Sher of Goya Faqir Mohammad
bijlī chamkī to abr royā
yaad aa ga.ī kyā hañsī kisī kī
bijli chamki to abr roya
yaad aa gai kya hansi kisi ki
na hogā koī mujh sā mahv-e-tasavvur
jise dekhtā huuñ samajhtā huuñ tū hai
na hoga koi mujh sa mahw-e-tasawwur
jise dekhta hun samajhta hun tu hai
-
Tag : Tasawwur
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ai junūñ haath jo vo zulf na aa.ī hotī
aah ne arsh kī zanjīr hilā.ī hotī
ai junun hath jo wo zulf na aai hoti
aah ne arsh ki zanjir hilai hoti
nahīñ bachtā hai bīmār-e-mohabbat
sunā hai ham ne 'goyā' kī zabānī
nahin bachta hai bimar-e-mohabbat
suna hai hum ne 'goya' ki zabani
apne sivā nahīñ hai koī apnā āshnā
dariyā kī tarah aap haiñ apne kanār meñ
apne siwa nahin hai koi apna aashna
dariya ki tarah aap hain apne kanar mein
-
Tag : Dariya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
naqsh-e-pā pañch-shāḳha qabar par raushan karo
mar gayā huuñ maiñ tumhārī garmī-e-raftār par
naqsh-e-pa panch-shaKHa qabar par raushan karo
mar gaya hun main tumhaari garmi-e-raftar par
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
na mar ke bhī tirī sūrat ko dekhne dūñgā
paḌūñgā ġhair kī āñkhoñ meñ vo ġhubār huuñ maiñ
na mar ke bhi teri surat ko dekhne dunga
paDunga ghair ki aankhon mein wo ghubar hun main
saare qur.ān se us parī-rū ko
yaad ik lafz-e-lan-tarānī hai
sare quran se us pari-ru ko
yaad ek lafz-e-lan-tarani hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nāsehā āshiqī meñ rakh ma.azūr
kyā karūñ ālam-e-javānī hai
naseha aashiqi mein rakh mazur
kya karun aalam-e-jawani hai
ḳhaar chubh kar jo TūTtā hai kabhī
aabla phuuT phuuT rotā hai
KHar chubh kar jo TuTta hai kabhi
aabla phuT phuT rota hai
-
Tag : Aabla
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zāhido qudrat-e-ḳhudā dekho
but ko bhī dāva-e-ḳhudā.ī hai
zahido qudrat-e-KHuda dekho
but ko bhi dawa-e-KHudai hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo tifl-e-nusairī aa.e shāyad
qasmeñ duuñ murtazā-alī kī
wo tifl-e-nusairi aae shayad
qasmen dun murtaza-ali ki
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zo.af se rahtā hai ab paañv pe sar
āp-apnī Thokareñ khāte haiñ ham
zoaf se rahta hai ab panw pe sar
aap-apni Thokaren khate hain hum
ḳhuun mirā kar ke lagānā na hinā mere ba.ad
dast rañgīñ na hoñ añgusht-numā mere ba.ad
KHun mera kar ke lagana na hina mere baad
dast rangin na hon angusht-numa mere baad
dimāġh aur hī paatī haiñ in hasīnoñ meñ
ye maah vo haiñ nazar aa.eñ jo mahīnoñ meñ
dimagh aur hi pati hain in hasinon mein
ye mah wo hain nazar aaen jo mahinon mein
jāma-e-surḳh tirā dekh ke gul
pairahan apnā qabā karte haiñ
jama-e-surKH tera dekh ke gul
pairahan apna qaba karte hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
āsmāñ kahte haiñ jis ko vo zamīn-e-sher hai
māh-e-nau misra.a hai vasf-e-abrū-e-ḳhamdār meñ
aasman kahte hain jis ko wo zamin-e-sher hai
mah-e-nau misra hai wasf-e-abru-e-KHamdar mein
dar pe nālāñ jo huuñ to kahtā hai
pūchho kyā chiiz bechtā hai ye
dar pe nalan jo hun to kahta hai
puchho kya chiz bechta hai ye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
har gaam pe hī saa.e se ik misra.a-e-mauzūñ
gar chand qadam chaliye to kyā ḳhuub ġhazal ho
har gam pe hi sae se ek misra-e-mauzun
gar chand qadam chaliye to kya KHub ghazal ho
saḳht hai hairat hameñ jo zer-e-abrū ḳhaal hai
ham to sunte the ki ka.abe meñ koī hindū nahīñ
saKHt hai hairat hamein jo zer-e-abru KHal hai
hum to sunte the ki kabe mein koi hindu nahin
Thukrā ke chale jabīñ ko merī
qismat kī likhī ne yāvarī kī
Thukra ke chale jabin ko meri
qismat ki likhi ne yawari ki
gayā hai kūcha-e-kākul meñ ab dil
musalmāñ vārid-e-hindostāñ hai
gaya hai kucha-e-kakul mein ab dil
musalman warid-e-hindostan hai
gar hamāre qatl ke mazmūñ kā vo naama likhe
baiza-e-faulād se nikleñ kabūtar saikḌoñ
gar hamare qatl ke mazmun ka wo nama likhe
baiza-e-faulad se niklen kabutar saikDon
misl-e-tiflāñ vahshiyoñ se zid hai charḳh-e-pīr ko
gar talab muñh kī kareñ barsā.e patthar saikḌoñ
misl-e-tiflan wahshiyon se zid hai charKH-e-pir ko
gar talab munh ki karen barsae patthar saikDon
jo pinhāñ thā vahī har sū ayaañ hai
ye kahiye lan tarānī ab kahāñ hai
TRANSLATION
What was concealed, is expressed everywhere,
Now tell me your admonistions are where?
Sagar Akbarabadi
jo pinhan tha wahi har su ayan hai
ye kahiye lan tarani ab kahan hai
TRANSLATION
What was concealed, is expressed everywhere,
Now tell me your admonistions are where?
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download