Sher of Badr Muneer
kachre se uThā.ī jo kisī tifl ne roTī
phir halq se mere koī luqma nahīñ utrā
kachre se uThai jo kisi tifl ne roTi
phir halq se mere koi luqma nahin utra
jab vasl kā aa.egā tire saath sanam din
us din ko haqīqat meñ kahūñgā maiñ janam-din
jab wasl ka aaega tere sath sanam din
us din ko haqiqat mein kahunga main janam-din
is se baḌh kar aur kyā ham par sitam hogā 'munīr'
mashvara māñgā hai is ne faisla karne ke ba.ad
is se baDh kar aur kya hum par sitam hoga 'munir'
mashwara manga hai is ne faisla karne ke baad
koī bhī sur meñ nahīñ hai 'munīr' kyā kiije
ye zindagī kā tarāna riyāz māñgtā hai
koi bhi sur mein nahin hai 'munir' kya kije
ye zindagi ka tarana riyaz mangta hai
paḌ jaate haiñ kitne chhāle hāthoñ meñ
aate haiñ phir chand nivāle hāthoñ meñ
paD jate hain kitne chhaale hathon mein
aate hain phir chand niwale hathon mein
būḌhe kamzor vāldain ke saath
jī rahā huuñ maiñ kitne chain ke saath
buDhe kamzor waldain ke sath
ji raha hun main kitne chain ke sath
kyā ḳhabar kaun sā rasta tirī jānib nikle
be-irāda bhī ka.ī baar safar karte haiñ
kya KHabar kaun sa rasta teri jaanib nikle
be-irada bhi kai bar safar karte hain
charāġh andar kī sāzishoñ se bujhe hue haiñ
aur is kā ilzām bhī havā par chalā gayā hai
charagh andar ki sazishon se bujhe hue hain
aur is ka ilzam bhi hawa par chala gaya hai
zamīñ pe sirf utārā nahīñ 'munīr' us ne
phir us ke baa'd hamārā ḳhayāl bhī rakkhā
zamin pe sirf utara nahin 'munir' us ne
phir us ke ba'd hamara KHayal bhi rakkha
muskurā kar agar vo dekhe to
aa.ine par nishān paḌ jaa.e
muskura kar agar wo dekhe to
aaine par nishan paD jae
maiñ aaj tujh se mulāqāt karne aaya huuñ
na.ī ġhazal kī shurū'āt karne aaya huuñ
main aaj tujh se mulaqat karne aaya hun
nai ghazal ki shuru'at karne aaya hun
ek ummīd ke sahāre par
kitnī tāḳhīr dekh lete haiñ
ek ummid ke sahaare par
kitni taKHir dekh lete hain
tai ho chukī hai us se judā.ī magar 'munīr'
tū us ke saath lamha-e-inkār tak to chal
tai ho chuki hai us se judai magar 'munir'
tu us ke sath lamha-e-inkar tak to chal
jis manzar kā hissa terī zaat nahīñ
merī nazar meñ us kī koī auqāt nahīñ
jis manzar ka hissa teri zat nahin
meri nazar mein us ki koi auqat nahin
jīvan hai saḌak aur kināre pe khaḌe haiñ
lagtā hai ki muddat se ishāre pe khaḌe haiñ
jiwan hai saDak aur kinare pe khaDe hain
lagta hai ki muddat se ishaare pe khaDe hain
karnī paḌ jaa.e vazāhat pe vazāhat lekin
ham tirī baat kī tardīd nahīñ kar sakte
karni paD jae wazahat pe wazahat lekin
hum teri baat ki tardid nahin kar sakte
kab se pahuñch gayā huuñ maiñ us shaḳhs ke qarīb
kahtī hai phir bhī us kī nazar rāste meñ huuñ
kab se pahunch gaya hun main us shaKHs ke qarib
kahti hai phir bhi us ki nazar raste mein hun
tirī sūrat meñ rihā.ī mil ga.ī
aañkh kitne manzaroñ meñ qaid thī
teri surat mein rihai mil gai
aankh kitne manzaron mein qaid thi
tujh ko ḳhud se minhā karte
nā-mumkin thā aisā karte
tujh ko KHud se minha karte
na-mumkin tha aisa karte
sipah-sālār ke jab haath kāñpeñ to sipāhī bhī
ziyāda der phir maidān meñ Thahrā nahīñ karte
sipah-salar ke jab hath kanpen to sipahi bhi
ziyaada der phir maidan mein Thahra nahin karte
ye ā.īnoñ ke haiñ yā naqs mere
bigaḌte jā rahe haiñ 'aks mere
ye aainon ke hain ya naqs mere
bigaDte ja rahe hain 'aks mere
us vaqt se bachā mujhe ai rabb-e-kā.ināt
hubb-e-vatan ho dil meñ vatan kāTne lage
us waqt se bacha mujhe ai rabb-e-kainat
hubb-e-watan ho dil mein watan kaTne lage
go harf-o-ashk donoñ the sāmān-e-guftugū
phir bhī hamārī baat meñ ib.hām rah gayā
go harf-o-ashk donon the saman-e-guftugu
phir bhi hamari baat mein ibham rah gaya
ban ga.e insān apnī zaat meñ jangal 'munīr'
bastiyoñ se uḌ ga.ī hai bū-e-ādam-zād tak
ban gae insan apni zat mein jangal 'munir'
bastiyon se uD gai hai bu-e-adam-zad tak
kunj-e-hairat se chale dasht-e-ziyāñ tak laa.e
kaun lā saktā hai ham dil ko jahāñ tak laa.e
kunj-e-hairat se chale dasht-e-ziyan tak lae
kaun la sakta hai hum dil ko jahan tak lae
kahāñ se ham apnī gardishoñ kā javāz DhūñDeñ
hamārā mehvar zamīñ ke mehvar se muḳhtalif hai
kahan se hum apni gardishon ka jawaz DhunDen
hamara mehwar zamin ke mehwar se muKHtalif hai
laḌ rahā huuñ maiñ akelā kār-zār-e-hast meñ
kar farāham tū bhī zālim apne hone kā javāz
laD raha hun main akela kar-zar-e-hast mein
kar faraham tu bhi zalim apne hone ka jawaz
be-chehra insānoñ kī is bastī meñ
achchhā hai ā.īne toḌ diye jaa.eñ
be-chehra insanon ki is basti mein
achchha hai aaine toD diye jaen
samajh meñ aatā nahīñ ye kaisī numū hai mujh meñ
vo merī miTTī meñ kuchh milā kar chalā gayā hai
samajh mein aata nahin ye kaisi numu hai mujh mein
wo meri miTTi mein kuchh mila kar chala gaya hai
terī sūrat meñ rihā.ī mil ga.ī
aañkh kitne manzaroñ meñ qaid thī
teri surat mein rihai mil gai
aankh kitne manzaron mein qaid thi
ye to ahl-e-junūñ kā maskan hai
aap kaise janāb sahrā meñ
ye to ahl-e-junun ka maskan hai
aap kaise janab sahra mein
ye kis tarah kī zamīñ pe ham ne binā-e-shahr-e-murād rakkhī
yahāñ pe koī gulāb-mausam utar bhī saktā hai aur nahīñ bhī
ye kis tarah ki zamin pe hum ne bina-e-shahr-e-murad rakkhi
yahan pe koi gulab-mausam utar bhi sakta hai aur nahin bhi
aur kyā mafhūm hogā ḳhud-farebī ke sivā
tishnagī jalte hue sūraj pe gar zāhir kareñ
aur kya mafhum hoga KHud-farebi ke siwa
tishnagi jalte hue suraj pe gar zahir karen