Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Shariq Kaifi's Photo'

Shariq Kaifi

1961 | Bareilly, India

One of the most prominent contemporary poets of the subcontinent. Equally creative in nazm and ghazal

One of the most prominent contemporary poets of the subcontinent. Equally creative in nazm and ghazal

Sher of Shariq Kaifi

12.7K
Favorite

SORT BY

qurb us ke uThā kar fā.eda

hijr sāmāñ ikaTThā kar liyā

qurb ka us ke uTha kar faeda

hijr ka saman ikaTTha kar liya

sab āsān huā jaatā hai

mushkil vaqt to ab aayā hai

sab aasan hua jata hai

mushkil waqt to ab aaya hai

kabhī ḳhud ko chhū kar nahīñ dekhtā huuñ

ḳhudā jaane kis vahm meñ mubtalā huuñ

kabhi KHud ko chhu kar nahin dekhta hun

KHuda jaane kis wahm mein mubtala hun

nayā yuuñ hai ki an-dekhā hai sab kuchh

yahāñ tak raushnī aatī kahāñ thī

naya yun hai ki an-dekha hai sab kuchh

yahan tak raushni aati kahan thi

bhiiḌ meñ jab tak rahte haiñ joshīle haiñ

alag alag ham log bahut sharmīle haiñ

bhiD mein jab tak rahte hain joshile hain

alag alag hum log bahut sharmile hain

kahīñ na thā vo dariyā jis sāhil thā maiñ

aañkh khulī to ik sahrā ke muqābil thā maiñ

kahin na tha wo dariya jis ka sahil tha main

aankh khuli to ek sahra ke muqabil tha main

pahlī baar vo ḳhat likkhā thā

jis javāb bhī aa saktā thā

pahli bar wo KHat likkha tha

jis ka jawab bhi aa sakta tha

log sah lete the hañs kar kabhī be-zārī bhī

ab to mashkūk huī apnī milan-sārī bhī

log sah lete the hans kar kabhi be-zari bhi

ab to mashkuk hui apni milan-sari bhi

jaise ye mez miTTī hāthī ye phuul

ek kone meñ ham bhī haiñ rakkhe hue

jaise ye mez miTTi ka hathi ye phul

ek kone mein hum bhi hain rakkhe hue

maiñ kisī dūsre pahlū se use kyuuñ sochūñ

yuuñ bhī achchhā hai vo jaisā nazar aatā hai mujhe

main kisi dusre pahlu se use kyun sochun

yun bhi achchha hai wo jaisa nazar aata hai mujhe

nahīñ maiñ hausla to kar rahā thā

zarā tere sukūñ se Dar rahā thā

nahin main hausla to kar raha tha

zara tere sukun se Dar raha tha

jhuuT par us ke bharosā kar liyā

dhuup itnī thī ki saayā kar liyā

jhuT par us ke bharosa kar liya

dhup itni thi ki saya kar liya

kaun kahe ma.asūm hamārā bachpan thā

khel meñ bhī to aadhā aadhā āñgan thā

kaun kahe masum hamara bachpan tha

khel mein bhi to aadha aadha aangan tha

sab guzarte rahe saf-ba-saf paas se

mere siine pe ik phuul rakhte hue

sab guzarte rahe saf-ba-saf pas se

mere sine pe ek phul rakhte hue

maut ne saarī raat hamārī nabz TaTolī

aisā marne māhaul banāyā ham ne

maut ne sari raat hamari nabz TaToli

aisa marne ka mahaul banaya hum ne

kis tarah aa.e haiñ is pahlī mulāqāt talak

aur mukammal hai judā hone tayyārī bhī

kis tarah aae hain is pahli mulaqat talak

aur mukammal hai juda hone ki tayyari bhi

rukā mahfil meñ itnī der tak maiñ

ujāloñ buḌhāpā dekh aayā

ruka mahfil mein itni der tak main

ujalon ka buDhapa dekh aaya

fāsla rakh ke bhī kyā hāsil huā

aaj bhī us kahlātā huuñ maiñ

fasla rakh ke bhi kya hasil hua

aaj bhi us ka hi kahlata hun main

pata thā mujh ko mulāqāt ġhair-mumkin hai

so terā dhyān kiyā aur gulāb chuum liyā

pata tha mujh ko mulaqat ghair-mumkin hai

so tera dhyan kiya aur gulab chum liya

duniyā shāyad bhuul rahī hai

chāhat kuchh ūñchā suntī hai

duniya shayad bhul rahi hai

chahat kuchh uncha sunti hai

kahāñ sochā thā maiñ ne bazm-ārā.ī se pahle

ye merī āḳhirī mahfil hai tanhā.ī se pahle

kahan socha tha main ne bazm-arai se pahle

ye meri aaKHiri mahfil hai tanhai se pahle

kyā milā dasht meñ aa kar tire dīvāne ko

ghar ke jaisā agar jāgnā sonā hai yahāñ

kya mila dasht mein aa kar tere diwane ko

ghar ke jaisa hi agar jagna sona hai yahan

ghar meñ ḳhud ko qaid to maiñ ne aaj kiyā hai

tab bhī tanhā thā jab mahfil mahfil thā maiñ

ghar mein KHud ko qaid to main ne aaj kiya hai

tab bhi tanha tha jab mahfil mahfil tha main

tasallī ab huī kuchh dil ko mere

tirī galiyoñ ko suunā dekh aayā

tasalli ab hui kuchh dil ko mere

teri galiyon ko suna dekh aaya

ḳhamoshī bas ḳhamoshī thī ijāzat ab huī hai

