Sher of Abhinandan Pandey
ġhaur se dekhte rahne kī sazā paa.ī hai
terī tasvīr in āñkhoñ meñ utar aa.ī hai
ghaur se dekhte rahne ki saza pai hai
teri taswir in aankhon mein utar aai hai
savāl aa ga.e āñkhoñ se chhin ke hoñToñ par
hameñ javāb na dene kā fā.eda to milā
sawal aa gae aankhon se chhin ke honTon par
hamein jawab na dene ka faeda to mila
-
Tag : Sawal
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nasl-e-ādam rafta rafta ḳhud ko kar legī tabāh
itnī saḳhtī se qayāmat pesh aa.egī na pūchh
nasl-e-adam rafta rafta KHud ko kar legi tabah
itni saKHti se qayamat pesh aaegi na puchh
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
darmiyāñ jo jism kā parda hai kaise hogā chaak
maut kis tarkīb se ham ko milā.egī na pūchh
darmiyan jo jism ka parda hai kaise hoga chaak
maut kis tarkib se hum ko milaegi na puchh
-
Tag : Visaal
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download