Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Anwar Taban's Photo'

Anwar Taban

1944 - 2016 | Saharanpur, India

Sher of Anwar Taban

439
Favorite

SORT BY

ḳhushī baat aur hai ġhamoñ baat aur

tumhārī baat aur hai hamārī baat aur

KHushi ki baat aur hai ghamon ki baat aur

tumhaari baat aur hai hamari baat aur

har ek shaḳhs mirā shahr meñ shanāsā thā

magar jo ġhaur se dekhā to maiñ akelā thā

har ek shaKHs mera shahr mein shanasa tha

magar jo ghaur se dekha to main akela tha

hañste hañste nikal paḌe aañsū

rote rote kabhī hañsī aa.ī

hanste hanste nikal paDe aansu

rote rote kabhi hansi aai

to ye chāhtā hai mar jaa.eñ

zindagī ab tirī razā kyā hai

ji to ye chahta hai mar jaen

zindagi ab teri raza kya hai

is ḳhauf meñ ki khud na bhaTak jaa.eñ raah meñ

bhaTke huoñ ko raah dikhātā nahīñ koī

is KHauf mein ki khud na bhaTak jaen rah mein

bhaTke huon ko rah dikhata nahin koi

ye yaqīñ hai merī ulfat

hogā un par asar kabhī na kabhī

ye yaqin hai ki meri ulfat ka

hoga un par asar kabhi na kabhi

sukūn qalb ko jis se mil jaa.e 'tābāñ'

ġhazal koī aisī sunā dījiyegā

sukun qalb ko jis se mil jae 'taban'

ghazal koi aisi suna dijiyega

kuchh samajh meñ mirī nahīñ aatā

dil lagāne se fā.eda kyā hai

kuchh samajh mein meri nahin aata

dil lagane se faeda kya hai

aa.egā vo din hamārī zindagī meñ bhī zarūr

jo añdheroñ ko miTā kar raushnī de jā.egā

aaega wo din hamari zindagi mein bhi zarur

jo andheron ko miTa kar raushni de jaega

tumheñ dil de to de 'tābāñ' ye Dar hai

hamesha ko tumhārā ho na jaa.e

tumhein dil de to de 'taban' ye Dar hai

hamesha ko tumhaara ho na jae

dil hai pareshāñ un ḳhātir

pal bhar ko ārām nahīñ hai

dil hai pareshan un ki KHatir

pal bhar ko aaram nahin hai

shāyad aa jaa.e kabhī dekhne vo rashk-e-masīh

maiñ kisī aur se is vāste achchhā na huā

shayad aa jae kabhi dekhne wo rashk-e-masih

main kisi aur se is waste achchha na hua

us nigāh se vaqt-e-mai-kashī 'tābāñ'

jis nigāh pe qurbān pārsā.ī ho

tu us nigah se pi waqt-e-mai-kashi 'taban'

ki jis nigah pe qurban parsai ho

harīm-e-nāz ke parde meñ jo nihāñ thā kabhī

usī ne shoḳh adā.eñ dikhā ke luuT liyā

harim-e-naz ke parde mein jo nihan tha kabhi

usi ne shoKH adaen dikha ke luT liya

sitam bhī mujh pe vo kartā rahā karam tarah

vo mehrbāñ to na thā mehrbān jaisā thā

sitam bhi mujh pe wo karta raha karam ki tarah

wo mehrban to na tha mehrban jaisa tha

aaj maġhmūm kyuuñ ho ai 'tābāñ'

kuchh to bolo ki mājrā kyā hai

aaj maghmum kyun ho ai 'taban'

kuchh to bolo ki majra kya hai

kisī barq-e-nazar se na bijliyoñ se jale

kuchh is tarah ho ta.amīr āshiyāne

kisi ki barq-e-nazar se na bijliyon se jale

kuchh is tarah ki ho tamir aashiyane ki

shaġhl thā dasht-navardī kabhī ai 'tābāñ'

ab gulistāñ meñ bhī jaate hue Dar lagtā hai

shaghl tha dasht-nawardi ka kabhi ai 'taban'

ab gulistan mein bhi jate hue Dar lagta hai

samajh se kaam jo letā har ek bashar 'tābāñ'

na hāhā-kār machte na ghar jalā karte

samajh se kaam jo leta har ek bashar 'taban'

na haha-kar hi machte na ghar jala karte

Recitation

Speak Now