Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Shuja Khaavar's Photo'

Shuja Khaavar

1948 - 2012 | Delhi, India

Former IPS officer, who had quit service in the midst of his career.

Former IPS officer, who had quit service in the midst of his career.

Sher of Shuja Khaavar

8.3K
Favorite

SORT BY

to jo nā-fahm haiñ vo bolte haiñ in dinoñ

jinheñ ḳhāmosh rahne sazā ma.alūm hai

ya to jo na-fahm hain wo bolte hain in dinon

ya jinhen KHamosh rahne ki saza malum hai

hazār rañg meñ mumkin hai dard iz.hār

tire firāq meñ marnā kyā zarūrī hai

hazar rang mein mumkin hai dard ka izhaar

tere firaq mein marna hi kya zaruri hai

'shujā' vo ḳhairiyat pūchheñ to hairat meñ na paḌ jaanā

pareshāñ karne vaale ḳhair-ḳhvāhoñ meñ bhī hote haiñ

'shuja' wo KHairiyat puchhen to hairat mein na paD jaana

pareshan karne wale KHair-KHwahon mein bhi hote hain

ghar meñ bechainī ho to agle safar sochnā

phir safar nākām ho jaa.e to ghar sochnā

ghar mein bechaini ho to agle safar ki sochna

phir safar nakaam ho jae to ghar ki sochna

aap idhar aa.e udhar diin aur īmān ga.e

iid chāñd nazar aayā to ramzān ga.e

aap idhar aae udhar din aur iman gae

id ka chand nazar aaya to ramzan gae

mire hālāt ko bas yuuñ samajh lo

parinde par shajar rakkhā huā hai

mere haalat ko bas yun samajh lo

parinde par shajar rakkha hua hai

be-ārzū bhī ḳhush haiñ zamāne meñ baaz log

yaañ aarzū ke saath bhī jiinā harām hai

be-arzu bhi KHush hain zamane mein baz log

yan aarzu ke sath bhi jina haram hai

qalam meñ zor jitnā hai judā.ī badaulat hai

milan ke ba.ad likhne vaale likhnā chhoḌ dete haiñ

qalam mein zor jitna hai judai ki badaulat hai

milan ke baad likhne wale likhna chhoD dete hain

sātoñ aalam sar karne ke ba.ad ik din chhuTTī le kar

ghar meñ chiḌiyoñ ke gaane par bachchoñ hairānī dekho

saton aalam sar karne ke baad ek din ki chhuTTi le kar

ghar mein chiDiyon ke gane par bachchon ki hairani dekho

us bevafā shahr hai aur vaqt-e-shām hai

aaise meñ aarzū baḌī himmat kaam hai

us bewafa ka shahr hai aur waqt-e-sham hai

aaise mein aarzu baDi himmat ka kaam hai

chāragarī baat kisī aur se karo

ab ho ga.e haiñ yaaro purāne marīz ham

talk not of cure to me my friends,nor of therapy

I am a chronic patient now, well past remedy

chaaragari ki baat kisi aur se karo

ab ho gae hain yaro purane mariz hum

talk not of cure to me my friends,nor of therapy

I am a chronic patient now, well past remedy

dil bāteñ dūsroñ se mat kaho luT jāoge

aaj kal iz.hār ke dhandhe meñ hai ghāTā bahut

dil ki baaten dusron se mat kaho luT jaoge

aaj kal izhaar ke dhandhe mein hai ghaTa bahut

kuchh nahīñ bolā to mar jā.egā andar se 'shujā.a'

aur agar bolā to phir bāhar se maarā jā.egā

if silent I remain I will suffocate inside

and if I speak I will surely be crucified

kuchh nahin bola to mar jaega andar se 'shujaa'

