Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Humaira Rahat's Photo'

Humaira Rahat

Karachi, Pakistan

Sher of Humaira Rahat

2.6K
Favorite

SORT BY

bahut tāḳhīr se paayā hai ḳhud ko

maiñ apne sabr phal ho ga.ī huuñ

bahut taKHir se paya hai KHud ko

main apne sabr ka phal ho gai hun

sunā hai ḳhvāb mukammal kabhī nahīñ hote

sunā hai ishq ḳhatā hai so kar ke dekhte haiñ

suna hai KHwab mukammal kabhi nahin hote

suna hai ishq KHata hai so kar ke dekhte hain

zikr suntī huuñ ujāle bahut

us se kahnā ki mire ghar aa.e

zikr sunti hun ujale ka bahut

us se kahna ki mere ghar aae

huzūr aap koī faisla kareñ to sahī

haiñ sar jhuke hue darbār bhī lagā huā hai

huzur aap koi faisla karen to sahi

hain sar jhuke hue darbar bhi laga hua hai

ta.alluq na.ī ik rasm ab ījād karnā hai

na us ko bhūlnā hai aur na us ko yaad karnā hai

talluq ki nai ek rasm ab ijad karna hai

na us ko bhulna hai aur na us ko yaad karna hai

guzar jā.egī saarī raat is meñ

mirā qissa kahānī se baḌā hai

guzar jaegi sari raat is mein

mera qissa kahani se baDa hai

mire dil ke akele ghar meñ 'rāhat'

udāsī jaane kab se rah rahī hai

mere dil ke akele ghar mein 'rahat'

udasi jaane kab se rah rahi hai

jahāñ ik shaḳhs bhī miltā nahīñ hai chāhne se

vahāñ ye dil hathelī par zamāna chāhtā hai

jahan ek shaKHs bhi milta nahin hai chahne se

wahan ye dil hatheli par zamana chahta hai

ye kis yaad bārish meñ bhīgtā hai badan

ye kaisā phuul sar-e-shāḳh-e-jāñ khilā huā hai

ye kis ki yaad ki barish mein bhigta hai badan

ye kaisa phul sar-e-shaKH-e-jaan khila hua hai

banā kar ek ghar dil zamīñ par us yādoñ

kabhī ābād karnā hai kabhī barbād karnā hai

bana kar ek ghar dil ki zamin par us ki yaadon ka

kabhi aabaad karna hai kabhi barbaad karna hai

jo manzil tak ke aur kahīñ muḌ jaa.e

tum aise raste ke dukh se nā-vāqif ho

jo manzil tak ja ke aur kahin muD jae

tum aise raste ke dukh se na-waqif ho

na ham se ishq mafhūm pūchho

ye lafz apne ma.ānī se baḌā hai

na hum se ishq ka mafhum puchho

ye lafz apne maani se baDa hai

vo ishq ko kis tarah samajh pā.egā jis ne

sahrā se gale milte samundar nahīñ dekhā

wo ishq ko kis tarah samajh paega jis ne

sahra se gale milte samundar nahin dekha

vo mujh ko āzmātā rahā hai zindagī bhar

magar ye dil ab us ko āzmānā chāhtā hai

wo mujh ko aazmata hi raha hai zindagi bhar

magar ye dil ab us ko aazmana chahta hai

ḳhushī merī gavāra thī na qismat ko na duniyā ko

so maiñ kuchh ġham barā-e-ḳhātir-e-ahbāb uThā laa.ī

KHushi meri gawara thi na qismat ko na duniya ko

so main kuchh gham bara-e-KHatir-e-ahbab uTha lai

use bhī zindagī karnī paḌegī 'mīr' jaisī

suḳhan se gar koī rishta nibhānā chāhtā hai

use bhi zindagi karni paDegi 'mir' jaisi

suKHan se gar koi rishta nibhana chahta hai

kabhī kabhī to judā be-sabab bhī hote haiñ

sadā zamāne taqsīr thoḌī hotī hai

kabhi kabhi to juda be-sabab bhi hote hain

sada zamane ki taqsir thoDi hoti hai

vo aur the ki jo nā-ḳhush the do jahāñ le kar

hamāre paas to bas ik jahān thā na rahā

wo aur the ki jo na-KHush the do jahan le kar

hamare pas to bas ek jahan tha na raha

fasāna ab koī anjām paanā chāhtā hai

ta.alluq TūTne ko ik bahāna chāhtā hai

TRANSLATION

My tale is now looking for a conclusion,

An excuse is needed to end the relation.

Sagar Akbarabadi

fasana ab koi anjam pana chahta hai

talluq TuTne ko ek bahana chahta hai

TRANSLATION

My tale is now looking for a conclusion,

An excuse is needed to end the relation.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now