Sher of Jurat Qalandar Bakhsh
ilāhī kyā ilāqa hai vo jab letā hai añgḌā.ī
mire siine meñ sab zaḳhmoñ ke Tāñke TuuT jaate haiñ
ilahi kya ilaqa hai wo jab leta hai angDai
mere sine mein sab zaKHmon ke Tanke TuT jate hain
mil ga.e the ek baar us ke jo mere lab se lab
'umr bhar hoñToñ pe apne maiñ zabāñ pherā kiyā
mil gae the ek bar us ke jo mere lab se lab
'umr bhar honTon pe apne main zaban phera kiya
-
Tag : Kiss
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kaifiyat mahfil-e-ḳhūbāñ kī na us bin pūchho
us ko dekhūñ na to phir de mujhe dikhlā.ī kyā
kaifiyat mahfil-e-KHuban ki na us bin puchho
us ko dekhun na to phir de mujhe dikhlai kya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ahvāl kyā bayāñ maiñ karūñ haa.e ai tabīb
hai dard us jagah ki jahāñ kā nahīñ ilaaj
ahwal kya bayan main karun hae ai tabib
hai dard us jagah ki jahan ka nahin ilaj
bharī jo hasrat-o-yās apnī guftugū meñ hai
ḳhudā hī jaane ki banda kis aarzū meñ hai
bhari jo hasrat-o-yas apni guftugu mein hai
KHuda hi jaane ki banda kis aarzu mein hai
lab-e-ḳhayāl se us lab kā jo liyā bosa
to muñh hī muñh meñ ajab tarah kā mazā aayā
lab-e-KHayal se us lab ka jo liya bosa
to munh hi munh mein ajab tarah ka maza aaya
sabhī in.aam nit paate haiñ ai shīrīñ-dahan tujh se
kabhū tū ek bose se hamārā muñh bhī mīThā kar
sabhi inam nit pate hain ai shirin-dahan tujh se
kabhu tu ek bose se hamara munh bhi miTha kar
us zulf pe phabtī shab-e-dījūr kī sūjhī
andhe ko añdhere meñ baḌī duur kī sūjhī
us zulf pe phabti shab-e-dijur ki sujhi
andhe ko andhere mein baDi dur ki sujhi
haiñ lāzim-o-malzūm baham husn o mohabbat
ham hote na tālib jo vo matlūb na hotā
hain lazim-o-malzum baham husn o mohabbat
hum hote na talib jo wo matlub na hota
aañkh uThā kar use dekhūñ huuñ to nazroñ meñ mujhe
yuuñ jatātā hai ki kyā tujh ko nahīñ Dar merā
aankh uTha kar use dekhun hun to nazron mein mujhe
yun jatata hai ki kya tujh ko nahin Dar mera
dil-e-vahshī ko ḳhvāhish hai tumhāre dar pe aane kī
divānā hai va-lekin baat kartā hai Thikāne kī
dil-e-wahshi ko KHwahish hai tumhaare dar pe aane ki
diwana hai wa-lekin baat karta hai Thikane ki
lagte hī haath ke jo khīñche hai ruuh tan se
kyā jāneñ kyā vo shai hai us ke badan ke andar
lagte hi hath ke jo khinche hai ruh tan se
kya jaanen kya wo shai hai us ke badan ke andar
kal us sanam ke kūche se niklā jo shaiḳh-e-vaqt
kahte the sab idhar se ajab barhaman gayā
kal us sanam ke kuche se nikla jo shaiKH-e-waqt
kahte the sab idhar se ajab barhaman gaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
allāh-re bhulāpā muñh dho ke ḳhud vo bole
sūñgho to ho gayā ye paanī gulāb kyūñkar
allah-re bhulapa munh dho ke KHud wo bole
sungho to ho gaya ye pani gulab kyunkar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jab talak ham na chāhte the tujhe
tab tak aisā tirā jamāl na thā
jab talak hum na chahte the tujhe
tab tak aisa tera jamal na tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
chaah kī chitvan merī aañkh us kī sharmā.ī huī
taaḌ lī majlis meñ sab ne saḳht rusvā.ī huī
chah ki chitwan meri aankh us ki sharmai hui
taD li majlis mein sab ne saKHt ruswai hui
pūchho na kuchh sabab mire hāl-e-tabāh kā