ishāroñ ko tire paḌhne jur.at ab huī hai

KHamoshi bas KHamoshi thi ijazat ab hui hai

ishaaron ko tere paDhne ki jurat ab hui hai

kaise TukḌoñ meñ use kar luuñ qubūl

jo mirā saare saarā thā kabhī

kaise TukDon mein use kar lun qubul

jo mera sare ka sara tha kabhi

patā nahīñ ye tamannā-e-qurb kab jaagī

mujhe to sirf use sochne aadat thī

pata nahin ye tamanna-e-qurb kab jagi

mujhe to sirf use sochne ki aadat thi

rakheñ kyūñkar hisāb ek ek pal

balā se roz kam hote hue ham

rakhen kyunkar hisab ek ek pal ka

bala se roz kam hote hue hum

ho sabab kuchh bhī mire aañkh bachāne magar

saaf kar duuñ ki nazar kam nahīñ aatā hai mujhe

ho sabab kuchh bhi mere aankh bachane ka magar

saf kar dun ki nazar kam nahin aata hai mujhe

intihā tak baat le jaatā huuñ maiñ

ab use aise samjhātā huuñ maiñ

intiha tak baat le jata hun main

ab use aise hi samjhata hun main

bahut gadlā thā paanī us nadī

magar maiñ apnā chehra dekh aayā

bahut gadla tha pani us nadi ka

magar main apna chehra dekh aaya

kaun thā vo jis ne ye haal kiyā hai merā

kis ko itnī āsānī se hāsil thā maiñ

kaun tha wo jis ne ye haal kiya hai mera

kis ko itni aasani se hasil tha main

vahāñ iid kyā vahāñ diid kyā

jahāñ chāñd raat na aa.ī ho

wahan id kya wahan did kya

jahan chand raat na aai ho

umr bhar kis ne bhalā ġhaur se dekhā thā mujhe

vaqt kam ho to sajā detī hai bīmārī bhī

umr bhar kis ne bhala ghaur se dekha tha mujhe

waqt kam ho to saja deti hai bimari bhi

raat thī jab tumhārā shahr aayā

phir bhī khiḌkī to maiñ ne khol

raat thi jab tumhaara shahr aaya

phir bhi khiDki to main ne khol hi li

yahī kamra thā jis meñ chain se ham rahe the

ye tanhā.ī to itnī be-muravvat ab huī hai

yahi kamra tha jis mein chain se hum ji rahe the

ye tanhai to itni be-murawwat ab hui hai

larazte kāñpte hāthoñ se būḌhā

chilam meñ phir koī dukh bhar rahā thā

larazte kanpte hathon se buDha

chilam mein phir koi dukh bhar raha tha

bīnā.ī bhī kyā kyā dhoke detī hai

duur se dekho saare dariyā niile haiñ

binai bhi kya kya dhoke deti hai

dur se dekho sare dariya nile hain

abhī to achchhī lagegī kuchh din judā.ī rut

abhī hamāre liye ye sab kuchh nayā nayā hai

abhi to achchhi lagegi kuchh din judai ki rut

abhi hamare liye ye sab kuchh naya naya hai

ajab lahje meñ karte the dar-o-dīvār bāteñ

mire ghar ko bhī shāyad merī aadat ab huī hai

ajab lahje mein karte the dar-o-diwar baaten

mere ghar ko bhi shayad meri aadat ab hui hai

faisle auroñ ke kartā huuñ

apnī sazā kaTtī rahtī hai

faisle auron ke karta hun

apni saza kaTti rahti hai

vo baat soch ke maiñ jis ko muddatoñ jiitā

bichhaḌte vaqt batāne kyā zarūrat thī

wo baat soch ke main jis ko muddaton jita

bichhaDte waqt batane ki kya zarurat thi

ajab lahje meñ karte the dar o dīvār bāteñ

mire ghar ko bhī shāyad merī aadat ab huī hai

ajab lahje mein karte the dar o diwar baaten

mere ghar ko bhi shayad meri aadat ab hui hai

bahut bhaTke to ham samjhe haiñ ye baat

burā aisā nahīñ apnā makāñ bhī

bahut bhaTke to hum samjhe hain ye baat

bura aisa nahin apna makan bhi

kis ehsās-e-jurm sab karte haiñ tavaqqo

ik kirdār kiyā thā jis meñ qātil thā maiñ

kis ehsas-e-jurm ki sab karte hain tawaqqo

ek kirdar kiya tha jis mein qatil tha main

niiñd ke vāste vaise bhī zarūrī hai thakan

pyaas bhaḌkā.eñ kisī saa.e pīchhā kar aa.eñ

nind ke waste waise bhi zaruri hai thakan

pyas bhaDkaen kisi sae ka pichha kar aaen

ḳhvāb vaise to ik ināyat hai

aañkh khul jaa.e to musībat hai

KHwab waise to ek inayat hai

aankh khul jae to musibat hai

ab mujhe kaun jiit saktā hai

mire dil āḳhirī Dar thā

ab mujhe kaun jit sakta hai

tu mere dil ka aaKHiri Dar tha

achānak haḌbaḌā kar niiñd se maiñ jaag uTThā huuñ

purānā vāqi.a hai jis pe hairat ab huī hai

achanak haDbaDa kar nind se main jag uTTha hun

purana waqia hai jis pe hairat ab hui hai

bahut himmat hai ye kaam 'shāriq'

ki sharmāte nahīñ Darte hue ham

bahut himmat ka hai ye kaam 'shaariq'

ki sharmate nahin Darte hue hum

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now