aur agar bola to phir bahar se mara jaega

if silent I remain I will suffocate inside

and if I speak I will surely be crucified

dil meñ nafrat ho to chehre pe bhī le aatā huuñ

bas isī baat se dushman mujhe pahchān ga.e

dil mein nafrat ho to chehre pe bhi le aata hun

bas isi baat se dushman mujhe pahchan gae

'shujā.a' maut se pahle zarūr lenā

ye kaam bhuul na jaanā baḌā zarūrī hai

'shujaa' maut se pahle zarur ji lena

ye kaam bhul na jaana baDa zaruri hai

dard jā.egā to kuchh kuchh jā.egā par dekhnā

chain jab jā.egā to saarā saarā jā.egā

dard jaega to kuchh kuchh jaega par dekhna

chain jab jaega to sara ka sara jaega

do chaar nahīñ saiñkaḌoñ sher us pe kahe haiñ

is par bhī vo samjhe na to qadmoñ pe jhukeñ kyā

do chaar nahin sainkaDon sher us pe kahe hain

is par bhi wo samjhe na to qadmon pe jhuken kya

jo zinda ho use to maar dete haiñ jahāñ vaale

jo marnā chāhtā ho us ko zinda chhoḌ dete haiñ

jo zinda ho use to mar dete hain jahan wale

jo marna chahta ho us ko zinda chhoD dete hain

isī par ḳhush haiñ ki ik dūsre ke saath rahte haiñ

abhī tanhā.ī matlab nahīñ samjhe haiñ ghar vaale

isi par KHush hain ki ek dusre ke sath rahte hain

abhi tanhai ka matlab nahin samjhe hain ghar wale

jaisā manzar mile gavārā kar

tabsire chhoḌ de nazārā kar

jaisa manzar mile gawara kar

tabsire chhoD de nazara kar

zindagī bhar zinda rahne yahī tarkīb hai

us taraf jaanā nahīñ bilkul jidhar sochnā

zindagi bhar zinda rahne ki yahi tarkib hai

us taraf jaana nahin bilkul jidhar ki sochna

tanhā.ī ik aur maza luuT rahā huuñ

mehmān mire ghar meñ bahut aa.e hue haiñ

tanhai ka ek aur maza luT raha hun

mehman mere ghar mein bahut aae hue hain

sardī bhī ḳhatm ho ga.ī barsāt bhī ga.ī

aur is ke saath garmi-e-jazbāt bhī ga.ī

sardi bhi KHatm ho gai barsat bhi gai

aur is ke sath garmi-e-jazbaat bhi gai

us ko na ḳhayāl aa.e to ham muñh se kaheñ kyā

vo bhī to mile ham se hamīñ us se mileñ kyā

us ko na KHayal aae to hum munh se kahen kya

wo bhi to mile hum se hamin us se milen kya

sab naam lete haiñ ik tujh ko chhoḌ kar

ḳhāsā shu.ūr hai hameñ vahshat ke bāvajūd

sab ka hi nam lete hain ek tujh ko chhoD kar

KHasa shuur hai hamein wahshat ke bawajud

us ke bayān se hue har-dil-azīz ham

ġham ko samajh rahe the chhupāne chiiz ham

us ke bayan se hue har-dil-aziz hum

gham ko samajh rahe the chhupane ki chiz hum

rind khaḌe haiñ mimbar mimbar

aur vaa.iz ne rakkhī hai

rind khaDe hain mimbar mimbar

aur waiz ne pi rakkhi hai

sabhī zindagī pe farefta koī maut par nahīñ shefta

sabhī sūd-ḳhor to ho ga.e haiñ koī paThān nahīñ rahā

sabhi zindagi pe farefta koi maut par nahin shefta

sabhi sud-KHor to ho gae hain koi paThan nahin raha

karam hai mujh pe kisī aur ke jalāne ko

vo shaḳhs mujh pe koī mehrbān thoḌī hai

karam hai mujh pe kisi aur ke jalane ko

wo shaKHs mujh pe koi mehrban thoDi hai

auroñ se pūchhiye to haqīqat pata chale

tanhā.ī meñ to zaat irfān ho chukā

auron se puchhiye to haqiqat pata chale

tanhai mein to zat ka irfan ho chuka

ham sūfiyoñ donoñ taraf se ziyāñ huā

irfān-e-zāt bhī na huā raat bhī ga.ī

hum sufiyon ka donon taraf se ziyan hua

irfan-e-zat bhi na hua raat bhi gai

jin ko qudarat hai taḳhayyul par unheñ dikhtā nahīñ

jin āñhkeñ Thiik haiñ un ko taḳhayyul chāhiye

jin ko qudarat hai taKHayyul par unhen dikhta nahin

jin ki aanhken Thik hain un ko taKHayyul chahiye

vasl huā par dil meñ tamannā

jaisī thī vaisī rakkhī hai

wasl hua par dil mein tamanna

jaisi thi waisi rakkhi hai

ye duniyā-dārī aur irfān daavā 'shujā-ḳhāvar'

miyāñ irfān ho jaa.e to duniyā chhoḌ dete haiñ

ye duniya-dari aur irfan ka dawa 'shuja-KHawar'

miyan irfan ho jae to duniya chhoD dete hain

tañgī-e-hai.at se Takrātā huā josh-e-mavād

shā.erī lutf aa jaatā hai chhoTī bahr meñ

tangi-e-haiat se Takraata hua josh-e-mawad

shaeri ka lutf aa jata hai chhoTi bahr mein

kyā munajjim se kareñ ham apne mustaqbil baat

haal ke baare meñ ham ko kaun ma.alūm hai

kya munajjim se karen hum apne mustaqbil ki baat

haal ke bare mein hum ko kaun sa malum hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now