Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Shehzad Anjum Burhani's Photo'

Shehzad Anjum Burhani

1986 | Burhanpur, India

Sher of Shehzad Anjum Burhani

3
Favorite

SORT BY

zamāna jin qayādat meñ gāmzan thā vo log

bhaTak ga.e tirī āñkhoñ rahnumā.ī meñ

zamana jin ki qayaadat mein gamzan tha wo log

bhaTak gae teri aankhon ki rahnumai mein

vo phuul hai to use jaan tak karo mahsūs

vo chāñd hai to añdherā baḌhā ke dekhā jaa.e

wo phul hai to use jaan tak karo mahsus

wo chand hai to andhera baDha ke dekha jae

mājrā-ḳhez kal ik ḳhvāb thā dekhā ham ne

biich dariyā meñ the kashtī se utarte hue log

majra-KHez kal ek KHwab tha dekha hum ne

bich dariya mein the kashti se utarte hue log

ye kyā ki ḳhayāloñ se uḌī jaatī hai ḳhushbū

maiñ ne to abhī tak use sochā bhī nahīñ hai

ye kya ki KHayalon se uDi jati hai KHushbu

main ne to abhi tak use socha bhi nahin hai

aaj raat hai bahut bhārī

aaj raat bas guzar jaa.e

aaj ki raat hai bahut bhaari

aaj ki raat bas guzar jae

chāñd kuchh der terī chhat pe rahe

phir mire jaam meñ utar jaa.e

chand kuchh der teri chhat pe rahe

phir mere jam mein utar jae

bulandī se utārā rahā huuñ

maiñ tārīfoñ se maarā rahā huuñ

bulandi se utara ja raha hun

main tarifon se mara ja raha hun

atā-e-shān-e-karīmī 'ajīb hotī hai

kinārā ḳhud tah-e-āb se nikal aayā

ata-e-shan-e-karimi 'ajib hoti hai

kinara KHud hi tah-e-ab se nikal aaya

bujhe sharar haiñ havā-e-visāl zad par

tirī nazar ishāra batā rahā hai mujhe

bujhe sharar hain hawa-e-visal ki zad par

teri nazar ka ishaara bata raha hai mujhe

na āstīn meñ ḳhanjar na lab pe shīrīnī

ye kaise 'aql ke dushman se dostī huī hai

na aastin mein KHanjar na lab pe shirini

ye kaise 'aql ke dushman se dosti hui hai

tunuk-mizāj hai malhūz yuuñ adab rakhnā

bahut sañbhal ke tum us ke laboñ pe lab rakhnā

tunuk-mizaj hai malhuz yun adab rakhna

bahut sanbhal ke tum us ke labon pe lab rakhna

dil kisī baat ko tahrīr na kar paa.e

likhne pe jab aa.e the to kyā kyā nahīñ likkhā

dil ki hi kisi baat ko tahrir na kar pae

likhne pe jab aae the to kya kya nahin likkha

'arzī insāf ham ne bhī lagā rakkhī hai

dekhiye zill-e-ilāhī hameñ kab pūchhte haiñ

'arzi insaf ki hum ne bhi laga rakkhi hai

dekhiye zill-e-ilahi hamein kab puchhte hain

kin guzargāhoñ ke haiñ gard-o-ġhubār āñkhoñ meñ

roz patjhaḌ ke hameñ ḳhvāb dikhātī hai havā

kin guzargahon ke hain gard-o-ghubar aankhon mein

roz patjhaD ke hamein KHwab dikhati hai hawa

'anjum' ā'sāb sañbhālo hai yahī rang-e-bahār

bū-e-shauq aane lagī yaar añgḌā.ī se

'anjum' aa'sab sanbhaalo hai yahi rang-e-bahaar

bu-e-shauq aane lagi yar ki angDai se

vahāñ bhī koī nahīñ thā ḳharāb-hāloñ

maiñ ho ke mimbar-o-mehrāb se nikal aayā

wahan bhi koi nahin tha KHarab-haalon ka

main ho ke mimbar-o-mehrab se nikal aaya

abhī se falsafa-e-reg-zār bāteñ

abhī to 'ishq ke maktab meñ hāzirī huī hai

abhi se falsafa-e-reg-zar ki baaten

abhi to 'ishq ke maktab mein haziri hui hai

Recitation

Speak Now