Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Afzal Gauhar Rao's Photo'

Afzal Gauhar Rao

1965 | Sargodha, Pakistan

Sher of Afzal Gauhar Rao

646
Favorite

SORT BY

ye kaise ḳhvāb ḳhvāhish meñ ghar se niklā huuñ

ki din meñ chalte hue niiñd aa rahī hai mujhe

ye kaise KHwab ki KHwahish mein ghar se nikla hun

ki din mein chalte hue nind aa rahi hai mujhe

chand logoñ mohabbat bhī ġhanīmat hai miyāñ

shahr shahr hamārā to nahīñ ho saktā

chand logon ki mohabbat bhi ghanimat hai miyan

shahr ka shahr hamara to nahin ho sakta

kyā musībat hai ki har din mashaqqat ke evaz

bāñdh jaatā hai koī raat patthar mujh se

kya musibat hai ki har din ki mashaqqat ke ewaz

bandh jata hai koi raat ka patthar mujh se

parindoñ tarah uḌne ḳhvāhish chhoḌ de

be-zamīñ logoñ ke sar par āsmāñ rahtā nahīñ

tu parindon ki tarah uDne ki KHwahish chhoD de

be-zamin logon ke sar par aasman rahta nahin

kabhī dil se guzartī ho kahīñ āñkhoñ se bahtī ho

tujhe phir bhī kabhī jū-e-ravāñ ham kuchh nahīñ kahte

kabhi dil se guzarti ho kahin aankhon se bahti ho

tujhe phir bhi kabhi ju-e-rawan hum kuchh nahin kahte

jaane vo shahr meñ ab kis burā māntā hai

maiñ to jab baat karūñ us se burā māntā hai

jaane wo shahr mein ab kis ka bura manta hai

main to jab baat karun us se bura manta hai

maiñ ek ishq meñ nākām kyā huā 'gauhar'

har ek kaam meñ mujh ko ḳhasārā hone lagā

main ek ishq mein nakaam kya hua 'gauhar'

har ek kaam mein mujh ko KHasara hone laga

apne badan se lipTā huā aadmī thā maiñ

mujh se chhuḌā ke mujh ko batā kaun le gayā

apne badan se lipTa hua aadmi tha main

mujh se chhuDa ke mujh ko bata kaun le gaya

bas hukm milā aur nikal aa.e vahāñ se

chalte hue ujlat meñ sāmān liyā hai

bas hukm mila aur nikal aae wahan se

chalte hue ujlat mein hi saman liya hai

hijr meñ itnā ḳhasāra to nahīñ ho saktā

ek ishq dobāra to nahīñ ho saktā

hijr mein itna KHasara to nahin ho sakta

ek hi ishq dobara to nahin ho sakta

kaun aisī kamī mere ḳhad-o-ḳhāl meñ hai

aa.ina ḳhush nahīñ hotā kabhī mil kar mujh se

kaun si aisi kami mere KHad-o-KHal mein hai

aaina KHush nahin hota kabhi mil kar mujh se

der tak koī kisī se bad-gumāñ rahtā nahīñ

vo vahāñ aatā to hogā maiñ jahāñ rahtā nahīñ

TRANSLATION

No one can remain distrustful of someone for so long,

She must be visiting the place, where I do not belong.

Sagar Akbarabadi

der tak koi kisi se bad-guman rahta nahin

wo wahan aata to hoga main jahan rahta nahin

TRANSLATION

No one can remain distrustful of someone for so long,

She must be visiting the place, where I do not belong.

Sagar Akbarabadi

ye tiir yuuñ nahīñ dushmanoñ talak jaate

badan saarā khichāo kamāñ pe paḌtā hai

ye tir yun hi nahin dushmanon talak jate

badan ka sara khichao kaman pe paDta hai

ai shab-e-ḳhvāb ye hangām-e-tahayyur kyā hai

ḳhud ko gar niiñd se bedār kiyā hai maiñ ne

ai shab-e-KHwab ye hangam-e-tahayyur kya hai

KHud ko gar nind se bedar kiya hai main ne

dekhnā paḌtī hai ḳhud aks sūrat-garī

aa.ina kaise batā.e aa.ine meñ kaun hai

dekhna paDti hai KHud hi aks ki surat-gari

aaina kaise batae aaine mein kaun hai

mirī to aañkh mirā ḳhvāb TūTne se khulī

na jaane paañv dharā niind meñ kahāñ maiñ ne

meri to aankh mera KHwab TuTne se khuli

na jaane panw dhara nind mein kahan main ne

ek dā.ere meñ qaid haiñ ham log yahāñ

ab jahāñ tum ho koī aur vahāñ thā pahle

ek hi daere mein qaid hain hum log yahan

ab jahan tum ho koi aur wahan tha pahle

gumrāh kab kiyā hai kisī raah ne mujhe

chalne lagā huuñ aap apne ḳhilāf meñ

gumrah kab kiya hai kisi rah ne mujhe

chalne laga hun aap hi apne KHilaf mein

savāl ye hai raushnī vahāñ pe rok ga.ī

jahāñ pe har kisī ke haath meñ nayā charāġh thā

sawal ye hai raushni wahan pe rok di gai

jahan pe har kisi ke hath mein naya charagh tha

kis pyaas se ḳhālī huā mashkīza hamārā

dariyā se jo uTh aa.e haiñ sahrā taraf ham

kis pyas se KHali hua mashkiza hamara

dariya se jo uTh aae hain sahra ki taraf hum

mirī nazar to ḳhalāoñ ne bāñdh rakkhī thī

mujhe zamīñ se kahāñ āsmāñ dikhā.ī diyā

meri nazar to KHalaon ne bandh rakkhi thi

mujhe zamin se kahan aasman dikhai diya

yahāñ bhalā kaun apnī marzī se rahā hai

sabhī ishāre tirī nazar se bañdhe hue haiñ

yahan bhala kaun apni marzi se ji raha hai

sabhi ishaare teri nazar se bandhe hue hain

tumheñ sahrā sambhālne paḌī huī hai

nikal ke ghar se bhī ham to ghar se bañdhe hue haiñ

tumhein hi sahra sambhaalne ki paDi hui hai

nikal ke ghar se bhi hum to ghar se bandhe hue hain

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now