƱ meƱ hai jalva us kā

Ĕhaur se dekhe agar dekhne vaalā us kā

kaba ho dair ho donon mein hai jalwa us ka

ghaur se dekhe agar dekhne wala us ka

mājrā-e-qais mere zehn meƱ mahfÅ«z hai

ek dīvāne se suniye ek dīvāne kā haal

majra-e-qais mere zehn mein mahfuz hai

ek diwane se suniye ek diwane ka haal

vo įø³hudā jaane ghar meƱ haiƱ ki nahīƱ

kuchh khulā aur kuchh hai band kivāįøŒ

wo KHuda jaane ghar mein hain ki nahin

kuchh khula aur kuchh hai band kiwaD

barbād-e-vafā ho kar masjÅ«d-e-jahāƱ dil ho

aadhe meƱ bane masjid aadhe meƱ sanam-įø³hāna

barbaad-e-wafa ho kar masjud-e-jahan dil ho

aadhe mein bane masjid aadhe mein sanam-KHana

kuchh aur ban paįøŒÄ« na savāl-e-visāl par

hairat se dekh kar vo mire muƱh ko rah ga.e

kuchh aur ban paDi na sawal-e-visal par

hairat se dekh kar wo mere munh ko rah gae

be-vaj.h mohabbat se nahīƱ bol rahe haiƱ

vo bātoƱ hī bātoƱ meƱ mujhe khol rahe haiƱ

be-wajh mohabbat se nahin bol rahe hain

wo baaton hi baaton mein mujhe khol rahe hain

ai 'nūh' tauba ishq se kar lī thī aap ne

phir tāƱk-jhāƱk kyuuƱ hai ye phir dekh-bhāl kyā

ai 'nuh' tauba ishq se kar li thi aap ne

phir tank-jhank kyun hai ye phir dekh-bhaal kya

dil meƱ ghuT ghuT kar inheƱ rahte zamāna ho gayā

merī fariyādeƱ bhī ab āmāda-e-fariyād haiƱ

dil mein ghuT ghuT kar inhen rahte zamana ho gaya

meri fariyaaden bhi ab aamada-e-fariyaad hain

barhaman us ke haiƱ shaiįø³h us ke haiƱ rāhib us ke

dair us kā haram us kā hai kalīsā us kā

barhaman us ke hain shaiKH us ke hain rahib us ke

dair us ka haram us ka hai kalisa us ka

puurī na agar ho to koī chiiz nahīƱ hai

nikle jo mire dil se to hasrat hai baįøŒÄ« chiiz

puri na agar ho to koi chiz nahin hai

nikle jo mere dil se to hasrat hai baDi chiz

vo haath meƱ talvār liye sar pe khaįøŒe haiƱ

marne nahīƱ detÄ« mujhe marne kÄ« įø³hushÄ« aaj

wo hath mein talwar liye sar pe khaDe hain

marne nahin deti mujhe marne ki KHushi aaj

ishq meƱ kuchh nazar nahīƱ aayā

jis taraf dekhiye aƱdherā hai

ishq mein kuchh nazar nahin aaya

jis taraf dekhiye andhera hai

jo ahl-e-zauq haiƱ vo lutf uThā lete haiƱ chal phir kar

gulistāƱ kā gulistāƱ meƱ bayābāƱ kā bayābāƱ meƱ

jo ahl-e-zauq hain wo lutf uTha lete hain chal phir kar

gulistan ka gulistan mein bayaban ka bayaban mein

chor aisā muįø³hbir aisā chāhiye

mujh ko dilbar kā patā dil se milā

chor aisa muKHbir aisa chahiye

mujh ko dilbar ka pata dil se mila

lailā hai na majnÅ«Ć± hai na shÄ«rīƱ hai na farhād

ab rah ga.e haiƱ āshiq o ma.ashÅ«q meƱ ham aap

laila hai na majnun hai na shirin hai na farhad

ab rah gae hain aashiq o mashuq mein hum aap

roz malte haiƱ muƱh par apne bhabhÅ«t

ishq meƱ ham ne le liyā bairāg

roz malte hain munh par apne bhabhut

ishq mein hum ne le liya bairag

vo ghar se chale raah meƱ ruk ga.e

idhar aate aate kidhar jhuk ga.e

wo ghar se chale rah mein ruk gae

idhar aate aate kidhar jhuk gae

satyanās ho gayā dil kā

ishq ne įø³huub kÄ« ukhāįøŒ-pachhāįøŒ

satyanas ho gaya dil ka

ishq ne KHub ki ukhaD-pachhaD

nuuh baiThe haiƱ chārpā.ī par

chārpā.ī pe nuuh baiThe haiƱ

nuh baiThe hain chaarpai par

chaarpai pe nuh baiThe hain

tumhārÄ« shoįø³h-nazar ik jagah kabhÄ« na rahÄ«

na ye thamī na ye Thahrī na ye rukī na rahī

tumhaari shoKH-nazar ek jagah kabhi na rahi

na ye thami na ye Thahri na ye ruki na rahi

