Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Bedil Haidri's Photo'

Bedil Haidri

1924 - 2004 | Lahore, Pakistan

A poet who wrote upon social disparities and poverty

A poet who wrote upon social disparities and poverty

Sher of Bedil Haidri

6.3K
Favorite

SORT BY

ham tum meñ kal duurī bhī ho saktī hai

vaj.h koī majbūrī bhī ho saktī hai

hum tum mein kal duri bhi ho sakti hai

wajh koi majburi bhi ho sakti hai

bhuuk chehroñ pe liye chāñd se pyāre bachche

bechte phirte haiñ galiyoñ meñ ġhubāre bachche

bhuk chehron pe liye chand se pyare bachche

bechte phirte hain galiyon mein ghubare bachche

garmī lagī to ḳhud se alag ho ke so ga.e

sardī lagī to ḳhud ko dobāra pahan liyā

garmi lagi to KHud se alag ho ke so gae

sardi lagi to KHud ko dobara pahan liya

raat ko roz Duub jaatā hai

chāñd ko tairnā sikhānā hai

raat ko roz Dub jata hai

chand ko tairna sikhana hai

ḳhol chehroñ pe chaḌhāne nahīñ aate ham ko

gaañv ke log haiñ ham shahr meñ kam aate haiñ

KHol chehron pe chaDhane nahin aate hum ko

ganw ke log hain hum shahr mein kam aate hain

jitnā hañgāma ziyāda hogā

aadmī utnā tanhā hogā

jitna hangama ziyaada hoga

aadmi utna hi tanha hoga

mere andar pāñchvāñ mausam

kis ne dekhā hai kis ne jaanā hai

mere andar ka panchwan mausam

kis ne dekha hai kis ne jaana hai

dushman mujh par ġhālib bhī aa saktā hai

haar mirī majbūrī bhī ho saktī hai

dushman mujh par ghaalib bhi aa sakta hai

haar meri majburi bhi ho sakti hai

marne ke ba.ad ḳhud bikhar jā.ūñgā kahīñ

ab qabr kyā banegī agar ghar nahīñ banā

marne ke baad KHud hi bikhar jaunga kahin

ab qabr kya banegi agar ghar nahin bana

kahīñ intihā malāmateñ kahīñ pattharoñ se aTī chhateñ

tire shahr meñ mire ba.ad ab koī sar-phirā nahīñ aa.egā

kahin intiha ki malamaten kahin pattharon se aTi chhaten

tere shahr mein mere baad ab koi sar-phira nahin aaega

ho gayā charḳh-e-sitamgar kaleja ThanDā

mar ga.e pyaas se dariyā ke kināre bachche

ho gaya charKH-e-sitamgar ka kaleja ThanDa

mar gae pyas se dariya ke kinare bachche

ye dil jo muztarib rahtā bahut hai

koī is dasht meñ taḌpā bahut hai

ye dil jo muztarib rahta bahut hai

koi is dasht mein taDpa bahut hai

Recitation

Speak Now