Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mustafa Zaidi's Photo'

Mustafa Zaidi

1929 - 1970 | Karachi, Pakistan

Also known as Tegh Allahabadi, was a C.S.P officer in Pakistan, assassinated in mysterious circumstances.

Also known as Tegh Allahabadi, was a C.S.P officer in Pakistan, assassinated in mysterious circumstances.

Sher of Mustafa Zaidi

17.9K
Favorite

SORT BY

inhīñ pattharoñ pe chal kar agar aa sako to aao

mire ghar ke rāste meñ koī kahkashāñ nahīñ hai

inhin pattharon pe chal kar agar aa sako to aao

mere ghar ke raste mein koi kahkashan nahin hai

mirī ruuh haqīqat mire āñsuoñ se pūchho

mirā majlisī tabassum mirā tarjumāñ nahīñ hai

meri ruh ki haqiqat mere aansuon se puchho

mera majlisi tabassum mera tarjuman nahin hai

āñdhī chalī to naqsh-e-kaf-e-pā nahīñ milā

dil jis se mil gayā vo dobārā nahīñ milā

aandhi chali to naqsh-e-kaf-e-pa nahin mila

dil jis se mil gaya wo dobara nahin mila

mat pūchh ki ham zabt kis raah se guzre

ye dekh ki tujh par koī ilzām na aayā

mat puchh ki hum zabt ki kis rah se guzre

ye dekh ki tujh par koi ilzam na aaya

dil ke rishte ajiib rishte haiñ

saañs lene se TuuT jaate haiñ

dil ke rishte ajib rishte hain

sans lene se TuT jate hain

maiñ kis ke haath pe apnā lahū talāsh karūñ

tamām shahr ne pahne hue haiñ dastāne

main kis ke hath pe apna lahu talash karun

tamam shahr ne pahne hue hain dastane

is tarah hosh gañvānā bhī koī baat nahīñ

aur yuuñ hosh se rahne meñ bhī nādānī hai

is tarah hosh ganwana bhi koi baat nahin

aur yun hosh se rahne mein bhi nadani hai

ishq in zālimoñ duniyā meñ

kitnī mazlūm zaat hai ai dil

ishq in zalimon ki duniya mein

kitni mazlum zat hai ai dil

yuuñ to vo har kisī se miltī hai

ham se apnī ḳhushī se miltī hai

yun to wo har kisi se milti hai

hum se apni KHushi se milti hai

ġham-e-daurāñ ne bhī sīkhe ġham-e-jānāñ ke chalan

vahī sochī huī chāleñ vahī be-sāḳhta-pan

gham-e-dauran ne bhi sikhe gham-e-jaanan ke chalan

wahi sochi hui chaalen wahi be-saKHta-pan

ruuh ke is vīrāne meñ terī yaad sab kuchh thī

aaj to vo bhī yuuñ guzrī jaise ġharīboñ tyauhār

ruh ke is virane mein teri yaad hi sab kuchh thi

aaj to wo bhi yun guzri jaise gharibon ka tyauhaar

ham anjuman meñ sab taraf dekhte rahe

apnī tarah se koī akelā nahīñ milā

hum anjuman mein sab ki taraf dekhte rahe

apni tarah se koi akela nahin mila

titliyāñ uḌtī haiñ aur un ko pakaḌne vaale

sa.ī-e-nākām meñ apnoñ se bichhaḌ jaate haiñ

titliyan uDti hain aur un ko pakaDne wale

sai-e-nakaam mein apnon se bichhaD jate hain

tujh se to dil ke paas mulāqāt ho ga.ī

maiñ ḳhud ko DhūñDne ke liye dar-ba-dar gayā

tujh se to dil ke pas mulaqat ho gai

main KHud ko DhunDne ke liye dar-ba-dar gaya

jis din se apnā tarz-e-faqīrāna chhuT gayā

shāhī to mil ga.ī dil-e-shāhāna chhuT gayā

jis din se apna tarz-e-faqirana chhuT gaya

shahi to mil gai dil-e-shahana chhuT gaya

utrā thā jis pe bāb-e-hayā varaq varaq

bistar ke ek ek shikan sharīk thī

utra tha jis pe bab-e-haya ka waraq waraq

bistar ke ek ek shikan ki sharik thi

ḳhudā kare ki tire husn ko zavāl na ho

maiñ chāhtā huuñ tujhe yūñhī umr-bhar dekhūñ

KHuda kare ki tere husn ko zawal na ho

main chahta hun tujhe yunhi umr-bhar dekhun

ham ne to luT ke mohabbat rivāyat rakh

un se to pochhiye vo kis liye pachhtāte rahe

hum ne to luT ke mohabbat ki riwayat rakh li

un se to pochhiye wo kis liye pachhtate rahe

ḳhud apne shab-o-roz guzar jā.eñge lekin

shāmil hai mire ġham meñ tirī dar-badarī bhī

KHud apne shab-o-roz guzar jaenge lekin

shamil hai mere gham mein teri dar-badari bhi

aañkh jhuk jaatī hai jab band-e-qabā khulte haiñ

tujh meñ uThte hue ḳhurshīd uryānī hai

aankh jhuk jati hai jab band-e-qaba khulte hain

tujh mein uThte hue KHurshid ki uryani hai

koī rafīq baham na ho to kyā kiije

kabhī kabhī tirā ġham na ho to kyā kiije

koi rafiq baham hi na ho to kya kije

kabhi kabhi tera gham hi na ho to kya kije

koī ham-nafas nahīñ hai koī rāz-dāñ nahīñ hai

faqat ek dil thā apnā so vo mehrbāñ nahīñ hai

TRANSLATION

Companion, there is none, no one a confidant of mine,

Only my heart belonged to me, but it too is not benign.

Sagar Akbarabadi

koi ham-nafas nahin hai koi raaz-dan nahin hai

faqat ek dil tha apna so wo mehrban nahin hai

TRANSLATION

Companion, there is none, no one a confidant of mine,

Only my heart belonged to me, but it too is not benign.

Sagar Akbarabadi

vo ik tilism thā qurbat meñ us ke umr kaTī

gale lagā ke use us aarzū karte

wo ek tilism tha qurbat mein us ke umr kaTi

gale laga ke use us ki aarzu karte

mere naġhmāt taqdīr na pahuñche tujh tak

merī fariyād qismat ki tujhe chhū aa.ī

mere naghmat ki taqdir na pahunche tujh tak

meri fariyaad ki qismat ki tujhe chhu aai

ik mauj-e-ḳhūn-e-ḳhalq thī kis jabīñ pe thī

ik tauq-e-fard-e-jurm thā kis ke gale meñ thā

ek mauj-e-KHun-e-KHalq thi kis ki jabin pe thi

ek tauq-e-fard-e-jurm tha kis ke gale mein tha

nāvak-e-zulm uThā dashna-e-andoh sambhāl

lutf ke ḳhanjar-e-be-nām se mat maar mujhe

nawak-e-zulm uTha dashna-e-andoh sambhaal

lutf ke KHanjar-e-be-nam se mat mar mujhe

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now