dil ke do hisse jo kar Daale the husn-o-ishq ne

ek sahrā ban gayā aur ek gulshan ho gayā

dil ke do hisse jo kar Dale the husn-o-ishq ne

ek sahra ban gaya aur ek gulshan ho gaya

na milo khul ke to chorī kī mulāqāt rahe

ham bulā.eƱge tumheƱ raat ga.e raat rahe

na milo khul ke to chori ki mulaqat rahe

hum bulaenge tumhein raat gae raat rahe

barsoƱ rahe haiƱ aap hamārī nigāh meƱ

ye kyā kahā ki ham tumheƱ pahchānte nahīƱ

barson rahe hain aap hamari nigah mein

ye kya kaha ki hum tumhein pahchante nahin

dil jo de kar kisī kāfir ko pareshāƱ ho jaa.e

āfiyat us kī hai is meƱ ki musalmāƱ ho jaa.e

dil jo de kar kisi kafir ko pareshan ho jae

aafiyat us ki hai is mein ki musalman ho jae

aap aa.e ban paįøŒÄ« mere dil-e-nāshād kÄ«

aap bigįøŒe ban ga.Ä« mere dil-e-nāshād par

aap aae ban paDi mere dil-e-nashad ki

aap bigDe ban gai mere dil-e-nashad par

ai dair-o-haram vaalo tum dil kī taraf dekho

ka.abe kā ye ka.aba hai but-įø³hāne kā but-įø³hāna

ai dair-o-haram walo tum dil ki taraf dekho

kabe ka ye kaba hai but-KHane ka but-KHana

saaqī jo dil se chāhe to aa.e vo zamāna

har shaįø³hs ho sharābÄ« har ghar sharāb-įø³hāna

saqi jo dil se chahe to aae wo zamana

har shaKHs ho sharabi har ghar sharab-KHana

hamāre dil se kyā armān sab ik saath nikleƱge

ki qaidÄ« muįø³htalif mÄ«.ād ke hote haiƱ zindāƱ meƱ

hamare dil se kya arman sab ek sath niklenge

ki qaidi muKHtalif miad ke hote hain zindan mein

sharmā ke bigaįøŒ ke muskurā kar

vo chhup rahe ik jhalak dikhā kar

sharma ke bigaD ke muskura kar

wo chhup rahe ek jhalak dikha kar

mausam-e-gul abhī nahīƱ aayā

chal diye ghar meƱ ham lagā kar aag

mausam-e-gul abhi nahin aaya

chal diye ghar mein hum laga kar aag

dikhā.e pāƱch aalam ik payām-e-shauq ne mujh ko

ulajhnā rÅ«Thnā laįøŒnā bigaįøŒnā duur ho jaanā

dikhae panch aalam ek payam-e-shauq ne mujh ko

ulajhna ruThna laDna bigaDna dur ho jaana

is kam-sinÄ« meƱ ho unheƱ merā įø³hayāl kyā

vo kai baras ke haiƱ abhī sin kyā hai saal kyā

is kam-sini mein ho unhen mera KHayal kya

wo kai baras ke hain abhi sin kya hai sal kya

chāhiye thī sham.a is tārīk ghar ke vāste

įø³hāna-e-dil meƱ charāĔh-e-ishq raushan ho gayā

chahiye thi shama is tarik ghar ke waste

KHana-e-dil mein charagh-e-ishq raushan ho gaya

kambaįø³ht kabhÄ« jÄ« se guzarne nahīƱ detÄ«

jiine kī tamannā mujhe marne nahīƱ detī

kambaKHt kabhi ji se guzarne nahin deti

jine ki tamanna mujhe marne nahin deti

dil ko tum shauq se le jaao magar yaad rahe

ye na merā na tumhārā na kisī kā hogā

dil ko tum shauq se le jao magar yaad rahe

ye na mera na tumhaara na kisi ka hoga

tūfān-e-nūh laane se ai chashm fā.eda

do ashk bhī bahut haiƱ agar kuchh asar kareƱ

tufan-e-nuh lane se ai chashm faeda

do ashk bhi bahut hain agar kuchh asar karen

kah rahī hai ye tirī tasvīr bhī

maiƱ kisī se bolne vaalī nahīƱ

kah rahi hai ye teri taswir bhi

main kisi se bolne wali nahin

mujh ko įø³hayāl-e-abrÅ«-e-įø³hamdār ho gayā

įø³hanjar tirā gale kā mire haar ho gayā

mujh ko KHayal-e-abru-e-KHamdar ho gaya

KHanjar tera gale ka mere haar ho gaya

kahīƱ na un kÄ« nazar se nazar kisÄ« kÄ« laįøŒe

vo is lihāz se āƱkheƱ jhukā.e baiThe haiƱ

kahin na un ki nazar se nazar kisi ki laDe

wo is lihaz se aankhen jhukae baiThe hain

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now