ulfat kā ye samar hai natīja hai chaah kā
puchho na kuchh sabab mere haal-e-tabah ka
ulfat ka ye samar hai natija hai chah ka
ik bosa māñgtā huuñ maiñ ḳhairāt-e-husn kī
do maal kī zakāt ki daulat ziyāda ho
ek bosa mangta hun main KHairaat-e-husn ki
do mal ki zakat ki daulat ziyaada ho
ranjisheñ aisī hazār aapas meñ hotī haiñ dilā
vo agar tujh se ḳhafā hai tū hī jā mil kyā huā
ranjishen aisi hazar aapas mein hoti hain dila
wo agar tujh se KHafa hai tu hi ja mil kya hua
-
Tag : Unity
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jahāñ kuchh dard kā mazkūr hogā
hamārā sher bhī mash.hūr hogā
jahan kuchh dard ka mazkur hoga
hamara sher bhi mashhur hoga
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
rakhe hai lazzat-e-bosa se mujh ko gar mahrūm
to apne tū bhī na hoñToñ talak zabāñ pahuñchā
rakhe hai lazzat-e-bosa se mujh ko gar mahrum
to apne tu bhi na honTon talak zaban pahuncha
ġham mujhe nā-tavān rakhtā hai
ishq bhī ik nishān rakhtā hai
gham mujhe na-tawan rakhta hai
ishq bhi ek nishan rakhta hai
chalī jaatī hai tū ai umr-e-rafta
ye ham ko kis musībat meñ phañsā kar
chali jati hai tu ai umr-e-rafta
ye hum ko kis musibat mein phansa kar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
baal haiñ bikhre band haiñ TuuTe kaan meñ TeḌhā baalā hai
'jur.at' ham pahchān ga.e haiñ daal meñ kaalā kaalā hai
baal hain bikhre band hain TuTe kan mein TeDha baala hai
'jurat' hum pahchan gae hain dal mein kala kala hai
pīchhe pīchhe mire chalne se ruko mat sāhib
koī pūchhegā to kahiyo ye hai naukar merā
pichhe pichhe mere chalne se ruko mat sahib
koi puchhega to kahiyo ye hai naukar mera
us shaḳhs ne kal hātoñ hī hātoñ meñ falak par
sau baar chaḌhāyā mujhe sau baar utārā
us shaKHs ne kal haton hi haton mein falak par
sau bar chaDhaya mujhe sau bar utara
chupke chupke rote haiñ muñh par dupaTTa taan kar
ghar jo yaad aayā kisī kā apne ghar meñ aan kar
chupke chupke rote hain munh par dupaTTa tan kar
ghar jo yaad aaya kisi ka apne ghar mein aan kar
jaldī talab-e-bosa pe kiije to kahe vaah
aisā ise kyā samjhe ho tum muñh kā nivālā
jaldi talab-e-bosa pe kije to kahe wah
aisa ise kya samjhe ho tum munh ka niwala
hijr meñ muztarib sā ho ho ke
chār-sū dekhtā huuñ ro ro ke
hijr mein muztarib sa ho ho ke
chaar-su dekhta hun ro ro ke
tā-falak le ga.ī betābi-e-dil tab bole
hazrat-e-ishq ki pahlā hai ye ziinā apnā
When my heart's / restlessness, to the skies did lead
This is just my first rung, Mr. Love decreed
ta-falak le gai betabi-e-dil tab bole
hazrat-e-ishq ki pahla hai ye zina apna
When my heart's / restlessness, to the skies did lead
This is just my first rung, Mr. Love decreed
-
Tag : Love, Longing, Loss
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
payām ab vo nahīñ bhejtā zabānī bhī
ki jis kī hoñToñ meñ lete the ham zabāñ har roz
payam ab wo nahin bhejta zabani bhi
ki jis ki honTon mein lete the hum zaban har roz
kyā kyā kiyā hai kūcha-ba-kūcha mujhe ḳharāb
ḳhāna ḳharāb ho dil-e-ḳhāna-ḳharāb kā
kya kya kiya hai kucha-ba-kucha mujhe KHarab
KHana KHarab ho dil-e-KHana-KHarab ka
maiñ to hairāñ huuñ matab hai ki dar-e-yār hai ye
yaañ to bīmār pe bīmār chale aate haiñ
main to hairan hun matab hai ki dar-e-yar hai ye
