Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Khurshid Talab's Photo'

Khurshid Talab

Bokaro, India

Sher of Khurshid Talab

6.1K
Favorite

SORT BY

koī charāg jalātā nahīñ salīqe se

magar sabhī ko shikāyat havā se hotī hai

koi charag jalata nahin saliqe se

magar sabhi ko shikayat hawa se hoti hai

roz dīvār meñ chun detā huuñ maiñ apnī anā

roz vo toḌ ke dīvār nikal aatī hai

roz diwar mein chun deta hun main apni ana

roz wo toD ke diwar nikal aati hai

hameñ har vaqt ye ehsās dāman-gīr rahtā hai

paḌe haiñ Dher saare kaam aur mohlat zarā hai

hamein har waqt ye ehsas daman-gir rahta hai

paDe hain Dher sare kaam aur mohlat zara si hai

mirī mushkil mirī mushkil nahīñ hai

vasīla terī āsānī maiñ huuñ

meri mushkil meri mushkil nahin hai

wasila teri aasani ka main hun

ḳhudā ne baḳhshā hai kyā zarf mom-battī ko

pighalte rahnā magar saarī raat chup rahnā

KHuda ne baKHsha hai kya zarf mom-batti ko

pighalte rahna magar sari raat chup rahna

havā to hai muḳhālif mujhe Darātā hai kyā

havā se pūchh ke koī diye jalātā hai kyā

hawa to hai hi muKHalif mujhe Daraata hai kya

hawa se puchh ke koi diye jalata hai kya

azīzo aao ab ik al-vidā.ī jashn kar leñ

ki is ke ba.ad ik lambā safar afsos hai

azizo aao ab ek al-widai jashn kar len

ki is ke baad ek lamba safar afsos ka hai

zindagī meñ jo tumheñ ḳhud se ziyāda the aziiz

un se milne kyā kabhī jaate ho qabristān bhī

zindagi mein jo tumhein KHud se ziyaada the aziz

un se milne kya kabhi jate ho qabristan bhi

bahut nuqsān hotā hai

ziyāda hoshiyārī meñ

bahut nuqsan hota hai

ziyaada hoshiyari mein

kabhī dimāġh ko ḳhātir meñ ham ne laayā nahīñ

ham ahl-e-dil the hamesha rahe ḳhasāre meñ

kabhi dimagh ko KHatir mein hum ne laya nahin

hum ahl-e-dil the hamesha rahe KHasare mein

zamīneñ tañg huī rahī haiñ dil tarah

ham ab makān nahīñ maqbara banāte haiñ

zaminen tang hui ja rahi hain dil ki tarah

hum ab makan nahin maqbara banate hain

us ne aa kar haath māthe par rakhā

aur mintoñ meñ buḳhār uḌtā huā

us ne aa kar hath mathe par rakha

aur minton mein buKHar uDta hua

ki ham bane na the ek dūsre ke liye

ab is yaqīn ko jiinā hayāt karte hue

ki hum bane hi na the ek dusre ke liye

ab is yaqin ko jina hayat karte hue

'talab' baḌī aziyyat kaam hotā hai

bikharte TūTte rishtoñ bojh Dhonā bhī

'talab' baDi hi aziyyat ka kaam hota hai

bikharte TuTte rishton ka bojh Dhona bhi

aa.iye biich dīvār girā dete haiñ

kab se ik mas.ala be-kār meñ uljhā huā hai

aaiye bich ki diwar gira dete hain

kab se ek masala be-kar mein uljha hua hai

kahīñ bhī jaa.eñ kisī shahr meñ sukūnat ho

ham apnī tarz aab o havā banāte haiñ

kahin bhi jaen kisi shahr mein sukunat ho

hum apni tarz ki aab o hawa banate hain

aaj dariyā meñ ajab shor ajab halchal hai

kis kashtī ne qadam āb-e-ravāñ par rakkhā

aaj dariya mein ajab shor ajab halchal hai

kis ki kashti ne qadam aab-e-rawan par rakkha

havā se kah do ki kuchh der ko Thahar jaa.e

ḳhajil hamārī ibārat havā se hotī hai

hawa se kah do ki kuchh der ko Thahar jae

KHajil hamari ibarat hawa se hoti hai

sab ek dhund liye phir rahe haiñ āñkhoñ meñ

kisī ke chehre pe maazī na haal dekhtā huuñ

sab ek dhund liye phir rahe hain aankhon mein

kisi ke chehre pe mazi na haal dekhta hun

sab ne dekhā aur sab ḳhāmosh the

ek suufī mazār uḌtā huā

sab ne dekha aur sab KHamosh the

ek sufi ka mazar uDta hua

har ek ahd ne likkhā hai apnā nāma-e-shauq

kisī ne ḳhuuñ se likhā hai kisī ne aañsū se

har ek ahd ne likkha hai apna nama-e-shauq

kisi ne KHun se likha hai kisi ne aansu se

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now