yan to bimar pe bimar chale aate hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aañkh lagtī nahīñ 'jur.at' mirī ab saarī raat
aañkh lagte hī ye kaisā mujhe āzār lagā
aankh lagti nahin 'jurat' meri ab sari raat
aankh lagte hi ye kaisa mujhe aazar laga
misl-e-majnūñ jo pareshāñ hai bayābān meñ aaj
kyuuñ dilā kaun samāyā hai tire dhyān meñ aaj
misl-e-majnun jo pareshan hai bayaban mein aaj
kyun dila kaun samaya hai tere dhyan mein aaj
jo aaj chaḌhāte haiñ hameñ arsh-e-barīñ par
do din ko utāreñge vahī log zamīñ par
jo aaj chaDhate hain hamein arsh-e-barin par
do din ko utarenge wahi log zamin par
jald ḳhū apnī badal varna koī kar ke tilism
aa ke dil apnā tire dil se badal jā.ūñgā
jald KHu apni badal warna koi kar ke tilism
aa ke dil apna tere dil se badal jaunga
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aaj gherā hī thā use maiñ ne
kar ke iqrār mujh se chhūT gayā
aaj ghera hi tha use main ne
kar ke iqrar mujh se chhuT gaya
shab ḳhvāb meñ jo us ke dahan se dahan lagā
khulte hī aañkh kāñpne saarā badan lagā
shab KHwab mein jo us ke dahan se dahan laga
khulte hi aankh kanpne sara badan laga
bose gar ham ne liye haiñ to diye bhī tum ko
chhuT ga.e aap ke ehsāñ se barābar ho kar
bose gar hum ne liye hain to diye bhi tum ko
chhuT gae aap ke ehsan se barabar ho kar
bin dekhe us ke jaave rañj o azaab kyuuñ kar
vo ḳhvāb meñ to aave par aave ḳhvāb kyuuñ kar
bin dekhe us ke jawe ranj o azab kyun kar
wo KHwab mein to aawe par aawe KHwab kyun kar
-
Tag : Khwab
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tujh sā jo koī tujh ko mil jā.egā to bāteñ
merī tarah se tū bhī chupkā sunā karegā
tujh sa jo koi tujh ko mil jaega to baaten
meri tarah se tu bhi chupka suna karega
laash ko merī chhupā kar ik kueñ meñ Daal do
yaaro maiñ kushta huuñ ik parda-nashīñ kī chaah kā
lash ko meri chhupa kar ek kuen mein Dal do
yaro main kushta hun ek parda-nashin ki chah ka
shab-e-hijr thī aur maiñ ro rahā thā
koī jāgtā thā koī so rahā thā
shab-e-hijr thi aur main ro raha tha
koi jagta tha koi so raha tha
aayā thā shab ko chhup ke vo rashk-e-chaman so aah
phailī ye ghar meñ bū ki mohalla mahak gayā
aaya tha shab ko chhup ke wo rashk-e-chaman so aah
phaili ye ghar mein bu ki mohalla mahak gaya
vaañ se aayā hai javāb-e-ḳhat koī suniyo to zarā
maiñ nahīñ huuñ aap maiñ mujh se na samjhā jā.egā
wan se aaya hai jawab-e-KHat koi suniyo to zara
main nahin hun aap main mujh se na samjha jaega
mujh mast ko kyuuñ bhaa.e na vo sāñvlī sūrat
jī dauḌe hai mai-kash kā ġhizā-e-namakīñ par
mujh mast ko kyun bhae na wo sanwli surat
ji dauDe hai mai-kash ka ghiza-e-namakin par
hai āshiq o ma.ashūq meñ ye farq ki mahbūb
tasvīr-e-tafarruj hai vo putlā hai alam kā
hai aashiq o mashuq mein ye farq ki mahbub
taswir-e-tafarruj hai wo putla hai alam ka
mere marne kī ḳhabar sun kar lagā kahne vo shoḳh
dil hī dil meñ apne kuchh kuchh soch kar achchhā huā
mere marne ki KHabar sun kar laga kahne wo shoKH
dil hi dil mein apne kuchh kuchh soch kar achchha hua
ba.ad muddat vo dekh kar bolā
kis ne yaañ ḳhaak kā ye Dher rakhā
baad muddat wo dekh kar bola
kis ne yan KHak ka ye Dher rakha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download